Indian Readers discussion
Poets, Poems n Poetry
>
Sher-o-Shayri ! ! !
Unki Chaal Hi Kaafi Thi Iss Dil Ke Hosh Udaane Ke Liye.....Ab To Hadd Ho Gayi Jab Se Wo Paaon Me Paayal Pahanne Lage!
Wo Khud Ko Naqaab Lagaakar...Ishq Se Mahfooj Samajhti Rahi.....Naadaan! Itnaa Nahi Samajhti Ki Ishq Chehre Se Nahi Aankhon Se Shuru Hotaa Hai!
Nafrat Krty ho na Mujhse,,,?...to is kdr karna...
K Main Dunia Se Jaon Or Teri Zuba'n Pe Lafz-e-Shukr Ho..!
Beshumaar Husn Dekhkar...Mai Uskaa Haath Hi Thaame Rahaa.....To Usne Kahaa...Mere Badan Mein Kamar, Lab Aur Kalaaiyaan Bhi Hain!
Waqt aane de suljao ka Teri zulfeWaqt aane de suljaonga Teri zulfe,
Abhi to ulja hu mai waqt ko suljane me...
Jo Fakiri Mijaaz Rakhte Hain...Wo Thokaron Pe Taaj Rakhte Hain.....Jinko Kal Ki Fikr Nahi...Wo Mutthi Mein Aaj Rakhte Hain!
Nikalte Aansuon Ko Dekhkar Sochti Hain Aankhen.....Aakhir Aur Kitnaa Waqt Lagegaa Saare Khwaabon Ko Bahne Mein...!
Maalum Hai Ki Usne Kharid Liyaa Hai Karodon Ka Ghar Shahar Mein.....Lekin Aangan Dikhaane Bachchon Ko Wo Ab Bhi Gaon Aata Hai!
Kaise-kaise leti hain imtehan ye mohabbat,Lagta hain legi ek din Jaan ye mohabbat,
Dil me na dhadkhane na zindagi se koi aarzoo,
Bulati hain sirf tuje jaane ja ye mohabbat,
Puchte hain mere kadam mujse tera pata,
Tum bin ho jati hain pare
shaan ye mohabbat,
Kabhi gujre the jin raaho se hum kabhi,
Talaash karti hain aapne nishaan ye mohabbat,
Adhoore hain meri chahaat meri ibadat tere bagair,
Dudhti hain apna meharbaan ye mohabbat,
Aye kaash vo samaj jaye haal is dil ka,
Laafzo mai kha byaan hoti hain ye mohabbat...
Mat Puchh Sheeshe Se Uske Tutne Ki Wajah.....Kyonki Usne Bhi Meri Tarah Kisi Patthar Ko Apna Samjhaa Hogaa!
Taaumr Log Poojate Rahe Apne Haathon Se Banaaye Patthar Ke Bhagwaan Ko.....Humne Bhagwaan Ke Haathon Se Bane Ek Insaan Ko Chaahaa To Gunehgaar Ho Gaye!
Kaun Kharidegaa Ab Heeron Ke Daam Tumhaare Aansu.....Wo Jo Dard Kaa Saudaagar Thaa...Mohabbat Chhod Di Usne!
Kaun Kahtaa Hai Ki Dard Ki Koi Kimat Nahi Hoti.....Meri Mehfil Mein Aake Dekh, Meri Shaayari Ke Kharidaar Kitne Hain!
Aditya wrote: "Waqt aane de suljao ka Teri zulfeWaqt aane de suljaonga Teri zulfe,
Abhi to ulja hu mai waqt ko suljane me..."
This was AWESOME !!!
Piya wrote: "Hum To Fanaa Ho Gaye Unki Ek Jhalak Dekhkar.....Naa Jaane Aaine Pe Roj Kyaa Gujarti Hogi!"
@piya... Too much
loved it
Nadeem wrote: "Aditya wrote: "Waqt aane de suljao ka Teri zulfeWaqt aane de suljaonga Teri zulfe,
Abhi to ulja hu mai waqt ko suljane me..."
This was AWESOME !!!"
Bass Bhai kabhi maan nhi kiya;)
Piya wrote: "Mat Puchh Sheeshe Se Uske Tutne Ki Wajah.....Kyonki Usne Bhi Meri Tarah Kisi Patthar Ko Apna Samjhaa Hogaa!"
Nazzar meri manjil ki taraf thi,
Aakho ne mud kar kabhi meel ke patharo ko nhi dekha,
Yuu to pathar bata raha hain muje mera har chane vala,
Mai pathar nhi moom hu mere mehboob ne kabhi muje chuu kar nhi dekha...
Jaroori Nahi Ki Shaayari Wahi Kare Jo Ishq Mein Ho.....Zindagi Bhi Kuchh Zakhm Bemisaal Diyaa Karti Hai!
Hum Baadshaah Nahi Jo Kisi Ki Chaal Se Mare Jaaye.....Yahaa To Puri Shatranj Hamaari Hai, Jab Chaahe Mohare Samet Lenge!
Ittar Se Kapdon Ko Mahkaanaa Koi Badi Baat Nahi.....Mazaa To Tab Hai Jab Khushboo Aapke Kirdaar Se Aaye!
Kuchh Log Yah Sochkar Bhi Meraa Haal Nahi Puchhte.....Ki Ye Paagal Deewaanaa Fir Koi Sher Naa Sunaa De!
Md.ateeque wrote: "बुलंदी तक पहुचना चाहता हु मै भी....मगर गलत राहो से होकर जाऊ इतनी जल्दी भी नही...."
Very Nice!
Dekhte hi dekhte guzar gayi ye shaam hain,Choti hain meri zindagi or ucha mera mukaam hain,
Kabhi lagi thokar to kabhi milli manjil bhi,
Gir kar sabhalna hi jeevan ka paigam hain,
Karrlo Kabul hass kar Jo bhi mille tumhe,
Jindagi gujrne ka nhi jeene ka naam hain...
wo kahti hai soch lena tha mohabbatkarne se pahle.......
ab use kaun btaye soch kar to sazish ki
jati h..
Aaj Dunia Meri Nakaami Pe Hasti Hai,.
Lekin
.
Ek Din Aisa Launga Jab Yahi Dunia Jalegi Meri
Kamyabi Pe..!!
Bahut Hi Naazon Se Choomaa Usne Mere Labon Ko Marte Waqt.....Kahne Lagi...Manzil Aakhri Hai, Raaste Mein Kahin Pyaas Naa Lag Jaaye!
एक रोटी भी ना मिली उस नादान को,
वो तस्वीर बिकी लाखों की जिसमें वह भूखा बैठा है |
वो तस्वीर बिकी लाखों की जिसमें वह भूखा बैठा है |




Bhut roya krte hai ramjhan tanhaiyo ke waqt