Indian Readers discussion
Poets, Poems n Poetry
>
Sher-o-Shayri ! ! !
Yadon ko aati maut Toh baat kya hoti,Hum Har Waqt yaadon ke jaane ka intezaar kertey,
Yadeein chali jati Toh kya baat hoti,
Hum nayi yaadon ke banne ka aarmaan kertey,
Par yeah kambhakt yaad hai ki jaati hi nahi,
Har ek yaad mein hum reh jatey hai aah bhartey.....
Taqdeer banane se banti hai yaar mere,Tu aapni taqdeer banne ka intezaar na kar,
Tamanna puri hojayegi phir ek baar Teri,
Tu aapni tamannao ke hone ka izhaar Toh Ker.....
Meri tamanna hai ek aise saathi ki ,Jiske aagosh mein aake mujhe raahat si mile,
Waqt ruk jaye Toh bhi Woh Saath chale,
Aur aankhiri Saans jab le Toh uska deedar miley....
Ab na Dhoondna mujhay Zameen-'O-Aasman Ki Gardish Mein.....Tere Dil Mein Nahi Hoon...Toh Phir Kahin Bhi Nahi hoon ...
Nadaan hai kitna woh....kuch samajhta hi nahi...Seene se laga kar poochta hai, ki dhadkan tez kyun hai ???
Naadan ki Nadaani hai
Bagiche me kisi pyaare se phool jesi
har koi isi firak me hai
k kese us masoom ko apna bana le...
Bagiche me kisi pyaare se phool jesi
har koi isi firak me hai
k kese us masoom ko apna bana le...
Door na ja humse...agar zamane ka darr hai tujhe satata...Are...kaante hi karte hai phoolon ki hifazat...use bachane koi maali nahi aata! ! !
Jod lagte gaye fasane mai,Raaz khulte gaye chupane mai..
Roothne ka sabab to tum jaano,
Hum to masroof hai manane mai!!!
kaun kehta hai ki Khuda nazar nahi aata ? ? ?Wahi toh nazar aata hai....Jab koi nazar nahi aata ! ! !
Jis taraf Kari nazar payi dilkash wadiya,Humko Toh har aalam mein Woh hi nazar Aata hai,
Zarra zarra leta hai naam uska is kadar,
Ki Humko bhi us khuda ke honey ka ehsaas Hua jata hai,
Mohabbat is kadar ho ki ban Jaye Woh ibadat,Arsh bhi gawah bane is kadar ho shiddat ,
Khuda ke darbaar Mein meley toh kya,
Yeah bhi toh ho sakta hai e dost,
Khud khuda ne dhundi ho tere liye aaisi chahhat.....
Tum Mohabbat bhi Mossam Ki Tarha Nibhate Ho,Kabhi baraste Ho, Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho,
Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain,
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho,
Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho,
Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho,
Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho,
Miloon To Paas Se ChupChaap Guzer Jate Ho,
Lakh mossam ki tarah rung badalte raho,
par Aaj bhi... toot k shiddat se, humein chahte ho..
Naa kia kar apne dard-e-dil ko shayri mein bayaan...Log aur toot jatein hain, har lafz ko apni DASTAN samajh kar...! ! !
Na guzra hai Kabhi Na guzrega,Ye jazba hi Aisa hai ki baraf ko pighlade,
Thame Nahi thamega yeah jo tufaan hai Mohabbat,
Iska bas chale toh bhuje huye sholo ko bhi bharkade.....
Woh aaiyene mein khudko dekhtey hai par magar,Armaan toh dil mein hai ke, ek baar dedaar-e-yaar ho,
Palkein Jo uthatey hai Toh khwaish hoti hai kuch aisi,
ke nazro mein bassa Jo aks hai Woh sirf unke dildaar ka ho.......
deedar ho mere pyar ka...ek sandesh to aaye mere yar ka...
Dhadkne badh jati sanse ruk si jati h....
jab ahsas rhta h Uske AHSAS ka...
Ghazab hai tera naqab saqi!Pila de mujko sharab saqi?
Inhi ko chhoony ki arzoo hai
Ye hont hain ya gulab saqi?
Suna hi tery he hath se hai
Isi ka peena sawab saqi.
Hashar men kehty hain tor dengy!
Ye ap apna hijaab saqi.
Bary dinon se piya nahen hai
Na mang muj se hisab saQi.

Yeh Cigarete Shauk Hai Mera
Aadat Nahi,.......
Ye Jazbaat Jagaati Hai, Tabhi Peeta
Hoon..
.
.
Aadhi Raath Ke Waqt Me Pagal To
Nahi,
Teri Yaad Satati Hai Tabhi Peeta
Hoon..
.
.
Is Cigarate Me Fayeda Toh Koi
Nahi,
Yeh Fikar Mitathi Hai, Tabhi Peeta
Hoon..
.
.
Main Jaantha Hoon Mujhe Kuch
Nahi Milega Isse,
Yeh Meri Umar Ghatati Hai, Tabhi
Peeta Hoon
Jindagi ki asli udaan abi BAAKI h...Mere irado ka imtehan abi BAAKI h...
Abhi to naapi h MUTHI BHR JAMIN......
aage abhi sara AASMAN BAAKI h!!!!!!
Wo Mujhse Pochta Ha Kis Kis K Khwab Dekhte Ho ..."FARAZ"..
Be Khabar Janta Nahi K Yaaden Uski Soney Kahan Deti Hain..
Tamanna hoti hai, unhe nazdeek se dekhne ki… Par jab who nazdeek ho, tab nazar tak nahi uthayi jaati…
Gujar rhe the ek din SHAMSHAAN se,SHAMSHAAN ke shabdo ko sunkar heiran the,
SHAMSHAAN ki haddiya kh rhi thi....
SUN AEE MUSAFIR,
hum be kal tere jaise INSAAN the!!!!!
Life is very short and precious,so... enjoy the every moment of life!!!
kya pta..KAL HO NA HO!!!!!
Hijr ka tara doob chala hai,dhalney lagi hai raat wasi...Qatra Qatra baras rahi hai, ashkoon ki barsat wasi...
Terey baad yeh duniyan waley mujhko pagal ker denge,
khushboon ke desh mein mujhko le chalo sath wasi..
Yoon hee chup ki mohar laga ker, kab tak gumsum baithoge.
Khamoshi sey dum ghut'ta hai karo na koi baat wasi...
Aaj to yaar ka chehra bhi kuch badla badla lagta hai,
Mosam badla, duniya badli, badle hain halaat wasi...
Chhodh wasi ab uss ki yaden, tujh ko pagal ker dengi
Tu qatra hai woh darya hai , dekh apni auqat wasi.....
Mujhe ishq ki rangeeniyan raas nahi aayi,
Maine zindagi ki rangat luta di is raah par chalte chalte.
Maine zindagi ki rangat luta di is raah par chalte chalte.
Nazro se nazre milakar chal diye, wo husn-e-noor ka jaam pilakar chaldiye,
pucha hamne ke chand nikalta hai kaise,
to wo chehre pe se zulfe hata ke chjaldiye
Takleef me hai dil, aap ka deedaar kara dijiye....suna hai aap ka chehra sukoon, aur nazrein shifa diya karti hai ! ! !
One of my Best writing....!!!Wafayein karne par bhi bhula detein hai log.....aye dost ! ! !
Karna hai toh bus, BEWAFAI karo....sadaa yaad kiye jaaoge ! ! !






Kuch log mujhe aisi dua de kar gaye hai...