Indian Readers discussion

1462 views
Poets, Poems n Poetry > Sher-o-Shayri ! ! !

Comments Showing 1,601-1,650 of 2,213 (2213 new)    post a comment »

message 1601: by AaQib (new)

AaQib KhAn | 160 comments Sanam Teri Nafrat Mein Wo Dam Nahi,
Jo Meri Chahat Ko Mita De,
Ye Mohabbat Hai Koi Khel Nahi,
Jo Aaj Hans Ke Khela Aur Kal Ro Ke bhula de !!


message 1602: by Kaizar (new)

Kaizar | 14 comments Gul murza rahe hai chaman me,
Teri khusboo jo hava me bikhri hai.
Chand betukh ho kar chuup raha hai,
Teri roshni jo faili hai fizao mai.
Kahin palake utha ke mat dekho,
Murde uth jaye ge kabristan me.


message 1603: by Kaizar (new)

Kaizar | 14 comments Kya kahe teri fitrat ko ae allah,
Jo dubta hai use tu la kar chhodta hai kinare pe.
Aur jo chhahta hai teri takat ko parakna,
Use sagar ki tufa'n rokti hai par laga neko


message 1604: by Junaid (new)

Junaid Shaikh | 10 comments Guftugu unse roz hoti hai,
Muddaton saamna nahi hota..!


message 1605: by Junaid (new)

Junaid Shaikh | 10 comments Meri nazar ko junoon ka payaam de saqi,
Meri hayaat ko lafani sham de saqi,
Ye Roz Roz ka pina muje pasand nahi,
Kabi na hosh mein aau wo jaam de saqi..!


message 1606: by Junaid (new)

Junaid Shaikh | 10 comments Meri gazal pe gour zara farmaye janaab,
Chand sher apke nazr hai sunte jaaye janaab..!


message 1607: by Junaid (new)

Junaid Shaikh | 10 comments Mareez-e-ishq bana kar chor dete hay,
Husn waale toh khoon bhi nichor lete hai..!


message 1608: by Junaid (new)

Junaid Shaikh | 10 comments Ehal-e-dil walo ko mohabbat zeb nahi deti,
Musibat jaise bhi ho unhe tabiyat fareb nahi deti..


message 1609: by Vaibhav (new)

Vaibhav | 2052 comments phoolo ki raani,
baharo ki shehzadi,
phoolo ki rani baharo ki shehzadi
.
.
Dil todd kr mera chali gyi,
.
KUTTI KAMINI HARAMZADI..

hahha ..:D :D


message 1610: by Kaizar (new)

Kaizar | 14 comments Ungaliya uth rahi hai muz pe sari duniya ki,
Yahi he ranza, yahi hai farhad aur majnu,
Jise na heer ne mara, na shiri ne, na hi laila ne,
Ise sirf waq't ne mara hai, jab ho gaya ojhal ,
Jamane ki bhid me, kutch takdir bana le ne me.


message 1611: by Kaizar (new)

Kaizar | 14 comments Tarotaza nikle gharse sajdhaj ke,
Zara nazar utha ke bhi dekh lo.
kayi waqt se pade hai sadak par,
behal ho kar aapke intazar me.


message 1612: by Saurav (new)

Saurav Dubey | 114 comments हमारे ऐतबार की हद ना पूछ,उसने दिन को रात कहा और हमने पेग बना लिया...★★


message 1613: by Saurav (new)

Saurav Dubey | 114 comments shayari bandh?


message 1614: by Saurav (new)

Saurav Dubey | 114 comments Teri talab mein jala dale sare ashiyane,

kaha rahoo main tere dil me ghar ban lene tak…


message 1615: by Anika (new)

Anika | 34 comments Pyaar to hmne bhi kbhi kiya tha..
dil hamara bhi kisine toda..
Chaha jisko bhula kr sara zamana,
Wo to sirf hme aazmane nikla tha....


message 1616: by Junaid (new)

Junaid Shaikh | 10 comments Dil'o ka sog bann jati hai,
Mohabbat rogg ban jati hai..


message 1617: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Main TABAAH hun tere pyaar mein, tujhe gairon ka khayaal hai?

