Pakistani Readers discussion
(Urdu Literature) اردو ادب
>
Dec-2015 Group Read

Sehar Aik Istara Hai by Umera Ahmed
اُداس نسلیں by Abdullah Hussein
Aik Mohabbat Sau Afsanay by Ashfaq Ahmed


Kher meri raaye hay k kyon na hum "Aag ka dariya" by Qurratulain Hyder parhen ???
ye aik buhat he classic book hay aur buhat he mashoor novel hay yeh per yahi baat k sab se pehley aap logo ki raaye aur kitabon k vote per he faisla hoga iss ka k kiya shoro karen hum aur apni raaye k izhaar ka tou sab ko he haq bhe hay janab kiya khayal hay :-)...
Shukriya...
Khush rahen aap sab...


hai.
P.S magar mujhe yakenan feroz-ul-lugat sath khol ke baithni pare gi:-)

Jo koi is kitab k baare mein kch jaanta ho ya writer k baare mein wo zaror yahan post kare.
Happy Reading to All!

hai.
P.S magar mujhe yakenan feroz-ul-l..."
Bilkul thek kaha Ayesha. Is mein hindi alfaz ka bhi khasa istamal kiya gaya hai. Iska mutaala aasan na hoga. Par inshaAllah hoga tasalli bakhsh!

Mere tu ghar par hai yeh kitab :D ek neik insan ne achi niyat se gift kiya tha ;)

Dosto umeed hay aap sab kheryat se honey... main aap logo se yeh baat share karna chahta hon k jesa k hamari December k discussion k liye "AAG ka DARYA" ka intekhab hua tha tou main ne usey shoro ker diya hay aaj se ;-)..
aap logo se bhe guzarish hay meri k aap bhe apni updates se aagah karen humain...
Shukriya

maine bhe Aag Ka Darya parhni shuru kar di hai magar bohat mushkil lag rae hai braha meherbani sab dua karen ke mera tempo set ho jae.

maine bhe Aag Ka Darya parhni shuru kar di hai magar bohat mushkil lag rae hai braha meherbani sab dua karen ke mera tempo set ho jae."
W.Assalam
Han yar Ayesha kitab tu hai bari mushkil. Lakin ab ehed uthaya hai tu PARH GUZARNA hai :D inshaAllah Allah ki madad se

The innovative structure of Aag ka Darya had no precedent. The novel is staged in four historical periods : first, the expansion of the Mauryan empire under Chandragupta in the fourth century BC; second, the end of the Lodi dynasty and the beginning of Mughal rule in the late fifteenth and early sixteenth centuries; third, the late-eighteenth-century beginnings of East India Company rule until its consolidation in the 1870s; and fourth, the two decades leading up to the 1950s that encompassed nationalist struggle, Partition, and Independence. These constitute four sequential yet discrete experiential moments that can neither be made amenable to a causal and teleological reading, nor slotted in as the discontinuous fragments characteristic of a high modernism. They are more readily grasped as a single constellation, as an individual attempt to apprehend a ‘civilization’, and as a doubled gesture repeated in a different conjuncture when the author’s own English version, River of fire , appeared in 1998. This was a fifth moment, rendered invisible by labels of transliteration or mistranslation, yet so powerful that I was compelled to reread Aag ka Darya backwards from River of Fire . It is a novel recomposed by the author: the changes in some narrative sequences and narrative voices remodulate it both in intention and effect. The basic spatial and temporal structure, however, remains unchanged; the four movements remain linked to each other through sedimentation and retrieval.

Aag Ka Darya: Often dubbed the best Urdu novel ever written, Qurratul Ain Hyder`s magnum opus Aag Ka Darya (1957) caused many controversies that have not really ended yet. Apart from the accusation of being inspired by Virginia Woolf`s biographical novel Orlando: A Biography spread over 300 years, the author was harassed for the views expressed in the novel. Though it is difficult to read the first 200 pages or so, the novel that covers some 2,500 years of the subcontinent`s history grips you once you try to grasp it.



Ziada mushkil hai kiya. Ap log kahen tu kisi aur ka intikhaab kar lete hein?

Sohail aye rafeeq e deirena! (yani pichli buddy read k saathi) aap kahan tk pohanchay?

Umeed hay aap sab kheryat se hongey....
meri bhe update kuch aisey he hay janab meri bhe abhi tak tees pages he hue hain filhal, kafi mushkil hy per hay buhat he umda kitab yeh kuch ziada waqt nahi nikaal paa raha hon parhne k liye main iss liye aahista aahista raing raing ker reading ho rahi hay filhal :-
Kher mere aur sab dosto se guzarish hay k aap log bhe apni update se aagaah keejye humain aur agar kuch mushkil paish aa bhe rahi hay tou bhe zaroor bataien taak iss k liye hum koi aur intekhaab kar lain nahi tou warna tou issi ki update hum se kahen aap log.
Khush rahen...

