Indian Readers discussion

1462 views
Poets, Poems n Poetry > Sher-o-Shayri ! ! !

Comments Showing 1,101-1,150 of 2,213 (2213 new)    post a comment »

message 1101: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Naaz wrote: "Nadeem wrote: "Naaz wrote: "Phir se har boond mein teri yaad ki lazzat lay kar,
Baarishein aag laganey ka hunar laayi hein…"

Monsoon special...here is winter Special :P :P :P

Yaad mehboob ki aur ..."


O.o its 15 degree here :P
yet i am getting ill :P


message 1102: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments I wrote this shayri...tell me how is it???

Logon ne poocha...kya haal hai tumhari zindagi ka?
Dekh ke tumhe hamne jawaab diya… zindagi muskura rahi hai !!!


message 1103: by Aditya (new)

Aditya Tyagi | 61 comments Nadeem wrote: "I wrote this shayri...tell me how is it???

Logon ne poocha...kya haal hai tumhari zindagi ka?
Dekh ke tumhe hamne jawaab diya… zindagi muskura rahi hai !!!"

Bohat badiya bhai!!


message 1104: by Aditya (new)

Aditya Tyagi | 61 comments Piya wrote: "Aditya wrote: "Na masjido ko jante hai na mandiro ko jante hai,
Jo bhuke paet hote hai vo sirf NIVALO KO JANTE HAI..."

Aditya! Very Nice!"

Thank U piya.


message 1105: by Chitranshu (new)

Chitranshu (chitranshu28) | 365 comments Nadeem wrote: "I wrote this shayri...tell me how is it???

Logon ne poocha...kya haal hai tumhari zindagi ka?
Dekh ke tumhe hamne jawaab diya… zindagi muskura rahi hai !!!"
Awesome :D (Y)

Piya wrote: "Qayaamat TuT Padti Hai Zaraa Se Honth Hilne Par.....

Naa Jaane Kyaa Ho Agar Wo Muskuraaye To!"


beautiful...


message 1106: by Chitranshu (new)

Chitranshu (chitranshu28) | 365 comments Wo Mohabbat bhi teri thi....Wo Nafrat bhi teri thi..
Wo Apnane aur Thukrane ki Ada bhi teri thi...

Main apni Wafa ka Insaaf kisse maangu....
Wo shehar bhi tera tha...wo Adalat bhi teri thi..!!


message 1107: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Chitranshu wrote: "Wo Mohabbat bhi teri thi....Wo Nafrat bhi teri thi..
Wo Apnane aur Thukrane ki Ada bhi teri thi...

Main apni Wafa ka Insaaf kisse maangu....
Wo shehar bhi tera tha...wo Adalat bhi teri thi..!!"

Awesome !!!


message 1108: by Piya (new)

Piya | 466 comments Khud Hi Muskuraa Rahe Ho, Kyaa Baat Hai?.....

Paagal Ho...Yaa Mohabbat Ki Shuruaat Hui Hai!


message 1109: by Piya (new)

Piya | 466 comments ZAROORAT Din Nikalte Hi Nikal Padti Hai FARZ Par.....

BADAN Har Shaam Ye Kahataa Hai Ab HADTAAL Ho Jaaye!


message 1110: by Sanjeev (last edited Jan 22, 2015 06:57AM) (new)

Sanjeev Heer | 10 comments Khuda Itihaas Bn KAR Reh Jaata
Mohabbat Ki KitaaBon Mein.......
.
.
Agar Dil Pe Lgi Chott Ka Koi ILaaZ Bna Hota........


message 1111: by Naaz (new)

Naaz | 62 comments Chaha ke ye Aasman hamara hota,
Khwahishon ka koi kinara hota,
Ye soch kar na Roka us musafir ko humne,
Door jata hi kyun agar wo hamara hota,


message 1112: by Naaz (new)

Naaz | 62 comments Rang Bharte Ho Bohot Khoob, Khayaalon Mein . .
Kya Mere Dard Ki Tasveer Bana Sakte Ho Tum .


message 1113: by Naaz (new)

Naaz | 62 comments Jab Bhi Fursat Mili Hangama E Duniya Se Mujhe,
Meri Tanhai Ko Bas Tera Pata Yaad Aaya.


message 1114: by Piya (new)

Piya | 466 comments Ek Wo Pagli Hai Jo Mujhe Samajhti Nahi.....

Aur Yahaa Zamaanaa Meri Kalam Padh Ke Diwaanaa Huaa Jaa Rahaa Hai!


message 1115: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Piya wrote: "Ek Wo Pagli Hai Jo Mujhe Samajhti Nahi.....

Aur Yahaa Zamaanaa Meri Kalam Padh Ke Diwaanaa Huaa Jaa Rahaa Hai!"


Wahhhhhh !!!!!


message 1116: by Piya (new)

Piya | 466 comments Honth Milaa Diye Usne Mere Hontho Se Ye Kahkar.....

