Indian Readers discussion
Poets, Poems n Poetry
>
Sher-o-Shayri ! ! !
Hum nay toh dekha tha, faqat shoq-e-nazar ki khatir...Yeh na socha tha...k tum dil main uter jao gay...... ♥
Kitna Assan hai aapke ke liye, Dil mein kisi ko basana,
Ek nazar deke toh dil mein utar jatey hai
Raah pe chaltey huye nazrein ghumney jo lagi
faqat shoq-e-nazar ki khatir,
Toh har naye chehre aapke dil mein jagah banatey hai .
Meri dil-O-dimagh Pe Humdum, Kuch Aisey Hy Tera Basera... Sochon tujhe toh neend na aaye...aur na sochon toh, adhura lage savera...
Kisi ke khayal me yu khud ko na bhula,Ke uske khayalo ke bina,adhura lage savera,
Ishq ke haat yu muhtaaz khud ko na bana ,
Ke ishq na ho toh tera khud pe bass na rahe
Na karo is alfaz ka zikr mere samne,Ab toh is alfaz se bhi nafarat si honey lagi hai,
Sirf zakm hi miley hai mohabbat mein humein ,
Rooh tadapti hai ,jaan nikalti hai,
Yeah woh aalam hai jahan koi ummeed nahi,
Khanjar bhi hanske seene pe Uttar dete hai,
Na karo mohabbat ka zikr yu is kadar,
Aab toh uski har baat se nafarat ho gayi hai.
Bahut kam hotey hai woh jo dete hai Saath Safar-e-Hayaat Mein,
Warna logo ko dekha hai humney ,
Toofano ke aatey hi chood dete hai haath,
Beech majdhaar mein.
Qasur kiska hai yeah hum nahi jantey,Jantey hai bad itna ki dil zar zar hota hai,
Mushkilo se bhulne ki koshish mein,
Har ek koshish mein Unka ehsaas hota hai,
Chahtey hai bhul jaye har ek pal,
Is chahney mein bhi Jeena yu dushwaar hota hai,
Nahin Maloom Kab Se Hai Taluq Tum Se Yeh Apna ,jab milen bhi na they hum…RAB se tumhe maanga karte they
Nadeem wrote: "dedicated to @anuradha @augusti and @sheetalTeri hasti say...teri zaat se khusbu aaye...
Tu jo bole, to teri baat se khusbu aaye...
Tujhko dekho, toh meri aankh mehak si jaye...
tujhko sochon, to..."
sorry... i am very late to comment...but....superb dedication thanx.
pyar me yun na bandho ki bina uske jeena nagwara lage...!tere deedar ke bina begana ye jmana lage....!
mere dil ke panchi ko to tu hi ek apna fsana lage...!
This is one of the best that i got from my friend...and its KILLER...
yeh jo hunar hai mere haath mein shayri likhney ka…
main apni barbaadi likhta hoon…log bas yuhi, Waah ! Waah ! Kartay hain…
Logo ka toh Kaam hai tareef kerna,Par aap gurur Ke nashe mein na dubna,
Jab bhi kare koi wah, wah, bewajah,
Toh aap aapne pairo tale jammen ki
Aihmiyat kya hai, yeah na bhoolna.
Bhatakte bhatakte pohoch jayega musafir mukaam par...Gumraah toh woh hai....jo ghar se nikale hi nahi
Ghar SE na nikle toh gumraah na samajhiye,Hum ghar mein rehkar bhi mukaam dhund lete hai,
Woh toh musafir hai jo bhatakte hai raston mein kabhi,
Aur yu bhatakte bhatakte aapna mukaam hi badal dete hai.
@ purvihum woh nahi, jo char diwaaron me apna mukaam dhunde...
Sikander bhi musafir bana...duniya jeetne ke liye....
Choom kar kafan me lipte mere chehre ko.....usne tadap kar kaha...
naye kapde kya pehen liye aap ne.... humein dekhte tak nahi...
Yeh wafa ki batein, toh un dino ki batein hai...Jab logon ke makaan kachche...or unke jazbaat sachche hua karte the......
@ musafir of dreams... Thanks for the wishes @ nadeem ....
Wafaye dino ki mauhtaaj nahi ,
Yeah toh chahne walo Ke dilo mein basti hai,
Makkan kache ho ya ho pathar Ke,
Bewafai har daaman mein aakar simat'thi hai,
Yun Hi rakhty rahe Bachpan se dil saaf ham..............., Pata nahi tha Qeemat to chehrun ki hoti ha dil ki nai...!!
Jo lagaye kemat chehre ki Woh insaan hi kya,Keemat na chehre ki na dil ki hoti hai,
Dil toh dil hai, iska koi mol Nahi,
Par chehre bhi e-dost mere , anmool hotey hai......
unki raat guzregi kaise jinpe naazil isqh hua ho…
Unki din katenge Kaise
Jinpe meharbaan rab hua ho..
Doob jayenge dayiya-e-ishq Mein wo,
Jinko phir kahi pyaar Mila ho.....
kitne aansoo baha diye is char din ki mohabbat main...kaash masjid main baithe hote, to aaj gunaho se paak hote.
Log gunaho se paak hone ko rab ko yaad kertey hai,Kash koi sirf yaad ke liye rab ko yaad Kerta,
Har cheez mein insaan matlab farosh Hota hai,
Kash rab ki muhabaat mein uski baat kerta.
Kitni Masoom Khwahish Hai us Dewane ladke ki... Chahta Hai Mohabbat Bhi kare...Or Khush Bhi rahe...♥
Khushiya aur mohabbat Saath sath nahi chalteMohabbat ke aate hi khushiya khafa ho jayee,
Woh aalam alag hoga jab ho aaisa,
Mohabbat ka daaman pakad khushiya humare paas aaye
Use Har Ghazal mein likhna mera dastoor hain lekin..Sar-e-Mehfil uske charche mujhe achhe nahi lagte...
Hum har raat yeh sochte hai k unhe bhul jaenge,
Magar jab subah hoti hai toh irada bhul jate hai..
Magar jab subah hoti hai toh irada bhul jate hai..
Cool ummm ok Lab pe aayi hai Phir ek baat kahi,
Chalakti palke kahe hai ruk ja tu abhi
Khol na raz-e-dil , badi baimaan hai duniya
Tu aapnayegi, par duniya tukhrayegi tujhe,
Phir mujhe chalakne se rok payegi nahi.
Aap dono ke jaise nahi hai par, I tried.
:)
Nadeem wrote: "Main Muskuraata hua Aaine me nazar aaunga..Aur Woh Ro Padegi achanak, Shringaar Karte Karte...!"
very very very nice.....i realy liked it...
jo chalkenge ashq palko se meri,har ek ashq pe tera hi naam hoga,
Jo alfaaz niklenge lab se mere,
har ek alfaz tere liye paigaam hoga,
waqt rahe na rahe kabhi upne saath,
par, mere har ek pal ko tera intezaar hoga.....
Humein Surat se Kya Matlab ,Hum Seerat Pey Marty Hain.. Usey Kehna...Tumhara Husn Dhal Jaye To Lout ke Ana..!!



Ashq Palko mein aake ruke hai kayi,
Chahato ki baatein humse na kijiye,
Yeah toh ek miraj hai, jiski talaash mein,
Barso se Barbaad huye hai kayi.