Kuch mere maslay pe gour kar...meri zindagi ka sawaal hai !!!


message 1618: by Amanullah (new)

Amanullah Nadwi | 2 comments NA WAFA KA ZIKR HOGA NA WAFA KI BAAT HOGI
AB MUHABBAT JISSE BHI HOGI MATALAB KE SAATH HOGI.


message 1619: by Anika (new)

Anika | 34 comments Zindagi me chahe kuch bhi ho jaye ek baat kbhi na bhulna,
agr tm wafa na kr sk to koi gm nhi,
Pr bewafa bhi mt banna....,


message 1620: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Wafayein karne par bhi bhula detein hai log.....aye dost ! ! !

Karna hai toh bus, BEWAFAI karo....sadaa yaad kiye jaaoge ! ! !


message 1621: by Junaid (new)

Junaid Shaikh | 10 comments Judai per he qayam hai nizaam-e-zindagani bhi,
Bichar jata hai sahil se galey mil mil k pani bhi..!


message 1622: by Junaid (new)

Junaid Shaikh | 10 comments Mehfil se uth jaane waalo tum logo per kya ilzaam,
Tum aabaad gharo ke vaasi mein awaara aur badnaam..


message 1623: by azmath (new)

azmath (syedazmath) | 24 comments Ma¡n ne kab dard K zakhmo se sh¡kayat k¡ ha¡,

Han mera jurm ha¡ K main ne mohabbat k¡ ha¡,

Aaj phr dekha ha¡ usse mehf¡l ma¡n pathar ban kar,

Main ne aankhon se na¡ d¡L se baghawat k¡ ha¡,

Usko bhool jane k¡ ghalt¡ bh¡ na¡ kar sakta
,,,azmath,,,

Toot kar k¡ ha¡ to s¡rf ‘”usi”‘se mohabbat k¡ ha¡..


message 1624: by HERO (new)

HERO | 61 comments Haqiqat jan kr esi hamaqat kon krta hai
bhla befaiz logon se mohabat kon krta hai

btao jis tijarat men khasara hi khasara ho
bina soche khasare ki tijarat kon krta hai

hmen hi ghalat fehmi thi ksi k waste wrna
zmane k riwajon se baghawat kon krta hai

KHUDA ne sabr krne ki mjhe tofiq bakhshi hai
aray ji bhr k tarpao shikayat kon krta hai

ksi k DIL k zakhmon pr marham rkhna zruri hai
mgr is dor mein $MUSKAN$ ye zehmat kon krta hai


message 1625: by HERO (new)

HERO | 61 comments Pyaar ka meetha “Ehsaas” dilane laga hai tu
Ab to mujh se mujhi ko churane laga hai tu

Teri chahtooN ka chaaya hai saroor is qadar
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu

Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle
Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu

Har pal mujhe hota hai bas tera hi “Ehsaas”
Is qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu

Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main
Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu

Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan
Ke ban saaya saath mere aane laga hai tu

Naam koi bhi looN to naam aaye tera labooN pe
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu

Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera
Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu

Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu

Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu

Yeh to bata ke kya naam dooN iss deewangi ko
Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu

Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri
Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu

Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu

Zeest ke rahooN mein dhoop thi har taraf
Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu

Kya is baat ka tujhey “Ehsaas” hai “Jaan”
Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu


message 1626: by HERO (new)

HERO | 61 comments Kash Kabi Hota Ye Mere Ikhtiyar Mai
Main Rang Deta Tujhe Apne Pyar Mai

Main Itna Pyar Deta Tujhe
Jan-E-Arzoo
Tum Khud Ko Bhula Dete Mere Aitbar Mai

Tum Jo Mujhe Bulate Mulaqat K Liye
Bechain Ho K Phirte Mere Intezar Mai

Main Dair Se Jo Aata Naraz Ho K Tum
Har Baat Ka Jawab Dete Inkar Mai

Tum Jo Rooth Jate Mujh Se Kisi Bat Pe
Main Tumhein Manata Bare Pyar Se


Maan Kar Tum Mujh Se Sirf Ye Kehte
Hai Nahi Koi Kmi “jaan” Tere Pyar Main


message 1627: by HERO (new)