Mera bhe kuch ap logon jaise he hal hai yani maine sirf 34 safhe parhe hain aur school aur college ki urdu ke teachers bohat yaad ah rahe hain jo har lafz ki salees kar ke batati then.magar parhte hue meri kosish he ke main ise sirf skim na karun ta ke is se koi istifada hasil kar sakun is lie main bhe raing raing ke parh rahe hun.....

Shukriya

Mera bhe kuch ap logon jaise he hal hai yani maine sirf 34 safhe parhe hain aur school aur college ki urdu ke teachers bohat yaad ah rahe hain jo har lafz ki salees kar ke batati ..."
Lagi raho shair dil larki! mein bhi koshish kar rahi hon. inshaAllah hojayegi complete bhi.
Wese kitne interesting sawalat hein na is novel mein. Gautam ka thought pattern kafi interesting hai!

Bilkul,Gautam ke sath sath dusre kirdr be naqabil-e-faramosh hain .

Kesey ain aap sab ??? Bhae iss kitab k sath tou sare he ghayab ho gaye hain kahan hain sab kuch updates he nahi aa rahi hain ji....
Kher meri update yeh hay k filhal main ne 60 pages tak parhen hain aur mujhay buhat mazza aa raha hay buhat he acchi kitab hay per kuch mushkil bhe hay per chal rahi hay :-).... kher main kuch kitab se quotes aap k nazar karna chahta hon jo k aap ko pasand aayengi agli post main mere kuch muntakib kiye hue quotes mulahiza farmaiye ga...

"Her Shai Takleef hay, Saroom Dukham Dukham, Her Shai Faani hay. Jisim aur Rooh dono ki koiasliyat hahi, rooh lazawaal nahi, mahez uss kotashkeel tene wale anasir baki rehte hain, Rooh ka aawagon nahi mehez karam ka aawagon hay, insan iss tarha daftan bujh jata hay, jesey chiragh phonk maar ker gull ker diya jaaye, Sirf Waaqiyaat aur Ehsasaat ka dour tasalsul qayam hay aur rahe ga"

Bhae quotes tu ap k zabardast hein.
Mein bhi kuch discuss karna chahun gi ap logon se.
Ek sawaal jo aj kal mere dimagh mein chal raha hai wo do writers ne mere dimagh mein daala hai jo do kitabain mein abhi parh rahi hon un se nikla hai.
ek tu yeh quote dekhye Aag ka Darya se:
"Agar mere pass e manzar mein khon hai. mere chaarun taraf khoon hai. mein itne saare khoon ka kufara kis tarha ada karun ga...? "
"mujh se pehle ab tak jo kuch hua uss ki zimme dari mujh par hai ya nai.... ? "
Mere zehn mein sawal yeh hai k maazi mein jo hua us ka tu nai par haal mein jo hai kia uss k zimmedaar hum nai.?
Dekhye hum jo bhi amal karte hein uss k kuch manfi aur misbat asraat saamne aate hein. ek chain chalti hai radd e amal ki. humara amal ek shaks se chalta hua iss kura e arz k akhri admi tak asar andaz hota hai. Hum ek buhat bare reaction ka hissa hein.
jese k Sohail ap ne yeh quote likha hai Aag ka Darya se
" Her Insan k uss k Afaal zaroorat ya haadsey ya uss ki fitrat ki wajha se sarzad hote hain, Woh Khud-Mukhtaar nahi, Zimedari k koi maaine nahi"
Tu kia hum zimmidaar hein ya nai?
Akhir hum kitne mukhtaar hein?
Ya aap maante hein k saara hi humara qusoor hai?
Hum bane hi is tarha hai k asar chore bagher guzar nai skte?

