Indian Readers discussion
Poets, Poems n Poetry
>
Sher-o-Shayri ! ! !
message 51:
by
Nadeem
(new)
Feb 19, 2013 02:04AM
That was an awesome reply...
reply
|
flag
Teri tareef ko lafzon ki Zarurat he kya hai, Kon Hosh m rehta hai waise bhi tujhe Dekhnay k Baad....!!! ♥
Yu is tarah Hosh khona kuch theek nahi ,madhosh ho jayege din dhalne ke baad,
Har ek naye chehre ko dekhker yehi kahenge,
"Kon Hosh m rehta hai tujhe Dekhnay k Baad....!!! ♥ "
Sochne ko khayal Ye Acha hai,Waqt aata hai toh ache acho ko badal deta hai,
Uthti nahi thi jo nigahein kisi aur ke chehre ki taraf,
Ab us nigah ke ek tasawuur ko tarasna hai.
Hum Jab Nibhaty Hein To Is Tarha Nibhaty Hain Mohabbat !! Saans Lena Cho'r Sakte Hain Mager Daaman-e-Yaar Nahi...♥
@ prince .... Heard tht one @ nadeem
Waqt rukta hai , duniya thahar jati hai ,
Palko se giri shabnam, sukh jati hai,
Kehtey the jo na chodenge daman Ye Kabhi,
Unke intezaar mein Ye saanse he ruk jati hai .
Aitbaar-e-yaar jaroori hain is bedard duniyan me...kyu karen yakeen aanjanoo kaa...roobaroo ho chuke jis deewane se ...yakeen karoon us deewane kaa...
Kahe deewana har koi khud ko,Baat toh hoti hai bas parwane mein,
Jalta hai jo shamma ke liye,
Aaisi himmat hi nahi kisi deewane mein.
Aaisi aashiqui ka kya faayda...jo beech majdhar me chod chala jata hai..
Parwana toh jal kar khaak bana...
chand lamhe hi roshni de pata hai,
.
Fitrat me nahi dhooka deewane ki,
jo har ek kadam pe noor phailata hai...
Aisa deewana duniya mein nahi,Jiski fitrat mein noor phailana ho,
Unka toh kaam hai mohabbat kerna,
Chahe har roz naam koi anjana ho .
Gairo se Kabhi koi shikwa na hui , Woh aapne hi hai jinse mili hai ruswaiya,
Pathar marne ki humko zarurat na hui,
Zakhm kafi hai miley, hum zar zar hue,
daman mein mere bachi hai bas tanhaiyaa .
Jane ko bahane hai Diye ,Hum toh rukne ko the tayaar khade,
Unki zhooti baton ne sare armaan Tod diye,
Warna dil mein simat Jane ko the tayaar khade.
Kehne ke liye hi hai batein Ye sabhi,Nibhane ke liye kuch khaas nahi rehta hai,
Baton se humein koi bair nai,
Jab insaan hi jasbaat se khilwaad kerta hai .
Agar HUM na hote to gazal kon kehta..aap k chere ko kamal kon kehta
ye to karishma hai mohabbat ka warna..
Patthar ki deewar ko TAJMAHAL kon kehta.......
Tajmahal dewaar nahi ek mazaar hai,Khoon se sani ek uski deewar hai,
Har ek pathar se aati hai fariyaad yahi,
Yeah pyaar nahi ek azaab hai.
Tu wo zaalim hai Jo Dil mein reh kar bhi mera na ban Saka “Ghalib” Aur Dil wo kafir...Jo mujh mein reh kr bhi tera hogaya…
Ho sakta hai tujhe is baat ka ehsaas na ho ,Uski chahat ka tujhe ghumaan na ho,
Tadap jo tere dil mein hai ,To ulfat usse bhi ho,
Tu yaha beechaan hai tere tute dil ke liye,
Waha tere aane ka intezaar usse bhi ho.
Augusti wrote: "Hoti na poori chahte to gam na tha,Murade toh Waqt Dar Waqt badalti hai,
Afsoos toh is baat ka hai e-dost,
Meri wajah-e-zindagi ko mujhse dur kiya."
very well augusti.....
Palak par tehre hai jo , woh aanso nahi,Yeah toh mere gam ki parchayi hai,
Lab pe aake ruke alfaaz kahin,
Dil ne bhi di yahi duhai hai ,
Na keh khud ko toh aashiq mera ,
Ashiq banne mein toh sirf ruswai hai.
duniya ka ye dastoor hai, ruswai pyaar me mashoor hai Dar jaaye ruswai se jo, woh aashiq ka daaman hi fizool hai...