HERO | 61 comments wo kaisa shakhs hai k her roz saza deta hay
phir hansata hay wo itna k bhula deta hay

kabi jo ro day to mujko b bhool jata hay
aur phir bhool k mujko b rula dayta hay

us say poochon k bata kis say muhabat hay tumhai?
Naam sargoshi main mera hi suna dayta hay

khud he kehta hai na dohraon purani yadain
main na dohraon to phir khud he suna deta hay

khud he likhta hai k jazbat main halchal na karo,
aur phir khud he nayee aag laga deta hay


message 1628: by HERO (new)

HERO | 61 comments Bas itni si inaayat mujh pe aik baar kijiye
Kabhi aa ke mere zakhmon ka dedaar kijiye

Ho jaaye begaane aap shauq se sanam
Aapkee hain aapkee rahegey aitbaar kijiye

Parhne waale hi darr jaayen dekh kar ise
Kitaab-e-dil ko itnaa na daagdaar kijiye

Na majboor kijiye, ke main unko bhool jaaun
Mujhe meri wafaaon ka na gunehgaar kijiye

In jalte diyon ko dekh kar na muskuraaiye
Zara hawaaon ke chalne ka intezaar kijiye

Karna hai ishq aapse karte rahenge hum
Jo bhi karna hai aapko mere sarkaar, kijiye

Phir sapno ka ashiyaan bana liya hai maine
Phir aandhiyon ko aap khabardaar kijiye

Hame na dikhaiye ye daulaate ye shohrat
Hum pyaar ke bhookhe hain humey pyaar kijiye


message 1629: by HERO (new)

HERO | 61 comments Uskii gali me phir mujhe,ek baar le chalo
Majboor kar ke mujhko, mere yaar aaj le chalo
Shayed ye mera weham ho, mera khayaal ho
Mumkin hay mere baad, use mera ehsaas ho
Pachtaa raha hoga ab mujhe dar se utha kar wo
Baitha ho meri raah me, palken bicha ke wo
Usne bhi to kiya tha, mujhe pyaar, le chalo aaj
Uski gali me phir mujhe, ek baar le chalo
Majboor kar ke mujhko mere yaar aaj le chalo


message 1630: by HERO (new)

HERO | 61 comments Kahte kabhi jo log yun hi, ki ab woh zamana nahi,
Dard mein jo kaam aaye, ab aisi dosti hai hi nahi,
Rakha nahi ittefaq, unki en baato se hamne kabhi,
Par aaj yeh ehsaas hai ki, sach hi kahte hai sabhi,
Likhte hai apne dard ko, jo shayari bana ke hum kabhi,
Karte hai wah-wah uspar dost mere aur kuch ajnabi,
Samjhe toh hai woh shayari, par samjhe nahi mera dard kabhi,
Wah-Wah na kijiye dost mere, jalta hai yeh dil ab bhi kabhi-kabhi.


message 1631: by HERO (new)

HERO | 61 comments Tha boht khush jo bhula k mujhe

Tha boht khush jo bhula k mujhe,
Aaj roya gally lga k mujhe,


Us ny pehla swal ye pucha,
Tm ko kesa laga ganwa k mujhe,


Mujh ko pathr bnaa k kehta hai,
Jan! dekho na, muskura k mujhe,


Zindgi ne to azmaya hai
Tm b dekh lo azma k mujhe,

Us ne rasta badal lia apna,
Pyar ki rah per chala k mujhe.


message 1632: by HERO (new)

HERO | 61 comments Main Jab Bhi Teri Yaadon Ka Sahara Thaam Leta Hoon,

Bhula Deta Hoon Dard-o-Ghum Zara Aaram Leta Hoon.

Na Jaany Kon Sa Jazba Mujhay Majboor Karta Hai,

Main Aksar Be-khudi Main Bhi Tumhara Naam Leta Hoon.

