Pakistani Readers discussion
(Urdu Literature) اردو ادب
>
شعر و شاعری

ho gae tou qaza na krna
muhabbat farz hoti hae

Girte rahe sajdon me..apni hi hazraton ki khatir...
Agar ishq k khuda me gire hote...toh koi hazrat adhoori na hoti

yaqeen misle khaleel atish nasheeni
yaqeen Allah masti khud gazini
tou ae tehzeeb e hazir k giraftar
gulami se batar hae be yaqeeni
TRANSLATION:
faith is like Abraham at the stake; to be
self honouring and God drunk is faith; hear me
you whom this ages way so captivate
to have no faith is worse then slavery
personally im not into romantic shayri... im more of a Allama Iqbal faiz sort of a person... :P

Ya woh jagah bata, jahan khuda nahi
- MIRZA GHALIB
Masjid khuda ka ghar hai, peene ki jagah nahi...
Kafir k dil me ja, waha khuda nahi
- ALLAMA IQBAL
Kafir ke dil se aya hoon, main yeh dekh kar
Khuda maujood hai waha, par use pata nahi
-AHMAD FARAZ

Aankhain unchii hui tou DUAAA ban gayi...
Aankhain uth kr jhuki tou ADAA ban gayi...
Aankhain jhuk kr uthi tou KHATA ban gayi...!!!
-Nusrat Fateh Ali Khan

Khak palkoun se dhou, rahguzar bhool ja
Ajnabi ban k dekh uski tasweer ko
Yad rakhney k sarey hunar bhool ja
Phir se aabad kr dil k pataal ko
Uska gaoun, galli, bam-o-dar ko bhool ja
Aoudh ley khud pe dunya ki sab ronqein
Zid na kr, ab usey chasm-e-tarr bhool ja
Yad rakh uski batoun k sb zaiqey
Us k waadoun ki lazzat mager bhool ja
Palkoun palkoun bicha piyas ki teergi
Aankh me chandni k bhanwar bhool ja
Us k aaney na aaney se ab darguzar
Apney honey na honey ka dar bhool ja
Khud se wabasta ruswaeioun ki tarah
Uski shuhrat ki taza khabar bhool ja
Ab to youn hai k MOHSIN her ik yar ko
Lamha bhar k liye yad kr, bhool ja...
- Mohsin Naqvi
Mai.n ye kis ke naam likhoo.n jo alam guzar rahay hai.n
Meray shehar jal rahay hain, meray log mar rhay hain
Koi guncha ho ke gul ho, koi shaakh ho shajar ho
Wo hawaa-e-gulstaan hai ke sabhi bikhar rahay hain
Kabhi rehmatain thi nazil issi khita-e-zamee'n par
Wohi khitta-e-zamee'n hai ke azaab utar rahay hain
Wohi taairo'n ke jhurmut jo hawa main jhooltay thay
Wo fizaa ko dekhtay hain to ab aah bhar rahay hain
Koii aur to nahi hai pas-e-khanjar aazmaai
hamee qatal ho rahay hai.n, hamee qatal ker rahay hai.n
Meray shehar jal rahay hain, meray log mar rhay hain
Koi guncha ho ke gul ho, koi shaakh ho shajar ho
Wo hawaa-e-gulstaan hai ke sabhi bikhar rahay hain
Kabhi rehmatain thi nazil issi khita-e-zamee'n par
Wohi khitta-e-zamee'n hai ke azaab utar rahay hain
Wohi taairo'n ke jhurmut jo hawa main jhooltay thay
Wo fizaa ko dekhtay hain to ab aah bhar rahay hain
Koii aur to nahi hai pas-e-khanjar aazmaai
hamee qatal ho rahay hai.n, hamee qatal ker rahay hai.n

Acha guzra howa kuch waqt bohat yaad aaya
Meri aankhon k har ik ashk pe rony wala
Aaj jab ye aankh roe tau bohat yaad aaya
Jo mere dard ko seenay main chupa leta tha
Aaj jab dard howa tau bohat yaad aaya
Jo meri aankh mein kajal ki tarhan rehta tha
Aj kajal jo lagaya tou bohat yaad aaya
Jo mere dil k tha qareeb faqt usko he
aj jab dil ne bolaya tau bohat yaad aaya

Wo Husn-e-Noor ka jaam pilakar chaldiye...
Pucha hamne ke chand nikalta hai kaise...
To woh chehre se, zulfein hata ke chjaldiye...!!!

