Pakistani Readers discussion

281 views
(Urdu Literature) اردو ادب > شعر و شاعری

Comments Showing 151-200 of 316 (316 new)    post a comment »

message 151: by [deleted user] (new)

waah:)


message 152: by Preeshay (new)

Preeshay (goodreadscompreeshay_pari) aadaab aadaab:)


message 153: by Samreen (new)

Samreen | 92 comments thankx @pareeshay & Shehzaad app logun ka husn e zoaq hai :)


message 154: by Sohaib (new)

Sohaib | 6884 comments Teri he zaat mujhe khud mein hai dikhai di
Mein apni zaat mein is tarhan fana howa


message 155: by [deleted user] (new)

mujy smjh nai ayi sohaib:/:P haha:P


message 156: by Sohaib (new)

Sohaib | 6884 comments it means i lost my being in ur rememberance or in ur thoughts :-P i and u not referring to u :-D


message 157: by [deleted user] (new)

mjhy abhi b nai smjh ayi:/:P hahahahhaha:P paindu hu na:D:D

nai a gyi:P nice.


message 158: by Sohaib (new)

Sohaib | 6884 comments Aik diya dil mein jalana bhi bujha bhi dena
yaad karna bhi ise roz bhula bhi dena

Khat bhi likhna ise mayos bhi rehna ise
Jurm karna bhi magar khud ko sza bhi dena

Mujhko rasmon ka takaluf bhi gawara lekin
Ji mein aae tau ye deewwar gira bhi dena

kya kahon ye meri chahat hai ya nafrat iski
naam likhna bhi mera likh k mita bhi dena

Surat naqsh qadam dasht mein rehna Mohsin
Apne hone se na hone ka pta bhi dena


message 159: by [deleted user] (new)

Waah!!:P mashAllah!:P


message 160: by Preeshay (new)

Preeshay (goodreadscompreeshay_pari) "Muqaddar kay sitaron par
Zamanay kay isharon par
Udasi kay kinaron par
Kabhi veeran shehron mein
Kabhi sunsaan raston par
Kabhi hairaan ankhon mein
Kabhi bay'jaan lamhon par
Tumhari yaad holay sy
Koi sargoshi krti he

ye palkein bheeg jati hein
To aansu toot girtay hein
Mein palkon ko jhukaati hun
Bazaahir muskurati hun
faqat itna hi kehti hun
mujhy
itna kyun sataty ho..

Mujhy tum yaad atay ho...
Bohat hi yaad atay ho.....!!"


message 161: by Sohaib (last edited Aug 12, 2014 11:35AM) (new)

Sohaib | 6884 comments Nice Preeshay :)


message 162: by Preeshay (new)

Preeshay (goodreadscompreeshay_pari) thnx:)


message 163: by Preeshay (new)

Preeshay (goodreadscompreeshay_pari) "Ajeeb apni ye zindagi he
Sametun jitna bikhar rahi he
Mein aik pal ko bhi jee na payi
Ye lamha lamha guzar rahi he..!!"


message 164: by Sohaib (new)

Sohaib | 6884 comments Riat par likh k mera naam mitaya na karo
ankhen sach bolti hain pyar chupaya na karo

log har baat ka afsana bana lete hain
sab ko halaat ki rudaad sunaya na karo

ye zaruri nahin har shakhs masiha hi ho
pyar k zakhm amanat hain dikhaya na karo

shahar-e-ehsas main patthar bahut hain ‘Mohsin’
dil ko shishe ke jharonkhon main sajaya na karo


message 165: by Preeshay (new)

Preeshay (goodreadscompreeshay_pari) "Zindagi jab maayoos hoti he
Zindagi tab hi mehsoos hoti he..!"


message 166: by Faheem (new)

Faheem  (faheeem) | 1597 comments Mod
@Sohaib n @Preeshay

Aadaab Aadaab :)


message 167: by Sohaib (new)

Sohaib | 6884 comments @Faheem u mean muqarar muqarar? :-P


message 168: by Faheem (last edited Aug 15, 2014 06:23AM) (new)

Faheem  (faheeem) | 1597 comments Mod
Sohaib wrote: "@Faheem u mean muqarar muqarar? :-P"

haha :D
Na, No use of Muqarar here,u'll just copy paste it. :P

btw i reminded me of an interesting incident, Anwar masood told in a Mushaeraa.

" Mushaeray mian koi nazam ya gazal dubara sunane k lye "Muqarar Muqarar " kaha jata hia. Or kuch log "Dobara" bhe bol daite hian... Aik dfa Mushaeray ke duran nazam logon ko bht pasand aye, Jese he wo nazam mukamal hoi to aik shahks josh mian a k bole " Dubarar Dubarar :P "


message 169: by [deleted user] (new)

hahahaha:P wo shks tha faheem:D haha:P


message 170: by Shehzad (new)

Shehzad | 648 comments @Faheem - hahaha, he's a great scholar i must say.


message 171: by Preeshay (last edited Aug 15, 2014 06:38AM) (new)

Preeshay (goodreadscompreeshay_pari) "Kitnay barson ka safar khaak hua
Us ny jab pucha "kesay aana hua..?!"


message 172: by [deleted user] (new)

pareeshay bisti ho gyi:P


message 173: by Preeshay (new)

Preeshay (goodreadscompreeshay_pari) ni yar ye US asal mein wo ha jis ny udhaar liya tha mujsy ar fraar ho gya phr just like u did from the group...:p


message 174: by [deleted user] (new)

bahhahahahhahahahahha!:P laughing hard!:P loooooooool


message 175: by Preeshay (new)

