Pakistani Readers discussion

120 views
(Urdu Literature) اردو ادب > Dec-2015 Group Read

Comments Showing 51-100 of 251 (251 new)    post a comment »

message 51: by Ayesha (new)

Ayesha | 975 comments Try reading Aag Ka Darya,you will be writing gibberish in no time!WE are trying ....



message 52: by Nagwa (new)

Nagwa Malik (nagwamalik) | 91 comments Muhammad wrote: "Assalaam O Alaikum..

Kia haal hay Dosto ???

Meri Nayi Update yeh hay k meri Kitab AKD k 180 Pages ho gaye hanin aur main 15th January tak ys uss se pehle he iss ko complete bhe ker longa in sha A..."


That is wonderful. I wish you all the best :)


message 53: by Nagwa (new)

Nagwa Malik (nagwamalik) | 91 comments sam-seehum(nemesis) wrote: "Ohhhh
It took me a while to read and understand what you said lol."


I actually have the same problem...but then i am still not used to goodreads in general!


message 54: by Sia (new)

Sia (slayqueen) | 317 comments Lol
I can't really read Urdu typo so clearly.Im more of an "angrezi putur"


message 55: by Nagwa (new)

Nagwa Malik (nagwamalik) | 91 comments sam-seehum(nemesis) wrote: "Lol
I can't really read Urdu typo so clearly.Im more of an "angrezi putur""


me too. Although i love Urdu and am actually very good at it but when i see it written in roman it is just not the way i would write it and i have to attune myself :D


message 56: by Sia (new)

Sia (slayqueen) | 317 comments Same
We're really very alike.
XD


message 57: by Sia (new)

Sia (slayqueen) | 317 comments Mujhe Urdu achi bolni aati hai likin parhne aur likhne me problem hota hai

I did it!!


message 58: by Nagwa (new)

Nagwa Malik (nagwamalik) | 91 comments sam-seehum(nemesis) wrote: "Mujhe Urdu achi bolni aati hai likin parhne aur likhne me problem hota hai

I did it!!"


yeah! And i got it!!!!!


message 59: by Sia (new)

Sia (slayqueen) | 317 comments Greattttt
Ur turn.


message 60: by Nagwa (new)

Nagwa Malik (nagwamalik) | 91 comments sam-seehum(nemesis) wrote: "Greattttt
Ur turn."

main roman urdu likh to laity hoon laikin kabhi kabhar may apnni likhi huwi bhi nahin parh pati!


message 61: by Sia (new)

Sia (slayqueen) | 317 comments Lol
I actually read that in one go....XD


message 62: by Nagwa (last edited Jan 05, 2016 09:35AM) (new)

Nagwa Malik (nagwamalik) | 91 comments sam-seehum(nemesis) wrote: "Lol
I actually read that in one go....XD"


LOL..we're in sync!!!


message 63: by Sia (new)

Sia (slayqueen) | 317 comments Yesss
*high five*


message 64: by Ayesha (new)

Ayesha | 975 comments Congrats guys both of you are improving!

magar hum ek urdu kitab parh rahe hain is lie hum kosish karte hain ke urdu mein he comment karen:-)


message 65: by Aasia (new)

Aasia Abdali | 260 comments Ayesha mein kch masrof rahi pichley dino is waja se itni active nai rahi. Par ab se inshaAllah is thread ko tum mein aur Sohail zinda kr dein gein. January ka done hai.


message 66: by Sia (new)

Sia (slayqueen) | 317 comments Umm hum konsi Urdu book parh rahe hain cause I don't really read Urdu books.
Is it easy?


message 67: by Ayesha (new)

Ayesha | 975 comments sam-seehum(nemesis) wrote: "Umm hum konsi Urdu book parh rahe hain cause I don't really read Urdu books.
Is it easy?"

@sam -seehum It's really hard with a capital h.
@Aasia



message 68: by Aasia (new)

Aasia Abdali | 260 comments @ sam-seehum(nemesis) and Nagwa. moaziz sathiyo yeh thread is mahene k group read k liye makhsos hai. Chit chat k liye alag thread hai. is group read mein shamil hone ki mein apko dawat deti hun. Hum log Qurattul Ain Haider Sahiba ki Aag ka Darya parh rahe. :)


message 69: by Nagwa (new)

Nagwa Malik (nagwamalik) | 91 comments Ayesha wrote: "Congrats guys both of you are improving!

magar hum ek urdu kitab parh rahe hain is lie hum kosish karte hain ke urdu mein he comment karen:-)"


i know. But the problem is I love reading Urdu as Urdu not as roman. :) but i know using the keyboards we do we have no choice. I even write my scripts in roman urdu then i give it to the director to get it to mainstream urdu.


message 70: by Nagwa (new)

Nagwa Malik (nagwamalik) | 91 comments Aasia wrote: "@ sam-seehum(nemesis) and Nagwa. moaziz sathiyo yeh thread is mahene k group read k liye makhsos hai. Chit chat k liye alag thread hai. is group read mein shamil hone ki mein apko dawat deti hun. H..."

