Indian Readers discussion

1462 views
Poets, Poems n Poetry > Sher-o-Shayri ! ! !

Comments Showing 1-50 of 2,213 (2213 new)    post a comment »
« previous 1 3 4 5 6 7 8 9 44 45

message 1: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Us ek haseen chehre ne humein tanha kar diya doston...
varna hum to apne aap mein hi ek mehfil hua karte the...!!


message 2: by Sheetal (new)

Sheetal (sheevi) | 327 comments Mulakat bhi kbi aansu de jati h...
Nzren bhi kbi dhokha de jati h...
Gujre hue lamho ko yad krke dekhiye...
Tanhai bhi kbi kbi sukoon de jati h!!!!!


message 3: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Zindagi Youn hi Bohat Kam Hai Mohabbat Ke Liye...

Rooth Kar aise…waqt zaaya na kiya karo…


message 4: by Sheetal (new)

Sheetal (sheevi) | 327 comments Muskurakar gum ka jhahar jisko pina aa gya....
ye hkikat hai ki jhan me usko jina aa gya!!!


message 5: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Qayamat Hai Zaalim Ki jhuki Nigahein 

Khuda Janay Kya Ho... Jo Nazrein Utha Lein ♥


message 6: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments @sheetal...nice one


message 7: by Sheetal (new)

Sheetal (sheevi) | 327 comments @nadeem.. thank you!


message 8: by Sheetal (new)

Sheetal (sheevi) | 327 comments Gum ki andheri rat me dil ko na bekrar kr.....
Subah jarur aayegi, subah ka intzar kr....!!!


message 9: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments @sheetal...quite motivational haaaan....


message 10: by Sheetal (new)

Sheetal (sheevi) | 327 comments @nadeem... yah! you can say as positive thinking too!


message 11: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Meri taqdeer badal dengey mere jaanbaaz irade...!

Meri kismat nahi mahutaj mere hathon ki lakiron ki.


message 12: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments How abt the above one....???


message 13: by Sheetal (new)

Sheetal (sheevi) | 327 comments @nadeem... good one! I like it..


message 14: by Sheetal (new)

Sheetal (sheevi) | 327 comments Hosla mat har girkar MUSAFIR.....
THOKRE insan ko chalna sikhati h....!!!


message 15: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments parindo ki fitrat se aayE the woh mere dil me,

zara pankh nikal aaye to aashiyana chhod diya


message 16: by Sheetal (new)

Sheetal (sheevi) | 327 comments nice one....


message 17: by Sheetal (new)

Sheetal (sheevi) | 327 comments Nadeem@.. do you write shayries by own selves?


message 18: by Purvika (new)

Purvika (violetstygian) | 1252 comments Intezaar kerte kerte zindagi nikal gayi
Waqt tham gaya, duniya thahar gayi,
Ab na ho sakega Ye intezaar humse aur,
Ki intezaar kerte kerte, sanse bhi ruk gayi.


message 19: by Sheetal (new)

Sheetal (sheevi) | 327 comments @augusti...like!


message 20: by Purvika (new)

Purvika (violetstygian) | 1252 comments Thx


message 21: by Sheetal (new)

Sheetal (sheevi) | 327 comments Jrro me rah gujar ke chamak chod jaungi...
Aawaz apni door talak chod jaungi....
Khamoshiyo ki mout gwara nhi mujhe....
Toot kr bhi apni khanak chod jaungi....!!!


message 22: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments @sheetal....yaaa....sometimes i do write shayris


message 23: by Anuradha (new)

Anuradha (anuradha1981) | 10 comments I am a scientist, shayeri kiye huye yug bit gaye. Plus long time anyone presented me with Shayeri, someone dedicate a few lines to me.


message 24: by Purvika (new)

Purvika (violetstygian) | 1252 comments Lab jo keh na paye, aankhein dikha gayi,
Mere dil ki har Aah ko dharkan suna gayii,
Baatein adhuri jo chodi thi humnein,
Un baton ko zalim Ye khamoshi bayan Ker gayii.


message 25: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments dedicated to @anuradha @augusti and @sheetal

Teri hasti say...teri zaat se khusbu aaye...
Tu jo bole, to teri baat se khusbu aaye...
Tujhko dekho, toh meri aankh mehak si jaye...
tujhko sochon, toh mere khayalat se khusbo aaye...
Tu hai mushk, ya hai nargis, ya hai gul-e-gulab...(repeat)
ki tujhko choo lu, toh mere haath se khusbu aaye..


message 26: by Anuradha (last edited Feb 16, 2013 05:28AM) (new)

Anuradha (anuradha1981) | 10 comments @Nadeem: I am floored!!!


message 27: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments @anuradha...thanks


message 28: by Purvika (new)