Agar Sharaab Chhod Doge To Ye Jaam Roj Milegaa!


message 1117: by Piya (new)

Piya | 466 comments Nadeem wrote: "Piya wrote: "Ek Wo Pagli Hai Jo Mujhe Samajhti Nahi.....

Aur Yahaa Zamaanaa Meri Kalam Padh Ke Diwaanaa Huaa Jaa Rahaa Hai!"

Wahhhhhh !!!!!"



Thanks Nedeembhai!


message 1118: by Piya (new)

Piya | 466 comments Tune Ek Baar Apnaa MIRZA Samjhaa To Hotaa.....

Fir SULTAAN Ban Ne Kaa Kaam Meraa Thaa!


message 1119: by Piya (new)

Piya | 466 comments Aye Baadal! Meri Aankhen Tum Rakh Lo.....

Ye Badi Utaawali Hain Barasne Ke Liye!


message 1120: by Sanjeev (new)

Sanjeev Heer | 10 comments Itni Nafrat Hai Usay Meri
“MOHABBAT” Se
K Boh khud ko dard deti hai muje
rulane ke liye


message 1121: by Md.ateeque (new)

Md.ateeque मुझे तो आज पता चला कि मैं किस क़दर
तनहा हूँ
पीछे जब भी मुड़ कर देखूं
तो मेरा साया भी मुँह फेर लेता है...!!


message 1122: by Naaz (new)

Naaz | 62 comments Piya wrote: "Ek Wo Pagli Hai Jo Mujhe Samajhti Nahi.....

Aur Yahaa Zamaanaa Meri Kalam Padh Ke Diwaanaa Huaa Jaa Rahaa Hai!"



Bahot khoob..


message 1123: by Naaz (new)

Naaz | 62 comments Piya wrote: "Honth Milaa Diye Usne Mere Hontho Se Ye Kahkar.....

Agar Sharaab Chhod Doge To Ye Jaam Roj Milegaa!"



very nice..
Lagta hai mujhe peena shuru kar dena chahiye.. ha ha


message 1124: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Naaz wrote: "Piya wrote: "Honth Milaa Diye Usne Mere Hontho Se Ye Kahkar.....

Agar Sharaab Chhod Doge To Ye Jaam Roj Milegaa!"


@PIYA...this was terrific
Luuurrrvvvv it


message 1125: by Chitranshu (new)

Chitranshu (chitranshu28) | 365 comments Piya wrote: "Honth Milaa Diye Usne Mere Hontho Se Ye Kahkar.....

Agar Sharaab Chhod Doge To Ye Jaam Roj Milegaa!"


quatil (Y)


message 1126: by Chitranshu (new)

Chitranshu (chitranshu28) | 365 comments Sab He Apni Gharz Se Miltay Hain Faraz
Maza To Tub Ha K Koi Bay Sabab Milay...


message 1127: by Sheetal (new)

Sheetal (sheevi) | 327 comments Wqt ko badlte hue dekha h mene............
or ab, logo ko sambhlte hue dekh rhi hu....... !!!


message 1128: by Naaz (new)

Naaz | 62 comments Aafatein jaise intezaar mein thin,
Tere jaate hi sabne gher liya...


message 1129: by Piya (new)

Piya | 466 comments PAAKIZAA Mohabbat Kaa Maaraa Hoon, Mujhe Naa Chhedo Doston.....

Jubaan Khulegi To Lafzon Se Lahoo Tapkegaa!


message 1130: by Piya (new)

Piya | 466 comments Jism Ki Daraaron Se Rooh Tak Nazar Aane Lagi.....

Bahut Andar Tak Ghaav Diye Tere Bewafaa ISHQ Ne!


message 1131: by Piya (new)

Piya | 466 comments Mere ALFAAZ Hi Hain Mere Dard Kaa MARHAM.....

Mai Agar SHAAYAR Naa Hotaa To Shaayad PAAGAL Hotaa!


message 1132: by Piya (new)

Piya | 466 comments Nadeembhai Aur Naaz Shukriyaa! Chitranshu Dhanyawaad!


message 1133: by Naaz (new)

Naaz | 62 comments Phool ko shaakh pe khilte dekha...
Aapke hasne ki adaa yaad aayi..


message 1134: by Naaz (new)

Naaz | 62 comments Hooronse keh do, kisi gumaan mein na rahe..
Woh farsh par bhi mera hai
Aur arsh par bhi mera...


message 1135: by Aditya (new)

Aditya Tyagi | 61 comments Tezz raftaar zindagi ka ye aalam hai ke,
Subha ke gham shaam ko purane ho jaate hai!


message 1136: by Aditya (new)

Aditya Tyagi | 61 comments Log meri deewangi ko fakiri samjte rahe faraz,
Mai to usse dekhne ke khatir bheek mangta raha...


message 1137: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Naaz wrote: "Phool ko shaakh pe khilte dekha...
Aapke hasne ki adaa yaad aayi.."


awesome


message 1138: by Shireen (new)

Shireen  Hakani | 1 comments Aankhon Ki Chamak, In Palko Ki Shaan Ho Tum,
Chehre Ki Hansi, Mere Labo Ki Muskaan Ho Tum,
Dhadakta Hai Yeh Dil Sirf Tumhari Aarzoo Mein,
Phir Kaise Na Kahu, Ke Meri Jaan Ho Tum..!!

