Pakistani Readers discussion
(Urdu Literature) اردو ادب
>
شعر و شاعری
date
newest »


dil e reza reza ganwa dia
jo bachay hein sung samet lo
tan e dagh dagh luta dia
mere charagar ko naveed ho
saf e dushmanan ko khabar kero
wo jo qarz rakhty thay jaan per
wo hisab aj chuka dia
kero kaj jabeen pe sar e kafan
mere qatilon ko guman na ho
k ghuroor e ishq ka bankpan
pas e marg hum ne bhula dia
udhr ek harf ki kuftni
yahn lakh uzr tha guftni
jo kaha to sun k ura dia
jo likha to par k mita dia
jo rukay to koh e garan thay hum
jo chaly to jaan se guzar gaey
rah e yar hum ne qadam qadam
tujhy yadgar bana dia
Faiz
(i kind of feel like i dont remember some parts correctly.. please correct me if you know)

Namak se Ghar bnata he.
Wo Diwana Musawwar hae,
Hawa k Par bnata he.
Hisar-e-Chashm me reh kr bhi,
Wo Mera nahin hota.
Main Aainy sajata hun,
to Wo pathar bnata hae.
..."
Bhae Khoob

Saaye Bhi Raah ki Dewaar Howa Kartay Hain
Wo Jo Sach Boltay Rehnay Ki Kasam Khaatay Hain
Wo Adalat Mein Gunaah-gaar Howa Kartay Hain
Sirf Haathon Ko Na Dekho Kabi Aakhen Bhi Parho
Kuch Sawaali Barray Khud-daar Howa Kartay Hain
Wo Jo Pathar Yunhi Rastay Mein Paray Rehtay Hain
Un Ke Seenay Mein Bhi Shaah-kaar Howa Kartay Hain
Subaah Ki Pehli Kiran Jin Ko Rula Deti Hai
Wo Sitaaron Ke Azadaar Howa Kartay Hain
Jin Ki Aankhon Mein Sadaa Pyaar Ke Sehra Chamkain
Dar Haqiqat Wohi Fankaar Howa Kartay Hain
Sharam Aati Hai Dushman Kisay Samjhain Mohsin
Dushmani Ke Bhi Kuch Mayaar Howa Kartay Hain
ab to ghabra k kehtay hai k hum mar jaye gay
mar k bhi chain na paya tou kidr jaye gay
plz not more than 2-4 lines of poetry..
mar k bhi chain na paya tou kidr jaye gay
plz not more than 2-4 lines of poetry..

Khwab dil hain na ankhen na sansen k jo
Reza reza hue tu bikhar jaenge
Jism ki maut se ye bhi mar jaenge
Khwab marte nahi ♥
Umar Bhar Hum Yun Hi Galti karte Rahe Ghalib.
Dhool Chehre Pe Thi Aur Hum Aaina Saaf Karte Rahe....
Dhool Chehre Pe Thi Aur Hum Aaina Saaf Karte Rahe....

مجھے قسم ہے مری شانِ آدمیت کی
فریب دے نہیں سکتا ، فریب کھائے تو ہیں
میں تو یہ دیکھ کے پت جھڑ میں بھی ہنس دیتا ہوں
ایک پتا ہے سرِ شاخ ابھی مستحکم
رواں ہوں میں ستارہ در ستارہ
زمیں پر میرا سایہ جا رہا ہے
جو دل دکھا ہے تو یہ عزم بھی ملا ہے ہمیں
تمام عمر کسی کا نہ دل دکھائیں گے ہم
https://www.goodreads.com/topic/show/...
Get a look at our new Interesting contest here at this thread!
Get a look at our new Interesting contest here at this thread!
hazar chiragh jalawo gey tum roshni k lein :P