Indian Readers discussion
Poets, Poems n Poetry
>
Sher-o-Shayri ! ! !
Rishte kbhi bhi qudarti mout nahi marte.Innhe hamesha insaan qatal krta hy
1=nafrat se,
2=nzar-andaz se,
3=ghalat-fehmi se. ….....ASRK
Behtarein Insan Amal Se Pehchana Jata HAIWarna Achi Batein Tou Deevaron Pe
Bhi Likhi Hoti Hain.......ASRK
4u sathya
Jab tum kisi Insan ka mizaaj prakhna chaho to us sy mashwra lo,Tum us ky mashwry sy uska Insaf, Zulm, Neki, Badi sub jan jao gay......ASRK
Race mein jeetny wala GHORRA nahi janta k kamyabi keya hoti hai..?Wo dorrta hai to sirf apny maalik ki taraf sy milney wali takleef ki waja sy.
To jab kabhi tum khud ko takleef mein pao.
To samjh jana k tumhara MAALIK chahta hai K JEET tumhari ho.
HAVE A SUCCESSFUL LIFE ND A WONDERFUL DAY…ASRK
Bas....! Ek yahi Baat Uski Mujhe Achhi Lagti Hai.... UDAAS Kerke Kehta Hai...'Naraz Toh Nahi Ho Na.... Kitna Ajeeb Hai Uska Andaaz Mohabbat Ka.... Roz Rula Ker Kehta Hai....'Apna Khayal Rakhna'..
Kuch Paya Tha Kuch Khoya Tha.. BasYe Soch Ke Dil Bahut Rooya Tha..
Par
Aaj Hum Ye Soch Ke Khamosh Hai..
Ki
Jo Khoya Tha Kya Sach Me Kabi Paya Tha...!
Anika wrote: "Bas....! Ek yahi Baat Uski Mujhe Achhi Lagti Hai.... UDAAS Kerke Kehta Hai...'Naraz Toh Nahi Ho Na.... Kitna Ajeeb Hai Uska Andaaz Mohabbat Ka.... Roz Rula Ker Kehta Hai....'Apna Khayal Rakhna'.."Kya baaat hai very nice anika
" Meri Likhi Hui Baat Ko Har Koi Nahi samaj Paata..kyunki Main Ehsaas likhti hoon, aur Loog sirf Alfaaz padhte hain "
Ab Dard ki aadat ka aalam yeh hai doston..Ki gar kisi roj dard na ho to bhi dard hota hai..
https://www.facebook.com/loveunsung
Yaad mai unki iss kadar khoye hum, sokar bhi saari raat na soye hum,
chaha unhe khud se bhi jada,
par hans k puchte hai vo, kiski yaad mai na soye hum
Lamho Ki Ek Kitaab Hai Zindagi.. Saanson Aur Khayalon Ka Hisab Hai Zindagi.. Kuch Zarurate Puri, Kuch Khwaishein Adhuri.. Bas Inhi Sawalon Ka Jawab Hai Zindagi..!
Tamasha roz krty hyn wafaon ka jafaon ka !!!Kabi utro mere dil me muhabbat seekh jao gya.........ASRK
Bahut nazar Andaaz karane lage ho mujhe tum Aaj kal ,Baaz Aa jao Warana Enhi Nazron sa Dhundte rah jaoge....
Kai sal guzar gaye zindagi ke haste haste,Kuchh jung insaniyat ke jit liye bas khelte khelte,
Na kabhi mukaddar ko dekha, na kissi ke dua ya rehmo karam ka sahara,
Bas yun hi chal diya hewaniyat ke dere' me, din sare guzar gaye,
Teri nek rah pe chalte chalte. Kaiz.
Teri ghaflaton ko khabar kahan, mery haal-e-dil py nazr kahan…Tu jafa ki yad mein na aa saka, mein wafa ki yad sy guzr gya…....ASRK
Piya wrote: "Tu Be-intehaa Baras Ke To Dekh.....MiTTi Kaa Banaa Hoon, Mahak UThungaa!"
Awesssoommeeeee !!!!
Unke Naazook Haathon Se Fisal Jaati Hain Cheejen.....Meraa DIL Bhi Lagaa Hai Unke Haath, Khudaa Khair Kare!
Rakhaa Haath Par Haath Usne, Tab Mujhe Maalum Huaa.....ISHQ Me Wo Kaise Sunaa Jaataa Hai, Jo Kahaa Nahi Jaataa!
Behtay Ashkon ki zaban nahi hoti, Lafzon me mohabat bayan nahi hoti,
milay pyar to kadar kerna,
kismat har kisi per meharban nahi hoti.....
uniya Hai Patthar Ki Jazbaat Nahi Samajhti...Dil Mein Jo Chhupi Hai Wo Baat Nahi Samajhti...
Chand Tanha Hai Taaro Ki Baraat Mein...
Dard Magar Chand Ke ..
Zalim Raat Nahi Samajti...
Duniya Hai Patthar Ki Jazbaat Nahi Samajhti... Dil Mein Jo Chhupi Hai Wo Baat Nahi Samajhti... Chand Tanha Hai Taaro Ki Baraat Mein... Dard Magar Chand Ke .. Zalim Raat Nahi Samajti...
Achchhaa Lagataa Hai Teraa Naam Mere Naam Ke Saath.....Aisaa Lagataa Hai Jaise Koi Khoobsurat Subah JuDi Ho Kisi Haseen Shaam Ke Saath!
Tune Meri MOHABBAT Ki Geharaai Ko Samjhaa Hi Nahi.....Badan Se Tere DupaTTaa Saraktaa Bhi Hai, To Hum Nigaah Jhukaa Lete Hain!
Yu Lajaaye Wo Mere Sawaal Par Ki, UThaa Sake Naa Jhukaa Ke Sar.....UDi Zulfen Chehre Pe Iss Tarah Ke Shabon Ke Raaz Machal Gaye!
Piya wrote: "Tune Meri MOHABBAT Ki Geharaai Ko Samjhaa Hi Nahi.....Badan Se Tere DupaTTaa Saraktaa Bhi Hai, To Hum Nigaah Jhukaa Lete Hain!"
(Y) really good





sirf is wajah se..
ae-yaaro
wo zmaane se darti rahi
aur
main uski jhukti nazron se. !!