Purvika (violetstygian) | 1252 comments Aapki shayari se aapke khayalat ka andaz-e-bayan hota hai ... :p


message 29: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments oh god...i think i have hit a nerve there...
Shayar hote hi aise hai...jo dil me, woh zubaan pe! ! !


message 30: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Main zamanay main badnaam faqat is liye hon...
Mujhe logon ki tarhan badal jaana nahiin aata.


message 31: by Purvika (new)

Purvika (violetstygian) | 1252 comments Manzaley wahi hai, raste badal gaye,
Khwab wahi hai humare, unke jasbaat badal gayee,
Koshish to bahut ki humnein , par khudko badal na paye,
Bas ek palak zhapkayi humnein, aur woh badal gayee.


message 32: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Teri halat se lagta hai, tera Apna tha Koi
Itni saadgi se barbaad, koi ghair nahi karta


message 33: by Purvika (last edited Feb 17, 2013 03:57AM) (new)

Purvika (violetstygian) | 1252 comments Gairo ki parwah hum nahi kertey,
Aapno ki berukhi se dil Rota hai,
Woh gair nahi jo Ghar ujhara kertey ,
Yeah kaam toh apno ke haaton se hi hota hai .


message 34: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Ye IshQ ki Manzil Hai Qadam Soch k Rakhna,, 

Darya-e-Mohabbat ke kinAre Nahi Hotey...!


message 35: by Purvika (last edited Feb 17, 2013 05:18AM) (new)

Purvika (violetstygian) | 1252 comments yeah zarurai toh nahi,
har dard mohabbat ke nazrane ho,
yu bhi toh ho sakta hai e-dost
kabhi kabhi palko se giri shabnam,
kisi aur hi manzar ke afsaane ho.


message 36: by Purvika (last edited Feb 17, 2013 06:12AM) (new)

Purvika (violetstygian) | 1252 comments zindagi toh aapki jagir banke reh gayi,
hum taras te reh gaye ek lamhe ke liye,
aap aaye zindagi ko saath leke chal diye.

:P :P


message 37: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments @augusti...awesome


message 38: by Purvika (new)

Purvika (violetstygian) | 1252 comments thx


message 39: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Uss Ko Chaha To Mohabbat Ki Samajh Aai
Warna Is lafz Ki Sirf Tareef Suna Kartay thay


message 40: by Purvika (new)

Purvika (violetstygian) | 1252 comments na aapnao tareke dusro ke jeene ke liye,
khud ko dhund na paoge mehfil ki bhed mein,
jeene lage jab ek nayi ummed ki tarah,
toh lakho mein bhi rehke fehlaoge roshni,
jaise hota hai chaman gulshan bahaar mein.


message 41: by Purvika (new)

Purvika (violetstygian) | 1252 comments shukriya shukriya janab-e-aala


message 42: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Chalo Bant Lete Hein Kuch Is Tarah Se Dunia Saari . . .♥

Sab Kuch Tum Rkh Lo, Ek Bus Tum Hamaray . . . . ♥


message 43: by Purvika (new)

Purvika (violetstygian) | 1252 comments Na umeed hai , na chaah hai ,
Is berang duniya ka hum kare kya ,
Yeah toh chaar din ki chandni hai,
Fir toh zarra zarra fanna hai .


message 44: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Here is the reply for the above shayri...


message 45: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Taqdeer Ke Likhe Par Kabhi Shikwa Na Kiya Kar..

>Ae INSAAN..

Tu Itna Aqalmand Nahi Ki
KHUDA Ke Iraade Samajh Sake...!


message 46: by Purvika (new)

Purvika (violetstygian) | 1252 comments Humein shikwa nahi taqdeer se,
Na koi sikhayat hai,
Ye toh Jang hai meri us KHUDA se,
Jisne cheena mujhe mera jahaan hai.


message 47: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Aansu Na Hote Aankhon Mein To Aankhen Khubsurat Na Hoti,

Dard Na Hota Duniya Mein To Khusiyon Ki Kimat Na Hoti,

Sab Muraadein Hoti Puri Chahne Se To Khuda Ki Zaroorat Na Hoti


message 48: by Purvika (new)

Purvika (violetstygian) | 1252 comments Hoti na poori chahte to gam na tha,
Murade toh Waqt Dar Waqt badalti hai,
Afsoos toh is baat ka hai e-dost,
Meri wajah-e-zindagi ko mujhse dur kiya.


message 49: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Abhi To Chand Lafzon Main Samaita Hai Tujhe Main Ne,

Abhi To Meri Kitabon Main Teri Tafseer Baaqi Hai…! ♥


message 50: by Purvika (new)

Purvika (violetstygian) | 1252 comments Chand lafzon se bani hai kahani meri,
Hawa ke zhoko ki tarah hai rawani meri,
Tafseer ko kitabo mein kaid kerne ki zarutat nahi,
Isko sunna hai toh Suno jabaani meri.


« previous 1 3 4 5 6 7 8 9 44 45
back to top