Yaqeen Karta Nahi Koi Bhi Meri Be-gunahi Ka,

Main Khud Chup Chaap Apnay Sar Pe Har Ilzam Leta Hoon.

Mujhay Har Baat Par Rona Kabhi Acha Nahi Lagta,

Isi Khatir Main Apnay Ghum Hansi Main Taal Deta Hoon…!


message 1633: by HERO (new)

HERO | 61 comments Mai Kya H0n Aur Kya Khawb Liye Phirta H0n,

Usne 1 Bar Kia Tha Sawal-e-M0habbat

Mai Hr Lamha Wafa Ka Jawab Liye Phirta H0n,

Us Ny P0cha K

Kab Sy Nhi S0ya

Mai Tab Sy Raat Jagny Ka Hisaab Liye Phirta H0n,

Uski Kh0wahish Thi K Meri Ankh0n Me Pani Dekhe,

Mai Us Wakt Sy Ans0un Ka Selaab Liye Phirta H0n,

Afs0os K Phir Bhi W0 Mera Na Hua!”ASRK"!

Mai Jis Ki Arz0 Ki Kitaab Liye phirta hon.


message 1634: by HERO (new)

HERO | 61 comments Hath Khaali hain Tere Shehar Se Jatay Jatay,

Jaan Hoti To Meri Jaan Lutate Jatay.

Mujhe Se Pehle Bhi Musafir Kai Guzray Hon Gy,

Kam Se Kam Raah K Pathar To Hatate Jatay.

Mujhe Rone Ka Bhi Saliqa Nahi Aata Shayad,

Log Hanstay Hain Mujhe Dekh K Aatay Jatay.

Main Bhi Majboor Tha Main Ne Usey Roka Bhi Nahi,

Wo Dekhta Raha Mur K Mujhe Jatay Jatay.


message 1635: by HERO (last edited May 16, 2015 08:18AM) (new)

HERO | 61 comments Saaima wrote: "Pyaar to hmne bhi kbhi kiya tha..
dil hamara bhi kisine toda..
Chaha jisko bhula kr sara zamana,
Wo to sirf hme aazmane nikla tha...."



Nazron Se Nazrain Milen To Bura Maan Gaye
Hum Ne Aankhon Say Ishara Kia To Bura Maan Gaye

Mohabbat Ka Izhar To Unhon Ne Bhi Kia
Haal-E-Dil Hum Ne Sunaya To Bura Maan Gaye

Har Baat Pe Muskurana Aadat Thi Un Ki
Zara Hum Ne Hunsaya To Bura Maan Gaye

Humain Aazmanay Ki Baat Kartay Thay Wo Aksar
Jab Hum Ne Aazmaya To Bura Maan Gaye

Pyar Main Bewafai Na Karna Aksar Wo Kehtay Thay.
Is Baat Ko Main Ne Doharaya To Bura Maan Gaye,
ASRK


message 1636: by HERO (new)

HERO | 61 comments jo na hua kabhi ek raat ho gaya,
chaand ko suraj se payar ho gya,

Chaand niklaa talash main aur kho gya,
chaand k jatay he aasman udas ho gaya,

suraj to jalta he raha intezar me or aag ho gaya
suraj ki khata se chaand k liye andhera ho gaya

chaand ne ki bewafai or tarron k sath ho gaya
silah milah kuch iss tarah dono pe garehan ho gya

Kartay rahay berukhi hamesha k liye
ek bann gya din aur dusra raat ho gya

ASRK


message 1637: by Junaid (new)

Junaid Shaikh | 10 comments Iss Shehar Ke Andaaz Ajab Dheke Hai Yaaro'n,
Goongo'n Se Kaha Jaata Hai Behro'n Ko Pukaroo..!


message 1638: by HERO (new)

HERO | 61 comments Tere Haath Ki Main Woh Lakeer Ban Jaoon..

Sirf Main Hi Tera Muqadar Teri Taqdeer Ban Jaoon..

Main Tujhe Itna Chahoon K Tu Bhool Jaye Her Rishta..

Sirf Main Hi Tere Her Rishte Ki Tasweer Ban Jaoon..