I read Qurat-ul-Ain when i was a teenager. In A-levels. One thing you will notice is that she writes urdu-english. Like how we all type in roman urdu, she wrote English words in Urdu script and you will see too much of it. I used to find it very irritating although it was only natural because she was more like us: she spoke a mixture of English-Urdu. And that was how she wrote.


message 71: by Muhammad (new)

Muhammad Sohail Usmani (Usmani) | 43 comments Assalaam O Alaikum.

Dosto kuch Iqtebaas aap logo k nazar hay jo k AKD se liye hain Taak yahan per jis maqsad k liye hum logo ka ijtema hay uss k liye zaroori hay k batain kitab se mutaliik he ki jaayen

------
Iqtebas
-----------

@ Tum jis ko chahte ho tumhari Parwah nahi karta aur jo tum per jaan deta hay Uss main tumhare liye koi kashish nahi, Yeh bhe zindagi kaaik aisa tajurba tha jos iss se pehle hazaaron kar chuke the magar iss k liye naya tha.

@ Aik shaks ne dunya tiyagi phir bhe uss ki yaad dil se na hata saka, woh hari shankar the, aik shaks ne uss ki yaad se bachne k liye tiyaag k bajaaye dunya main panah dhoondhi aur phir veeragi raha go zahir main mukammal dunya daar bana, woh goutam nilamber tha, woh khud, wo dukhyari na dunya tiyaag paayi na dunya main zindagi ki musaraton he ko hasil ker saki, yeh sab maaya ka khel hay.

@ Do parind, chaheetey dost, aik darakht per bethe hain, aik phal kha raha hay doosra tukur tukur dekhta hay, issi darakht per insan betha hay, udaas, apni kam raqati per mutaheer, lekin woh jo doosrey ko mutmaeen dekhta hay aur uss ki azmat ko pehchanta hay uss ka apna dukh khatam ho jata hay, jo rag waid ki iss ummat hasti ko nahi jaanta jis k ander khuda rehte hain rag waid ka usey kia faida hua? Woh jo usey jaantey hain mutmaeen bethe hain,
Woh jo usey pehchan gaya, jo lateef se lateef tar hay, jis k buhat se roop hain jo shio, yani saroor hay, aur jab roshni buland hoti hau tou na din baki rehta hay na raat, na wajood, na adam wajood, sirf shio baki hay, woh abdi roshni sawitri ki hay, jis roshni se aqal paida hoti hay, iss ka husun dekha nahi jata, iss k jalaal aur azmat ki shabeeh nahi ban sakti, woh dil main mojood hay.


message 72: by Aasia (new)

Aasia Abdali | 260 comments Hahaha guys discuss tu tab ho jab kch samaj aaye :s Qurattul Ain Haider Sahiba ne tu dushwar kitab likhne ka record qaim kiya hai ! aur hum sb nasamajun ne isko monthly read mein nominate kiya T_T


Kher mene himmat nai haari hai. inshaAllah jald hi adhi hojayegi meri!


message 73: by Ayesha (new)

Ayesha | 975 comments Aasia wrote: "Hahaha guys discuss tu tab ho jab kch samaj aaye :s Qurattul Ain Haider Sahiba ne tu dushwar kitab likhne ka record qaim kiya hai ! aur hum sb nasamajun ne isko monthly read mein nominate kiya T_T

..."


hahaha......mera bhe kuch aisa he haal hai main kitab parhna shuru karti hun to pechli kahaani yaad nae rehti.Itni ziada symbolism aur references hai ke confusion ho jati hai.


message 74: by Wordaholic (new)

Wordaholic (wordaholicme) | 34 comments Asslamualeikum, Urdu ebooks download kerny ki koi achi jagha hey kia? Pakistan say bahir kis dunia k kony main, main rehti hon yahan english books bhi nehin miltin. Online orders bend hey economy crisis ki wejha say. Mujhy jahan say mill jay perhny ko guzara ker leti hon. Lekin agar koi makool jaga hey urdu book download kerny ki to zaroor bataiyeh.


