Indian Readers discussion
Poets, Poems n Poetry
>
Sher-o-Shayri ! ! !
Bacche jhagad rahe the mohalle k, na jaane kis baat par...sukoon is baat ka tha...na MASJID ka zikr than na MANDIR ka !!!
Duniya Jise Neend Kehti Hai ,Na Jaane Wo Kya Cheez Hoti Hai,
Aankheon To Hum Bhi Band Karte Hain,
Par Wo To Unse Milne Ki Tarkeeb Hoti Hai,
Hum Neend Ke Shouqin Jyada To Nahi,
Lekin Kuch Khwab Na Dekhe To Guzara Nahi Hota…
ASRK
Pritam wrote: "Kabhi pathar se bhi takraye to kharaash tak na aye,Kabhi ik baat hi se insaan toot ke bikhar jatey hain.."
Pyaar ki aanch se to patthar bhi pighal jata hai,
Sache dil se sath de to naseeb bhi badal jata hai,
Pyaar ki rahon par mil jaye sacha hamsafar,
To kitna bhi gira hua insaan bhi sambhal jata hai……
asrk
Yeh Tum Se Keh Diya Kis Ne,K Baazi Haar Baithay Hum!
Abhi Tum Pay Lutanay Ko
Humari Jaan Baqi Hai..!!
ASRK
Na mila kro sar-e-shaam mujhay, Me tanha tanha he theek hoonMujhe chahatoun se dar lagta hai, Mein nafratoun me he theek hoon
Mujhe raastoun mein chhor do, Mujhe justuju-e-manzil nahi
Na dekhao mujh ko raasta, Mein bhatakta hua he theek hoon
Mere dostoun mujhe choor do, Na suljhao meri uljhanein
Mujhe adavatein he pasnd hain, Mein dushmanoun mein he theek hoon
Mujhe khushi ki koi talab nahi, Mujhe apna ghum bhi nawaz do
Mujhe aansu peena pasnd hain, Main aansoun mein he theek hoon
ASRK
UNKO SHIKAYAT HAI, MAI BEWAFAI PE NAHI LIKHTA,AUR MAI SOCHTA HOON KI, UNKI RUSWAI PE NAHI LIKHTA.
KHUD APNE SE JYADA BURA, JAMANE MEIN KAUN HAI,
MAI ESILIYE, AURON KI BURAI PE NAHI LIKHTA.
KUCHH AADATO SE MAJBOOR HAI, AUR KUCHH FITRAON KI PASAND HAI,
JAKHM KITNE BHI GAHRE HO, MAI UNKI DUHAI PE NAHI LIKHTA.
DUNIYA KA KYA HAI, HAR HAAL MEIN ILJAAM LAGATI HAI.
WARNA KYA BAAT, KI MAI KUCHH APNI SAFAAI PE NAHI LIKHTA
SHAAN-E-AMIRI PE KARUN KUCHH ARZ, MAGAR EK RUKAWAT HAI,
MERE USOOL, MAI GUNOHO KI KAMAI PE NAHI LIKHTA.
USKI TAKAT KA NASHA, MANTRA AUR KALAMON ME BARABAR HAI,
MERE DOSTO, MAI MAZHAB KI LADAI PE NAHI LIKHTA.
SAMANDAR KO PARAKHNA KA MERA NAZARIYA ALAG HI HAI YAARON,
MIZAAJO PE LIKHTA HOON, USKI GAHRAI PE NAHI LIKHTA.
PARAYE DARD KO, MAI GAZHLON MEIN MAHSOOS KARTA HOON,
YE SACH HAI, MAI SAZAR SE, FAL KI JUDAI PE NAHI LIKHTA.
TAZURBA TERI MOHABBAT KA, NAA LIKHNE KI WAJAH BAS YE HAI,
KI SHAYAR ISHQ MEIN, KHUD APNI TABAAHI PE NAHI LIKHTA.
Sheetal wrote: "Jrro me rah gujar ke chamak chod jaungi...Aawaz apni door talak chod jaungi....
Khamoshiyo ki mout gwara nhi mujhe....
Toot kr bhi apni khanak chod jaungi....!!!"
Nice
azmath wrote: "Ajeeb rishta raha kuch us shaks sayNa nafrat ki wajha mili, na mohabbat ka sila!
ASRK"
Aj Dard bantane ko us k darwaze pr dastak de bethe
Us ne saaf lafz0n main kaha k, jaa koi Apna talash
Tum dekho ya na dekho,Tumhare na dekhne ka gum nahin.
Tumhare na dekhne ki ada,
Dekhne se kam nahin....
jakhm dene ka unka andaaz kuchh aisa hai,jakhm de kar kahti hai ab haal kaisa hai,
zahar de kar kahti hai peena hi hoga,
aor jab pi liye to kahti hai jeena hi hoga....
.
.
F*CK
Sard hawa , khamosh hai raathar jhonke ki chhuan pe
yaad aati hai kai baat
dikhti hi khamosh hai ye bas
awaazein bahut isme hai aaj
aksar aati jati hawa ka tanha shor hi
tanhayee ka ehsaas karata hai
dhoondhta h tassavur kisi ko
batane chhupa rakhe hain jo raaz
honthon me lafz baandhe hain
kholne ka zariya mile koi
main machalti lehar sa hon,
khud me samet le mujhe
wo dariya mile koi
mere saheze sapne ko apna samajh le koi
main apni tapish jise dikha saku
abr sa mujh pe baras le koi
mera nateeza na dekhe
meri kahani samajh le koi
meri raah chahe na samjhe
meri manzil samajh le koi
aasman me dekhta hon
koi chehra dekhne
aasman ke paar se
meri rooh dekh le koi
meri soch ke tukde jod de
mjhe sukun de de koi
Iss khamoshi me
Mujhse baat kar le koi
V!$H
Kst wrote: "UNKO SHIKAYAT HAI, MAI BEWAFAI PE NAHI LIKHTA,AUR MAI SOCHTA HOON KI, UNKI RUSWAI PE NAHI LIKHTA.
