Indian Readers discussion
Poets, Poems n Poetry
>
Sher-o-Shayri ! ! !
Jo pake hain ikraro ke- ikraro per marjate hai ,Jo batoo ke batuni hai elaan badalte rehte hain,insaan ki khushbu rehti hai insaan badalte rehte hain... Darbar saje rehte hain yahan darbaan badalte rehte hai...Ek dastarkhan hai ye duniya sab maut ka lukma bante hai,
dastarkhan vahi pe rehta hai mehmaan badalte rehte hai,
Insaan ki khushbu rehti hai insaan badalte rehte hai,
Darbaar saje rehte hai yaha,
Darbaan badalte rehte hai.....
Mai aaj bhi Mehfil me isliye der se pahuchta hu,kyu ki...
Mujhe accha lagta hai uska u aankho se shikayt
karna...!
Hamaari To Khaanaa Khaaye Binaa Bhookh Nahi Mit..ti.....Na Jaane Log Bhaav Khaake Kaise Chalaa Lete Hain!
Pakistaan Ke Peshawar Me Shahid Hue School Ke Bachchon Ko Samarpit 2 Panktiyaa...Aaj Jannat Me Bahut Chahal-Pahal Hogi.....
Sunaa Hai Dharti Se Nanhe Farishton Ki Fauj Nikali Hai!
Nadeem wrote: "#peshawarattack#Maa darwaaza hi taakte reh gayi...
Bacche school se hi JANNAT chale Gaye !!!"
Nadeem.... Very nice jin bachco ko majhab ka fark nhi pata tha na jante the ki dushmni aur dosti kya hai ..... Zindagi ki shuruaat krne s phle hi zindagi khatm kr di gayi .... We all shuld give tribute
Quran says in Surah Maidah: Verse 32"Those who have killed an innocent soul, it is as if they have killed the whole mankind" said by ALLAH
jo insaan ko bachpan me hi maut aa jaye, woh apne MAA BAAP ki magfirat kariange (i.e. Jannat leke jainge)
-Prophet Muhammad
Nadeem wrote: "Quran says in Surah Maidah: Verse 32"Those who have killed an innocent soul, it is as if they have killed the whole mankind" said by ALLAH
jo insaan ko bachpan me hi maut aa jaye, woh apne MAA BA..."
Nice
#peshawar attack #BADLE ki AAG jala gai NANHI JAANO ko..
Kuch pal bhi na laga INSANIYAT bhulane walo ko...
Na jane kya beeti hogi un NANHO pe.....
Khuda SUKUN bakshe drd me rote ghrwalon ko.....
Udhar Wo Lagaa Thaa Sabzi Me Nuks Nikaalne Me.....Idhar Koi Khudaa Se Sukhi Roti Ka Shukr Manaa Rahaa Thaa!
Yahaa Ek Lamhe Mein Koi Sadiyaan Bitaataa Hai.....Kisiko Sadiyaa Bitaake Bhi Ek Lamhaa Nahi Mil Paataa!
Laakh Samjhaayaa Usko Ki Duniyaa Shaq Karti Hai.....Fir Bhi Uski Aadat Naa Gayi...Meri Taraf Musuraakar Gujarne Ki!
Vo khta tha ki hmari muskrahat bht haseen hai Vo sahi khta tha tabhi
Apne sath
Muje nhi
Meri muskrahat sath le gaya
Nadeem wrote: "#peshawarattack#Maa darwaaza hi taakte reh gayi...
Bacche school se hi JANNAT chale Gaye !!!"
Thanks
Piya wrote: "Karo Fir Se Waadaa Kabhi Na Bichhadne Ka.....Tumhe Kya Farq Padtaa Hai...Fir Se Mukar Jaanaa!"
Kya khoob likhti hp
Wo Ladakpan Ke Din The...Ab Hai Jawaani Ki Bahaar.....Pahle Bhi Chehre Pe Tere Teel Thaa...Par Itnaa Kaatil Na Thaa!
Jawaan Mastiyon Ka Rang Hai Unke Shabaab Mein.....Maano Jaise Nahaaye Hue Ho Khushboodaar Sharaab Mein!
Kuchh To Khauf Uparwaale Ka Kijiye...Iss Tarah Naa Chalaa Kijiye.....Din Mein Kai Baar Iss Chaal Pe Talwaaren Chalti Hain!
Shayari ek nasha bhi hain or ekzajbaat bhi hain,
Har toote huye dil ka ek ehasaas bhi
hain,
Jo samajh sake iske lafzoon ko uska
pyar b hain
Or jo na smjh sake uske liye jhuta
khwab b hain..
Anokhee Wajah Hai...Saare Zamaane Se Niraale Hain.....Ye Aashiq Naa Jaane Kaunsi Basti Ke Rahanewaale Hain!
Kaise Bhool Paayegi Wo Meri Barson Ki Chaahat Ko.....Dariyaa Agar Sukh Bhi Jaaye To Ret Se Nami Nahi Jaati!
Jab Tak Hoon Zindaa...Pyaar Ko Nyochhaawar Kar De.....Baad Mein Tasveer Ko Koi Bhaavanaayen Asar Nahi Karti!
Ek Gazal Dekhti Thi Mujhe Jharokon Se.....Sach Me Wo Zamaanaa Gazal Jaisaa Thaa!
Wo Bhi Kyaa Din The, Tere Paaon Ki Aahat Sunkar.....
Dil Kaa Seene Mein Dhadaknaa Gazal Jaisaa Thaa!
तेरे बिना में ये दुनिया छोड तो दूं , पर उसका दिल कैसे दुखा दुं ,जो रोज दरवाजे पर खडी केहती हे ;
“बेटा घर जल्दी आ जाना “



Hum kese yakeen kre ki door jakar roye honge