message 75: by Ayesha (new)

Ayesha | 975 comments Mujhe bas ek hi site pata hai urdu books ke lie:
/www.pdfbooksfree.pk
Waise pakistani books download kar bhe lain to woh parhne laiq nae hoti kyunke unka print uaually blur hota hai.
If you are okay,Mere pas kuch books hain,ap ko mail kar sakti hun:-)


message 76: by Wordaholic (new)

Wordaholic (wordaholicme) | 34 comments Thank you Ayesha yeh site mery pass nehin thi :) main nay jo abhi tk ebooks perhi hen urdu ki us main chand aik hon gi jo blur thin werna baki quality to achi thi ya main lucky rehi hon phir is muamly main k mujhy jo book chahiyeh thi us ka acha print milta reha. Agar scan bhi acha hua ho to mujhy koi dikkat nehin hoti perhni main :).

Boht shukria main abhi apko apna id msg pm kerti hon :).


message 77: by Nagwa (new)

Nagwa Malik (nagwamalik) | 91 comments Huma wrote: "Asslamualeikum, Urdu ebooks download kerny ki koi achi jagha hey kia? Pakistan say bahir kis dunia k kony main, main rehti hon yahan english books bhi nehin miltin. Online orders bend hey economy c..."

If you don't mind my asking where do you live? Usually most countries have their local websites that link to other sites. Have you tried epubbud? Waisay, as Ayesha said, urdu ebooks are usually rare to find because their print is never good enough.


message 78: by Wordaholic (new)

Wordaholic (wordaholicme) | 34 comments Asslamualeikum
@Nagwa, I live in Ukraine yahan almost khana jangi ki situation thi pichly kuch ersy say jis wejha say yaHan ki economy gehry crisis ka shikaar hey. Thats why its hard to shop online internationally. For now that is because after becoming part of schengen, ukraine wont be dependent on Russia :).
And thank you I think I have tried epubbud :).


message 79: by Aasia (new)

Aasia Abdali | 260 comments Huma wrote: "Asslamualeikum
@Nagwa, I live in Ukraine yahan almost khana jangi ki situation thi pichly kuch ersy say jis wejha say yaHan ki economy gehry crisis ka shikaar hey. Thats why its hard to shop online..."


oh i see. you live in difficult situation. meri tu koi ek site fix nai hai mein google pe kitab ka naam likh k search krti hon. kafi sari websites recommend karta hai google aur pir trial and error k through download kar leti hon.


message 80: by Nagwa (new)

Nagwa Malik (nagwamalik) | 91 comments Huma wrote: "Asslamualeikum
@Nagwa, I live in Ukraine yahan almost khana jangi ki situation thi pichly kuch ersy say jis wejha say yaHan ki economy gehry crisis ka shikaar hey. Thats why its hard to shop online..."


Oh i get that...let me see if i can look around and find out what sites you can access- i can't promise anything, but i can certainly try. :)


message 81: by Nagwa (last edited Jan 18, 2016 11:01PM) (new)

Nagwa Malik (nagwamalik) | 91 comments @Huma, waisay have you tried smashwords? I know that is one site where you can register for free and then have access to free books too...i know because i put my book there so that those who cannot access kindle can access my books... check it out and do you know of this store? it claims to be the largest in Ukraine:http://www.yevshan.com/
but i doubt if they have Urdu books...


message 82: by Ayesha (new)

Ayesha | 975 comments AssalamaAlaikum everyone!Maine latak latak kar kitab complete kar he li hai MAGAR mujhe kitab kuch khaas yaad nae hai.Ap logon han tak ponchay hain?


message 83: by Aasia (new)

Aasia Abdali | 260 comments Nagwa wrote: "Aasia wrote: "@ sam-seehum(nemesis) and Nagwa. moaziz sathiyo yeh thread is mahene k group read k liye makhsos hai. Chit chat k liye alag thread hai. is group read mein shamil hone ki mein apko daw..."

Yes you are absolutely right. Qurrat ul Ain Haider does write english words in urdu which makes it sometimes harder to read them.


message 84: by Aasia (new)

Aasia Abdali | 260 comments Ayesha wrote: "AssalamaAlaikum everyone!Maine latak latak kar kitab complete kar he li hai MAGAR mujhe kitab kuch khaas yaad nae hai.Ap logon han tak ponchay hain?"