Khush Aamdeed. Hum logon ne start kar diya hai Aag k Darya. Ap bhi sath dein!
Buhat dilchasp hai :D

===========
Khush aamdeed buhat khushi hui aap ko dekh ker aap bhe shoro karen hum ne bhe shoro ker di hay Janab aur aap ki qeemti raaye ka humsabko intezaar rahe ga...
Khush rahen

========
@ Mere zehn mein sawal yeh hai k maazi mein jo hua us ka tu nai par haal mein jo hai kia uss k zimmedaar hum nai.?
AGAR YEH KAHA JAYE K HUM PER KOI ZIMEDARI NAHI HAY TOU YEH INSAF NAHI HUA MAIN YEH SAMAJHTA HON K HUM PER BHE ISS KI KOI ZIMEDARI AATI TOU HAIN PER ISS K LIYE KUCH KARNEY K LIYE HUM BEBUS BHE HAIN YEH AIK FARD E WAHID KI BAAT NAHI BAL K SAB KO MIL KER ISS ZIMEDARI KO UTHANI HOGI SAB NE AGAR YAHI SOCH LIYA K MAAZI KI JO KHAMIYAN THEN USS K ZIEDAAR HUM NAHI TOU PHIR HAAL MAIN REHNEY WALEY BHE APNI ZIMEDARI QUBOOL NAHI KARENGEY AUR YEH AIK CHAIN KI TARHA SE ISSI TARHA SE CHALTA JAYE GA AUR KUCH BHE NA TOU THEEK HO SAKTA HAY AUR NA HE ISEY THEEK KARNEY KI ZIMEDARI LEGA.
Aur main iss baat se ittefaq karta hon k Insan Khud-Mukhtaar nahi hota us ki aik had hoti hay khud-mukhtari ki jo k zahir aisey waqt main hoti hain jab koi faisley aate zindagi main aate hain

Sorry ke mein ne koi bhe update nae ki kyunke maine jo pdf download ki the woh 50 pages ke aage blur ho gae aur pher kahen se mujhe woh book nae mili pher bookstore manager ke kan kha kha ke book mangwai.Kyunke maine pehli dafa koi urdu book mangwai thi to pehle mujhe kisi ne sanjidgi se nae lia magar bilakhir kitab agayi hai aur ab maine dobara se parhni shuru kar di hai.Ab bas main jaldi jaldi use khatam karun ge.
@Aasia and Muhammad Ap dono ne bohat he interesting khayalat share kie hain:-)ab main bhe susti kie bagair aisi karne ki kosish karun ge.
@Syed welcome!
@Aasia api Hum apne mazi ya haal pe asarandaz hote hain ya nae?yeh ek bohat multifactorial sa sawal kia hai apne magar mere mutabiq zindagi ke har pehlu mein do factors hote hain.Ek Allah ne humare lie ya likha tha (fate) and khud hum ne kya kia(like the basis of heaven and hell).

Haan, I started but then I remembered I'm having my final exams starting from 4th of January. ;)
In sha Allah, I'll read as soon as my exams get finished. :)

Sorry ke mein ne koi bhe update nae ki kyunke maine jo pdf download ki the woh 50 pages ke aage blur ho gae aur pher kahen se mujhe woh book nae mili pher bookstore manage..."
Koi bat nai ayesha koi bhi naya kaam karne mein dushwari tu hoti hi hai. Bus himmat nai haarna.
Aur Sohail, Ayesha and Foaad mere khayal se is group read ko Jan tak k liye extend kar dena chahye. Ap log apni raaye dein is baare mein!
Mein hundred pages in hun par pori kitab khatam karne mein mid january tu ho hi jaayega. ap sab log ka kia khayal hai?


Kia haal hay Dosto ???
Meri Nayi Update yeh hay k meri Kitab AKD k 180 Pages ho gaye hanin aur main 15th January tak ys uss se pehle he iss ko complete bhe ker longa in sha Allah, aap log bhe apne apney updates se aagah keejye ga...
Khush rahen,,,

-------------
aap bhe apni updates se aagaah keejye ga aur apni saholat ko dekhte hue aap bhe iss ko January main complete ker lain phir hum iss per aage discuss main lain ge.
Buhat Khayal rakhen apna....

@Aasia kahen kya khayal hai?:-)
@Sam-seehum hum log Aag Ka Darya parh rahe hain balke use parhne mein khasi susti dikha rahe(siwaye Aasia ke).btw Welcome onboard.
Books mentioned in this topic
Mushaf / مصحف (other topics)Mushaf / مصحف (other topics)
Mushaf / مصحف (other topics)
Aks/عکس (other topics)
Aks/عکس (other topics)
Authors mentioned in this topic
Nemrah Ahmed (other topics)Nemrah Ahmed (other topics)
Nemrah Ahmed (other topics)
Iss mahene kon si book parhi jaaye?
Jo log parhne mein interested ho woh apni raaye ka izhaar karein.
Aur ek achi si book nominate karein.
Pir majority vote se hum ek book ka intikhab karein gein.
Koshish karein k esi book nominate karein jo internet par download k liye available ho.