Hum Woh Sikanadar Hain Jo Lashkar Rakha Nahi Kartay ♥

ghar jao to Yaron se mera zikar na karna
wo zabt na kar paen gay Ankho k samandar
tum gum guzaro se mera zikar na karna
pholon k Nasheman Main raha hoon sada se
dekho kabhi gairoon se mera zikar na karna
shahyad ye andehre he mujhe rah dekhai
ab chaand sitaro se mera zikar na karna
wo meri kahani ko ghalat rang na de day
afsana nigaro se mera zikar na karna
shayad wo mere haal pe be-sakhta roo de
is bar baharo se mera zikar na karna
le jaingay gehrai mai tum ko bhi baha kar
darya k kinaro se mera zikar na karna
wo shakhs mile tou ussay har baat batana
tum sirf isharo se mera zikar na karna
-Wasi Shah

Par jab who nazdeek ho, tab nazar tak nahi uthayi jaati…

Qatra Qatra baras rahi hai, ashkoon ki barsat wasi...
Terey baad yeh duniyan waley mujhko pagal ker denge,
khushboon ke desh mein mujhko le chalo sath wasi..
Yoon hee chup ki mohar laga ker, kab tak gumsum baithoge.
Khamoshi sey dum ghut'ta hai karo na koi baat wasi...
Aaj to yaar ka chehra bhi kuch badla badla lagta hai,
Mosam badla, duniya badli, badle hain halaat wasi...
Chhodh wasi ab uss ki yaden, tujh ko pagal ker dengi
Tu qatra hai woh darya hai , dekh apni auqat wasi.....

Zaeef Dushman pe war krty to wakt k hm dajal hoty.....
nai tha aisa mizaaj aisa,k zrf kho kr ana bchaty.......
warna aisy jawab dety ,k phir na piada swal hoty....
hmari fitrat ko janta hai ,tabi to dushman ye keh rha hai.....
hy dushmani main bhi zrf aisa,jo dost hoty kamal hoty...
jo aa k tum hal pooch lety, to itni lambi umar nalgti....
k wasl ki ik ghari main sary maah o saal hoty.....
usy mubarak mukam ooncha saheeh hakeekat hmain pta hai......
bnaty rishton ki hm bhi seerhi,to asman ki misaal hoty....

Waqt Uska Tazkira Kia Jaye dost..
Jin Se Hoti He Dosti, Woh Dil Ki
Khamosh Darhkan Me Basaa Karte
Hain...

Humne toh apne bhi aazmaye hain,
Log kaantoon se bach ker chalte hain,
Humne toh phoolon se bhi zakhm khaye hain
Sang har shaks ne haathon mein utha rakha hai,
Jabase tuune mujhe deewaana bana rakha hai,

Namak se Ghar bnata he.
Wo Diwana Musawwar hae,
Hawa k Par bnata he.
Hisar-e-Chashm me reh kr bhi,
Wo Mera nahin hota.
Main Aainy sajata hun,
to Wo pathar bnata hae.
Boht Hansta he jis Din ,
Kisi Pur-Lutf Mehfil mein.
Usi din sary Kaghaz pr,
Wo Chashm-e-Tar bnata hae.
Faseel-e-Zat me Apni,
koi Rozan nahi rakhta.
Nazar se dil mein janey k liay
Ik dar bnata hae.
Kisi surat nahi hota
Takal'lum par wo aamada.
Bht main zid kroun tou
Lab pey ik nashtar bnata hae...!
Ta'allauq jin se ho un par gila aya hi karta hai
Mohabbat jin se ho un se shikayat ho hi jati hai
Mohabbat jin se ho un se shikayat ho hi jati hai

Lahu Lahu tha Dil magar, hoton ne kaha, INSHALLAH...
Nadeem wrote: "Barbaad kar ke mujhe...pucha usne, kaho karoge phir Mohabbat mujh se??
Lahu Lahu tha Dil magar, hoton ne kaha, INSHALLAH..."
Epic!!!!
Lahu Lahu tha Dil magar, hoton ne kaha, INSHALLAH..."
Epic!!!!
Shehzad wrote: "Kuch Aesi Raas Aayi Meri Kaafri Mujhe
Koshish k Ba Wajood Munafiq Na Ban Saka!!"
Waah hero wala tashan:P
Koshish k Ba Wajood Munafiq Na Ban Saka!!"
Waah hero wala tashan:P
Darya-e-Mohabbat ke kinAre Nahi Hotey...!