Arey wah sab se pehle Ayesha ne khatam ki hai kitab. meri tu abhi baaqi rehti hai par inshaAllah dead line se pehle khatam kar loungi.
Yaad ka tu masla hai na bhae. muhskil kitab thi ek baar parhne se samaj mein nai aani. mje khud darmiyan ka kafi hissa ab yaad nai hai. shuru ka goutam neelumbar yaad hai aur abhi akhir ki kahani zehen mein kch kch hai! baaqi sb dhundla dhundla sa hai :(


message 85: by Muhammad (new)

Muhammad Sohail Usmani (Usmani) | 43 comments Assalaam O Alaikum.

Main ne AKD Khatam ker li hay :-)...
Aur khair bus khatam he ki hay kafi mushkil kiab sabit hui yeh tou itni bhe mushkil nahi lagti thi kitab per waqai kitab buhat intresting hay yeh aur buhat mazza bhe aaya hay parhne main kuch aisi tareekhain iss main aayi hain jin ko parh ker kafi acchi laga.... Maza aaya buhat aur mera irada hay k iss kitab ko phir se main parhonga per abhi nahi kuch waqton k baad :-)...


message 86: by Muhammad (new)

Muhammad Sohail Usmani (Usmani) | 43 comments @ AYESHA
--------------
Kia baat hay aap ki sab se pehle aap ne yeh kitab khatam ki hay jis k liye aap ko mubarakbaad paish karta hon main... Khush rahen


message 87: by Muhammad (last edited Jan 25, 2016 04:47AM) (new)

Muhammad Sohail Usmani (Usmani) | 43 comments @AAISA
======

Aap ki kitab khatam ho iss ka humain bari shiddat se intezar rahe ga aap ki bari qeemti raaye yahan hum sab k liye bari maine rakhti hain aur umeed hay aap jald he hum se agli mulaqaat main kuch qeemti raaye hum sab se share karengi...

Khus rahen buhat.


message 88: by Aakash (new)

Aakash (mistyanon) | 5393 comments Mod
Whats are the plan for Feb jee?


message 89: by Ayesha (new)

Ayesha | 975 comments AssalamAlaikum everyone! Ab mujhe thoda hausla ho gaya hai,Warna mera khayal tha ke sirf mujhe he mushkil lag rae hai,Muhamad ki taraf mera bhe irada hai isko kuch saal baad parhne ka apni urdu improve karke:-)
What's in store for the next month?


message 90: by Aasia (new)

Aasia Abdali | 260 comments arey wah abhi se sathi agaye group read k liye. mujhe tu dar tha k Aag ka Darya jesi mushkil kitab parh k sb ko urdu kitabun se harak hi na hogyi ho.


message 91: by Aasia (new)

Aasia Abdali | 260 comments bhae february k liye koi esi kitab ka intikhab krte hein jo aasan ho. aur internet par available ho download k liye.


message 92: by Ayesha (new)

Ayesha | 975 comments How about Aks by Umera Ahmed?I think it was written in 2013 or 2014 maybe.SO?


message 93: by Ayesha (new)

Ayesha | 975 comments Waise yeh internet pe bhe available hai.


message 94: by Aakash (new)

Aakash (mistyanon) | 5393 comments Mod
waiting..


message 95: by Aasia (new)

Aasia Abdali | 260 comments Aakash wrote: "waiting.."

waiting for what?


message 96: by Aasia (new)

Aasia Abdali | 260 comments Ayesha wrote: "How about Aks by Umera Ahmed?I think it was written in 2013 or 2014 maybe.SO?"

han description tu jandaar hai. par lambi hai thori


message 97: by Ayesha (new)

Ayesha | 975 comments Hum sab ek ek kitab nominate kar laite hain pher vote kar lein ge,EASY!


message 98: by Aasia (new)

Aasia Abdali | 260 comments Ayesha wrote: "Hum sab ek ek kitab nominate kar laite hain pher vote kar lein ge,EASY!"

ok acha idea hai. bus sochna parega. :s


message 99: by Aasia (new)

Aasia Abdali | 260 comments Mein Mushaf by Nimra Ahmed ko nominate karti hon


message 100: by Ayesha (new)

Ayesha | 975 comments Aasia wrote: "Mein Mushaf by Nimra Ahmed ko nominate karti hon"

Main yeh pehle he parh chuki hun:-p


back to top