Indian Readers discussion
Poets, Poems n Poetry
>
Sher-o-Shayri ! ! !
Dard-o-Gham bhi aziz hain hum ko,Pyar hota nahin sazaa ki tarah,
Tum pr jaan di tou soch ker yeh di,
Lain ge na wapis ab Khuda ki tarah…
mian jor lagtay gai fasanay mein. raazkhulta gaya chupanay mein,
Tu nay tinkay samjh kay phook diyaaay, meri dunuiya thi aashiyanay
mein,
aadmi! aadmi ka jism kya hai jis peshaida hai jahaan
aik matti ki emarat aik matti ka
makaan
khoon ka dara bana hai eenth jis
mein haddiyan
chund saanson per khara hai yeh
khayali aasman
Shatranj ki Chaalon ka Khauf Unhe hota hai, Jo Siyaasat Karte hain.....Saahab! Hum to MOHABBAT karte hain!
Main Mar JaonTo Mera Dil NkalKr Os Ko Dy Ana...::
;(..::yaroo::..;(
::Main Nai Chahta Mere Marne K Baad Wo Khelna Chor
Day::.. ....:>
Chupchaap chal rahe the safar-e-hayaat me,tum par padi najar to gumraah ho gaye....!!
Hum to besabab udaas hai,
ishq hota to koi baat bhi thi....!!!
Kuch Nasha To Aapki Baat Ka Hai;Kuch Nasha To Dheemi Barsaat Ka Hai;
Humein Aap Yun Hi Sharabi Na Kahiye;
Is Dil Par Asar To Aap Se Mulakat Ka Hai!
Rakh Bharosa Khudpar, Kyon Dhundhtaa Hai Farishte.....Pankhiyon ke Paas Nahi Hote Nakshe, Fir bhi Dhundh lete Hain Raaste.....
Suna Hai Aaj Uski Aankhon Me Aansu Aa Gaye.....Jab Wo Bachchon Ko Sikha Rahi Thi Ki "MOHABBAT" Aise Likhte Hain...!
Khoobsurti Se Dhokhaa Naa Khaaiye Janaab.....Talwaar Kitni Bhi Khoobsurat Kyon Naa Ho, Maangti To Khoon Hi Hai.....
Eid e milaad nahi hai bhai aaj...Its eid ul fitr....
Eid e milaad is prophet Muhammad's (Peace be upon him) birthday...
But anyways.....thnx for the wishes
Wish u the same
Piya wrote: "Jab Alfaaz Panno Par Shor Karne Lage...Samajh Lenaa Sannaate Badh Gaye Hain DIL Me!"
This was EPIC....
Really really really liked it !!!
Na haath diya, Na gale mile, Na mayassar tumhaari deed hui....Abh tum hi bataao Aye mehboob, yeh Qayamat hui ya Eid hui??
Extremely sorry Nadeembhai! I didnot do this wilfully. It happened unknowingly.
Mera Maksad To Sirf Badhaai Dene ka tha. Agar Buraa laga ho to Bhai samajhkar Maaf kar dena.
Liked one thing about you that you gave meanings of Urdu Words, so that one who don't know Urdu can understand (Like Me).
Thanks!
Thokaren Khaa Kar Bhi Naa Sambhle To Musaafir Ka Naseeb...Raah Ke Patthar To Apnaa Farz Adaa Karte Hain!
Har Insaan Ki Zindagi Ek Mukaam Par Aakar Kuchh Yun Badal Jaati Hai.........Woh Yaaron Ki Mehfil...Woh Muskuraate Pal...
Dil Se Judaa Hai Apna Beeta Hua Pal...
Kabhi Guzarti Thi Zindagi Waqt Bitaane Mein...
Ab Guzartaa Hai Waqt Kuchh Kaagaz Ke Note Kamaane Mein!
Usne Puchhaa ... Sabse Zyaadaa Kya Pasand Hai Tumhe...?Mai Bahut Der Tak Dekhtaa Raha Use...Ye Sochkar Ki Khud Jawaab Hokar Usne Sawaal Kyon Kiya.....!
Jab Tak Raho Zinda... Log Kamiyaan Hi Nikaalte Hain...Marne Ke Baad Jaane Kahaan Se Itni Achchhaiyaan Dhundh Laate Hain?
Wo Aati Hai Roz Meri Qabar Par Apne Humsafar Ke Sath… Koun Kehta Hai Ki Dafnane Ke Baad Jalaya Nahi Jata..- anonymous
yaar piya ap na tu hummera dil jeeta liya apko bhi eid mubarak hoo piya
Zindagi ke tufano ka sahil hai teri dosti,
Dil ke armano ki manzil hai teri dosti,
Zindagi ban jaye jannat agar,
Maut ane tak sath rahe teri yeh dosti… PIYA
Suraj wrote: "Dilon se Khelne ka Hunar Hume NahiAata
Isi Liye Ishq Ki Baazi Hum Haar Gaye
Meri Zindagi se Shayad Unhe Bahut
Pyar Tha
Isi Liye Mujhe Zinda Hi Maar Gaye…."
Yeh Tum Se Keh Diya Kis Ne,
K Baazi Haar Baithay Hum!
Abhi Tum Pay Lutanay Ko
Humari Jaan Baqi Hai..!!
kabhi milte ho tum khwaabon meinkabhi milte ho tum yaadon mein
apana bankar kyon rehte ho dilbar mere inn aankhon mein
har waqt mere nazdeek raho kuchh meri suno kuchh apani kaho
teri yaadon pe jo khushbu hain meri saanson ko mehkaane lagi hain
teri yaad bahut ab aane lagi hain
ek jaan hain ab woh jaane lagi hain
tanha tanha ham rehne lage hain
tanhaai bada tadpaane lagi hain
ASRK
Aainaa Bhalaa Kab KisiKo Sach Bataa Paayaa Hai.....Jab Bhi Dekha Baayaa, Hamesha Daayaa Hi Dikhaya Hai!
Na Jaane Kya Maasumiyat Hai Tere Chehre Par.....Tere Saamne Aane Se Jyaada Tujhe Chhupkar Dekhnaa Achchha Lagta Hai!
Janaab! Mat Puchhiye Hadd Hamari Gustakhiyon Ki.....Hum Aainaa Zameen Par Rakhkar Aasmaan Kuchal Diyaa Karte Hain!
Ye Gazlon ki duniya bhi kitni ajib hain,Yaha aansuo ka b jaam banaya jata h
Keh bhi dete hai Agar Dard-E-Dastaan
Phir bhi yaha waah waah pukara jata hai
ASRK



Ishq To Hotaa Hai Najar Ke Uss Paar Ek Asar Hone Par!