KHUD APNE SE JYADA BURA, JAMANE MEIN KAUN HAI,
MAI ESILIYE, AURON KI BURAI PE NAHI LIKHTA.
KUCH..."
VERY VERY VERY IMPRESSIVE !!!
Heard a Good one after a loooooong time !!!
GOD BLESS YOU !!!
Kst wrote: "Sheetal wrote: "Jrro me rah gujar ke chamak chod jaungi...Aawaz apni door talak chod jaungi....
Khamoshiyo ki mout gwara nhi mujhe....
Toot kr bhi apni khanak chod jaungi....!!!"
Nice"
thanks a lot.
Tere zindagi mein aane se dil ko bahut sukoon hai,Teri chahaton ka dil par mere na jane kya junoon hai,
Junoon hai in ankhon mein bhi teri ek jhalak paane ka,
Tujhe zindagi bhar ke liye apna banane ka junoon hai.
Zindagi Gulzar h!!kisi ke gamo ko bantna hi pyar h!!
aankho me bsa aksh hi tera deedar h!!
socho gr , to hr lmha hi khushgwar h!!
zindagi GULZAR h!!!
Hi Everyone!I am new here. All of you are great in shayari.
I am posting mine one.
Arz kiya hai.....
"Maine unse iss kadar MOHABBAT ki.....
MOHABBAT ki Kasam, MOHABBAT ko MOHABBAT se MOHABBAT hui."
Sheetal wrote: "Zindagi Gulzar h!!kisi ke gamo ko bantna hi pyar h!!
aankho me bsa aksh hi tera deedar h!!
socho gr , to hr lmha hi khushgwar h!!
zindagi GULZAR h!!!"
Nicee :)
Maikhane me aaya hu, par piyunga nahi doston...Yeh sharaab mera gham mitane ki AUKAAT nahi rakhti !!!
Gham agar mit sakta toh kya baat thi e-dostHum andhero mei bujhta chirag liye roshni ko nahi tarastey,
Gham Jab aata hai toh saath laata hai ehsaah kayi aur,
Warna patjhar toh aata par uske Jane ke baad,
Tadaptey huye hum baahar ka intezaar nahi kertey.
Jab bikhrega tere rukhsaar par, teri aankhon ka paani...Ehsaas tujhe tab hoga, mohabbat kisko kehte hain !!!
Piya wrote: "Hi Everyone!I am new here. All of you are great in shayari.
I am posting mine one.
Arz kiya hai.....
"Maine unse iss kadar MOHABBAT ki.....
MOHABBAT ki Kasam, MOHABBAT ko MOHABBAT se MOHABBAT hui.""
Nice one...
MOHABBAT ki Kasam, MOHABBAT ko MOHABBAT se MOHABBAT hui
nice lines
Thank you Purvika & Nadeem.Mujhe Shayari ka bahut shoukh hai. Lekin Shayari aati nahi hai. Yun hi idhar udhar se padhkar, sunkar kuchh na kuchh kah deta hun.
Kuchh aur lines jo mujhe bahut pasand hain, pesh karta hun (Pesh-e-khidmat)-
"Kore Kagaz pe maine uska chitra banaya...
Kalpanaaon ke Rangon se Rangeen banaya...
Kitna Asar hoga mere Pyar ka...
Chitra me bhi maine uska Dil dhadakta banaya !"
Thanks Nadeem!Karnaa Hee Hai To PUNYA Kar Ae Insaan, Aakhir Wohi Saath Jaayega.....
Waise Bhi Kahate Hain Ki Kisi ke Ghar Khaali Haath Jaayaa Nahi Karte...!
Waqt aa gaya hai Jane ka bahut door...Ki ab rukne ki dil mein koi aarzo nahi bachi hai...
Uske dar par aake ja payenge na us ore
Ki kadmon mein bediyan teri yaadon ki padi hai...
Mudke dekhe Jo hum toh fer Lena aapna muh us taraf...
Ki tode na tute , aaise Judi tujhse mere dhadkano ki kadi hai.....
Ae Khuda suna hai ke Duaa kabul karne ka tera ek waqt hota hai.....Ab tu hi bataa maine use kis waqt nahi maangaa....?
Piya wrote: "DIL bhi aaj Mujhe yeh keh kar Daraa raha hai..."Yaad karo Use", warnaa Mai Dhadaknaa chhod dungaa!"
This was terrific....
It is so going in my collection :) :) :)
Likhnaa To Tha Ki "Khush Hoon Tere Bagair Bhi"...Par Kalam Chalne Se Pehle Aansu kagaz Par Gir Gaya !
Ruh meri kanpti rahi, jab baris barasti rahi,Bhigi palke leke soi hui,muze yad aati rahi,
Aisi baris ki msusam thi, muze chhod
gai,
din rat ro ro ke hi, kat te hai jab baris
hui






Jis din hum so gaye, to tumhe neend se nafarat ho jayegi!!!