Indian Readers discussion
Poets, Poems n Poetry
>
Sher-o-Shayri ! ! !
message 301:
by
Kaizar
(new)
Jul 17, 2014 05:14PM
reply
|
flag
Tum Mujhe Khaak Bhi Samjho To Koi Baat Nahi,Jaan-E-Mann.....
Ye Bhi Udti Hai To Aankhon Me Samaa Jati Hai.
...Zaban to keh nahi sakti tmhain ehsas to hoga...Meri Aankhon ko parh lena mujhe Tum se mohabbat hai...
Main ne us se pocha qimat kya haimuhabbat ki
Us ne b hans kr kaha Anso bari
ankhein ur umar bhar ka intzar
ye jo chehre se tumhen lagte hain beemar se humkhob roye hain lipat kar dar-o-deewar se hum
yar ki aankh main nafrat ne hamain qatl kiya
kon kehta hai kate yar ki talwaar se hum
ranj har rang k jholi main bhare hain hum ne
jab bhi guzre hain kisi dard k bazaar se hum
ishq main hukm adooli bhi hamain ati hai
talne wale to nahi hain tere inkaar se hum
Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati HainTeri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Sumandar Mein Utarta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati HainTeri Aankhon Ko Parhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
Tumhara Naam Likhne Ki Ijazat Chhin Gayi Jab Se
Koi Bhi Lafz Likhta Hoon Tou Aankhen Bheeg Jaati Hain
ik lafz -e -mohabbat kaa adanaasaa fasaanaa hai
simaTe to dil- e -aashiq phaile to
zamaanaa hai
ye kis kaa tasavvur hai ye kis kaa
fasaanaa hai
jo ashk hai aaNkhon mein
tasbiih kaa daanaa hai
ham ishq ke maaron kaa itanaa
hii fasanaa hai
rone ko nahii koii hasne
ko zamaanaa hai
Aap humse ruth kar, na jao kabhi,Zindagi zahar si lagti hai.
Kat'l karna hai muze, aapki nigahe'n,
Kafi hai fana hone ke liye.
Hum madhosh honge, Uff' tak na kare',
Aap par fida hone ke liye.
Hum to fakir hai,Maykhane se ladkhadate
Jab bhi nikalte hai,
Khud ko badshah se
kam nahi samazte,
Tab be-abroo badshah
Hota hai,
Fakir nahi
Dard Rukh ta Nahi Ik Pal Bi..Ishk Ki Ye Saza Mil Rahi Hain..
Maut Se Pehle Hi Margaye Hum..
Chot Nazron Ki Aisi Lagi Hain..
Dilon se Khelne ka Hunar Hume NahiAata
Isi Liye Ishq Ki Baazi Hum Haar Gaye
Meri Zindagi se Shayad Unhe Bahut
Pyar Tha
Isi Liye Mujhe Zinda Hi Maar Gaye….
Udaasiyaan Jo Na Laate To AurKya Karte, Na Jashn-e-Shola
Manaate To Aur Kya Karte
Andhera Maangne Aaya Tha
Raushni Ki Bheekh, Hum Apna
Ghar Na Jalaate To Aur Kya Karte
Maine Masoom Bahaaron MeinTumhein Dekha Hai, In Haseen
Raahguzaron Mein Tumhein Dekha
Hai
Mere Mehboob Teri Pardanasheeni
Ki Qasam, Maine Ashqon Ki
Qataron Mein Tumhein Dekha Ha
Jab Bhi Rudaad-e-Gham Sunaate,Ashq Palkon Pe Muskuraate Hain
Jinki Khaatir Mita Diya Sab Kuch,
Wo Hi Mera Nishaan Mitaate Hain
Yakeen-e-Ishq To Dekho Ke UskeWaadon Par
Fareb Khaaye Bahut Phir Bhi
Aitbaar Kiya
.
Main Jiske Ek Ishaare Pe Jaan
Waar Aaya
Usey Na Meri Mohabbat Ka Aitbaar
Aaya
Zulf Rukh Se Hata Ke Baat Karo,Raat Ko Din Bana Ke Baat Karo
Yeh Bhi Andaaz-e-Guftagu Hai Koi,
Jab Karo Dil Dukha Ke Baat Karo
Kya Hua Unke Saath Gar HaiRaqeeb
Phool Ke Saath Khaar Hota Hai
.
Ishq Ki Qayanaat Mein Naaseh
Husn Parvardigaar Hota Hai
Dil Pe Zakhm Khaate Hain Jaan SeGuzarte Hain
Jurm Sirf Itna Hai Unko Pyaar
Karte Hain
Aitbaar Badhta Hai Aur Bhi
Mohabbat Ka
Jab Woh Ajnabi Bankar Paas Se
Guzarte Hain
Bujhi Huyi Sham’a Ka Dhuan HunAur Apne Markaz Ko Jaa Raha
Hun
Ke Dil Ki Hasrat To Mit Chuki Hai
Aur Apni Hasti Mita Raha Hun
Wo Aur Bhi Yaad Aa Rahe Hain
Main Unko Jitna Bhula Raha Hun
Aaj Ki Baat Phir Nahin Hogi, YehMulaqal Phir Nahin Hogi
Aise Baadal To Phir Bhi Aayenge,
Aisi Barsaat Phir Nahin Hogi
Raat Unko Bhi Hua Yun Mehsoos,
Jaise Yeh Raat Phir Nahin Hogi
Ik Nazar Mud Ke Dekhne Waale,
Kya Yeh Khairaat Nahin Hogi
Shab-E-Gham Ki Sahar Nahin Hoti,Ho Bhi To Mere Ghar Nahin Hoti
Zindagi Tu Hi Muqtsar Ho Jaa,
Shab-E-Gham Muqtsar Nahin Hoti
Raazdaaron Se Bachke Chalta Hun,Ghamguzsaaron Se Bachke Chalta
Hun
Mujhko Dhokha Diya Sahaaron Ne,
Ab Sahaaron Se Bachke Chalta Hun
Hum Buton Se Jo Pyaar Karte Hain,Naql-E-Parvardigaar Karte Hain
Itni Qasmein Na Khaao Ghabrakar
Jaao Hum Aitbaar Karte Hain