Tu Ankhain Band Kare To Aaoon Main Hi Nazar..

Is Tarha Main Tere Hr Khuwab Ki Tabeer Banjaon.


message 1639: by HERO (new)

HERO | 61 comments dekho ge humain roz magar bat na hogi
Ek shehr man reh keh be mulaqat na hogi

kehna hai jo keh dalo abi waqt hai baqi
kal hum honge … magar art-e-halat na hogi

jo pochna hai tum ko abi poch lo warna
phir Rasm-e-sawalat na hogi

din itne huwe taweel hijir ke logo
tarpo ge sar-e-sham magar raat na hogi

ye soch kar be dil tarap uthta hai yara
bichren ge is tarah, ke kabi mulaqat na hogi


message 1640: by Anika (new)

Anika | 34 comments one of my favourite:

Zindagi badi ajib hoti hai,
kbhi har to kbhi jeet hoti he,
tamanna rakho samandar ki gehraiyyo ko chune ki,
kinaro pr to bas shuruat hoti he..........


message 1641: by HERO (new)

HERO | 61 comments Kabhi hum pe wo jan diya karte the,
Jo hum kehte the wo maan liya karte the,
Aaj pas se anjaan banke guzar gaye,
Jo dur se hume pehchan liya kerte the.....ASRK


message 1642: by HERO (new)

HERO | 61 comments Unki arzu meri zindagi ka wo khuwaab hai,
Jiski manzil hi nahi rasta bhi kharab hai,
Hasi se mere dard ka andaza na lagana,
Dil ka har panna dard ki kitab hai.......ASRK


message 1643: by HERO (new)

HERO | 61 comments Chirag-e-fikar yakinan bujha ke sote hai,
Magar naseeb ki shama jala ke sote hai,
Wo roz khwaab mein jannat ko dekhte hoge,
Jo apni maa ke pair daba ke sote hai......ASRK


message 1644: by HERO (last edited May 18, 2015 12:55PM) (new)

HERO | 61 comments Yu to mohabbat ki haqiqat se hum khoob waqif the
Doston....
Par pata nahi kyu unko dekha to,
Zara sa shouk hua zindagi barbaad karne ka........ASRK


message 1645: by Anika (new)

Anika | 34 comments roti hui aankho me intezaar hota he
na chahte hue bhi pyar hota he
dekhte he hm wo sapne kyu
Jinke tootne pr bhi sach hone ka intezaar hota he....


message 1646: by Junaid (new)

Junaid Shaikh | 10 comments Khud ko dhund rahy hai hum khud mein he,
Ek anjaan ko khud dekar khud sy lapata hogaye...


message 1647: by Vaibhav (new)

Vaibhav | 2052 comments Hum to aise hi udaas baithe paani me patthar maar rahe the, hum to aise hi udas baithe paani me patthar maar rahe the,
Tabhi ek mendak ne nikal kr farmaya..
.
Aa teri udasi nikalu saale..
Apni wali k chakkar me meri wali ka ser phodd diya....


message 1648: by Vaibhav (new)

Vaibhav | 2052 comments Patthar se na sahi, teer se hi maar do...
.
patthar se na sahi, teer se hi maar do,
.
Bas ek hi tamanna hai hamari, ki bas ek baar muskura kr aankh to maar do...


message 1649: by Anika (new)

Anika | 34 comments Kbhi na kbhi wo mere bare me sochenge zarur.....
K hasil hone ki ummid bhi nhi he
Phir bhi pyaar krti he mujhse....


message 1650: by HERO (new)

HERO | 61 comments Mohabbat ki Qasam Wo Aisa Nahi tha

Wo Apna tha Magar Lagta Nahi tha

Na janey Kyun na Aaya Mujhse Milne,

Zamaney se To Wo Darta Nahi tha

Hansi ki Bari Aadat thi Usko,

Wo Mujhko Dekh kar Magar Hansta Nahi tha

Mere Dil mein hai Shamil Uski Ulfat,

Wo Mere jesa tha Faqat Mera Nahi tha.......ASRK


back to top