Aise ishq ki hum khwaish Kyu kare,Har roz jisse dil ko kayi zakhm mile ,
Barbaad ho jaye jiske aane ke baad,
ashq-e-Dard ke katre humein udhaar miley.
Hum toh barbaad huye kisi ke pyaar mein,Dard ka ehsaas hua barbaad honey ke baad,
Ye ghumaan na tha dil mein tees uthegi yu,
Rooh tadapegi aur Jeena dushwaar hojayega ,
khudko unse dur kerne ke baad.
Khuda Kary K Saari Umar Mujhe Manzil Na Mily,,, Bari Mushkil Se To Wo Razi Howe Hai Sath Chalney Ko...♥
@ nadeem .... Manzilee na hongi toh sath chaloge kaise,
Yu raah mein bhatakna humein gawara nahi,
Manzilee nahi huyi toh reh jaoge us dariya ki tarah,
Jo bas badhti toh rehti hai , par uska koi kinara hi nahi .
@ divya Duriya mohabbat ko kam kar nahi sakti,
Uttar nahi sakta woh chehre door ho Jane ke baad,
Gar Kabhi huya yu ki uttar gaya chehra nazar se,
Toh mumkin hoga woh aankh band ho Jane ke baad .
Aaj hum door hue, waqt ke paaband bhi,par tha kya yehi, hardam hamesa se hi?
ab to khariyaat jaanne ki fursat bhi nahi
kabhi baatein humari waqt ki muhtaaj na thi...
Khud ko is kadar Waqt ka mohtaaj na bana ke Waqt ki bedhiyo mein jakadh Jana pade,
Kar buland hausle ko aapne yu is tarah,
Ke Waqt ko tere samne jhuk jaana pade .
Augusti wrote: "Khud ko is kadar Waqt ka mohtaaj na bana ke Waqt ki bedhiyo mein jakadh Jana pade,
Kar buland hausle ko aapne yu is tarah,
Ke Waqt ko tere samne jhuk jaana pade ."
Is pal me jeene ki aadat hai hame...kal ki parwah hum nahi karte...
Waqt par toh khuda ki hukumat hai...yahi sooch kar waqt se hum dara nahi karte...
Augusti wrote: "@ nadeem .... Manzilee na hongi toh sath chaloge kaise,
Yu raah mein bhatakna humein gawara nahi,
Manzilee nahi huyi toh reh jaoge us dariya ki tarah,
Jo bas badhti toh rehti hai , par uska koi ki..."
Dariya toh apni rahein khud banati hai...
Chattanoh ko bhi kaat girati hai...
Nahi manzoor usse dooriyan zara bhi...
Ishq-e-samundar ki kashish jo use bulati hai...
Ek kashish si dil mein uth'ti hai ,Kisi ki yaad mein yeah jaan nikalti hai,
Khayalo mein bhi Unka sabab rehta hai,
Mere jasbaat , meri umeed , mere armano ko,
Unki ek nazar ka intezaar rehta hai,
Pucho na mujhse mera hal-e-dil,
Har Waqt unki mohabbat ka ghumaan rehta hai.
Na Janay Wo Neend K Nashay main Itna Kaisay Doob Jati Hai Hum To Karwat B Badaltay Hain To Uski Yaad Aati Ha.......♥
Yaadein toh zindagi ki parchayi hai ,Waqt Dar Waqt kaam yeah Aayi hai,
Humko toh in yadon mein jee lene do,
Yeah yaadein hi toh zindagi ki sachaai hai.
Badi Gustaakhiya Kerne Laga Hai Mera Dil Mujh se....... Ye Jab Se Tera Hua Hai Meri Sunta Hi Nahin........♥
Gustakhiya dil ne hi nahi, dharkan ne bhi ki hai,Ki iska khud pe Ab zor nahi,
Aahat suntey hi kisi ke aane ke,
Kambakath raaz-e-dil bayan Ker deti hai.
Samajh Nahi Aati Mohabbat Ki Kahani Kya Hai....! Sajday Khuda Ko Kar K....Maangtay insaano Ko Hain...!
Mohabbat ki kahani samjhe toh,Samajh lenge zindagi,
Hum toh apni daaman mein,
Bhar lenge zindagi,
Chand ki chahat karte hai sab magar ,
Hum toh taro ke naam kerdenge,
aapni Yeah zindagi.