Preeshay (goodreadscompreeshay_pari) "Agar wo puch le hum sy k 'kis baat ka gham he..'?
To phir kis baat ka gham ho ,agar wo puch ly hum sy..!!"


message 176: by Sohaib (new)

Sohaib | 6884 comments tsk tsk tsk.... swoon karte log :-P


message 177: by Shehzad (new)

Shehzad | 648 comments Yeah but I like the shaer :-P


message 178: by [deleted user] (new)

puarana hai but nice:P aj mene hasrat mohani ka shair prha bohat alaa!yaad nai smthng like ' dill toot kr usi se milta hai':P yad nai:P


message 179: by Sohaib (new)

Sohaib | 6884 comments shair k do misray hote hai janab :-P


message 180: by [deleted user] (new)

han wo phla tha milna na milna:P smthng pta nai:P


message 181: by [deleted user] (new)

Tum mohabbat nai aqeeda ho
Mein tumhy ikhtyaar kr lu ga:P


message 182: by Preeshay (new)

Preeshay (goodreadscompreeshay_pari) @Zarnab Astaghfirrullah...phir mein tumharay qatal ka fatwa dy dun gi... :p


message 183: by Preeshay (new)

Preeshay (goodreadscompreeshay_pari) @Sohaib o hello..!! whoz swooning out there...?? it wz just an acha Shair... Aahooo...:# :p


message 184: by [deleted user] (new)

@pareeshay:tum Mufti Muneeb-ul-Rehman ho?:D:D


message 185: by Preeshay (new)

Preeshay (goodreadscompreeshay_pari) ehhhh i dont like that man ...seriously...
ni mein mufti ni muft ki ftwani hun...:p


message 186: by [deleted user] (new)

muft ki ho to phir awaam se kutt b khao gi:P


message 187: by Faheem (new)

Faheem  (faheeem) | 1597 comments Mod
Shehzad wrote: "@Faheem - hahaha, he's a great scholar i must say."

It was Anwar Masood,Punjabi Poet ,i think you mistook for Anwar Maqsood. :)


message 188: by Preeshay (new)

Preeshay (goodreadscompreeshay_pari) kyun g Imran khan ar wo TUQ(Shehzad walay) kraaya detay hein kya...:p


message 189: by [deleted user] (new)

TUQ ki pta nai kiya tuk bnti ahin yaha:P haha:P
Oye mjhy lgta ahi kraya dety hain:P sari youth net pe busy hai uski raili ein kon gya??:P zara sochiye!:P


message 190: by Preeshay (new)

Preeshay (goodreadscompreeshay_pari) aye haye or itny kaam hein ab ye sochny ka kaam b mein hi krun...na baba na ajkl bilkul time ni tum aisa kro tum socho mein chli apni behan ki shadi ki TYAARIYAN nibtaanay...:p

wesay i know krna tum ny b kakh ni...:D


message 191: by [deleted user] (new)

hahahaha:P yeh kaam jo sochny wala hota hai wo faheem ya sohaib ka hota ahi mein shosha chor skti hu bs soch nai:(...soch k sr drd krta ahi:(:P

oye kasay dress bnwaye??:P


message 192: by Asad (new)

Asad Saeed | 2 comments Dil yon dharka k parishan howa ho jaisy,

koi be-dhiyani main nuqsan howa ho jaisy,

rukh badalta hon to sheh rag men chubhan hoti hy,

ishq bhi jang ka maidan howa ho jaisy,

jism yon lams-e-rafaqat k asar sy nikla,

dosry daur ka samaan howa ho jaisy,

dil ny yon phir mery seeny main faqeeri rakh di,

toot kar khud he pashimaan howa ho jaisy,

thaam kar haath maira aisa woh roya "Mohsin",

koi kaafir sy musalman howa ho jaisy....!!!


message 193: by [deleted user] (new)

The last line<3


message 194: by Shehzad (new)

Shehzad | 648 comments @Faheem- :-) No Sir, i didn't mistake him. I meant Anwar Masood, the Punjabi poet. Isn't he a scholar?


message 195: by Faheem (new)

Faheem  (faheeem) | 1597 comments Mod
Shehzad wrote: "@Faheem- :-) No Sir, i didn't mistake him. I meant Anwar Masood, the Punjabi poet. Isn't he a scholar?"

0h, honestly i don't know. may be he is. i jst never heard him being introduced as scholar. :)


message 196: by [deleted user] (new)

Socho to saari umer mohabbat mein kut gyi
Dekho to ik pal bhi wo humko mila nahi:P


message 197: by [deleted user] (new)

koi to aisi baat kro
jis se lgy tum mere ho:P


message 198: by Shehzad (new)

Shehzad | 648 comments I first heard this beautiful poem in a Pakistani drama on PTV. I've forgotten the artist who recites it, but he did a great job, and it was a good play.


hamesha der kar deta hun main
zaruri bat kehni ho
koi wada nibhana ho
usy awaz deni ho
usy wapis bulana ho
hamesha der kar deta hun main
madad karni ho
kisi yaar ki dharas bandhana ho
bahut derina raston per
kisi se milney jana ho
hamesha der kar deta hun main
badalte mausamon ki sair main
dil ko lagana ho
kisi ko yad rakhna ho
kisi ko bhul jana ho
hamesha der kar deta hun main
kisi ko maut se pahle
kisi ghum se bachana ho
haqiqat aur thi kuch
usy ja k ye batana ho
hamesha der kar deta hun main


message 199: by Preeshay (new)

Preeshay (goodreadscompreeshay_pari) "Rooh mein koi gham he poshida
Zindagi by wajah udaas nahi...!!"


message 200: by Sohaib (new)

Sohaib | 6884 comments @Shehzad its Munir Niazi.... one of the absolute legends of urdu poetry


back to top