Dekha Nahi Ab Tak Jisse Woh Anjaan Ho Tum,
Ehsaason Mein Base Hue Mere Armaan Ho Tum,
Hota Nahi Raabta Aaise Hi Dil Kisi Se Duniya Mein,
Phir Kaise Na Kahu, Ke Meri Jaan Ho Tum..!!

Meri Kalam Ki Zubaan, Meri Pehchaan Ho Tum,
Dil Par Jo Likh Diya Hai, Woh Nishaan Ho Tum,
Saansien Nahi Yaar Maangte Hai Muqaddar Mein,
Phir Kaise Na Kahu, Ke Meri Jaan Ho Tum..!!

Meri Jeene Ki Wajah, Dhadkano Ki Aan Ho Tum,
Saaya Ban Kar Chale Jo, Mere Aasmaan Ho Tum,
Udasiyon Ki Zindagi Se Mujhe Nikala Hai Tumne,
Phir Kaise Na Kahu, Ke Meri Jaan Ho Tum..!!

Shireen Hakani

I wrote this a while back.


message 1139: by Aditya (new)

Aditya Tyagi | 61 comments Shireen wrote: "Aankhon Ki Chamak, In Palko Ki Shaan Ho Tum,
Chehre Ki Hansi, Mere Labo Ki Muskaan Ho Tum,
Dhadakta Hai Yeh Dil Sirf Tumhari Aarzoo Mein,
Phir Kaise Na Kahu, Ke Meri Jaan Ho Tum..!!

Dekha Nahi Ab ..."

U r OSM!!!!!


message 1140: by Md.ateeque (new)

Md.ateeque वो जो कहती थी के तू न मिला तो मर
जाएंगेहम..वो आज भी ज़िंदा है ये बात किसी और
से कहने के लिए....


message 1141: by Aditya (new)

Aditya Tyagi | 61 comments Tera na ho saka to mar jaounga faraz,
Kitna khubsurat vo juth bola karta tha!


message 1142: by Aditya (new)

Aditya Tyagi | 61 comments So jate hai footpath pe akhbar bicha ke,
Majdoor kabhi neend ki goli nhi khate!!!


message 1143: by Naaz (new)

Naaz | 62 comments Sarey raah jo unsay nazar mili…
To Naksh dil key ubhar gaye…
Hum nazar mila kar jhijag gaye…
Vo Nazar jhuka kar chale gaye…


message 1144: by Naaz (new)

Naaz | 62 comments Taash ke patte me ikka or zindagi ke safar me sikka...
Jab chalta hai to saari duniya salam karti hai..


message 1145: by Md.ateeque (new)

Md.ateeque अजीब तरह के लोग हैं,
इस दुनिया मे,
अगरबती भगवान के लिए खरीदते हैं,
और खुशबू खुद की पसंद की तय करते हे.....!!


message 1146: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Naaz wrote: "Sarey raah jo unsay nazar mili…
To Naksh dil key ubhar gaye…
Hum nazar mila kar jhijag gaye…
Vo Nazar jhuka kar chale gaye…"


NAZAR jhukain...woh apni ada me sharmain!!!

KHUDA kare ye lamha, bas yehin thahar jayein !!!


message 1147: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Naaz wrote: "Taash ke patte me ikka or zindagi ke safar me sikka...
Jab chalta hai to saari duniya salam karti hai.."


KHOOB saje pattein, hathon me mere...!!!
Gila bas yehi hai, ki RANI ne DHOKA de diya !!! :P :P :P


message 1148: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Shireen wrote: "Aankhon Ki Chamak, In Palko Ki Shaan Ho Tum,
Chehre Ki Hansi, Mere Labo Ki Muskaan Ho Tum,
Dhadakta Hai Yeh Dil Sirf Tumhari Aarzoo Mein,
Phir Kaise Na Kahu, Ke Meri Jaan Ho Tum..!!

Dekha Nahi Ab ..."



suppeeerrbbbb!!!


message 1149: by Pallavi (new)

Pallavi Mishra | 310 comments Piya wrote: "Honth Milaa Diye Usne Mere Hontho Se Ye Kahkar.....

Agar Sharaab Chhod Doge To Ye Jaam Roj Milegaa!"



Muje ye shayri sexi lagi :p


message 1150: by Pallavi (new)

Pallavi Mishra | 310 comments Guzray Huway Lamhon Ka Hawala Jo Diya . . .
Has K Kehnay Laga, Woh Raat Gai Baat Gai . . . !! 


back to top