Indian Readers discussion

1462 views
Poets, Poems n Poetry > Sher-o-Shayri ! ! !

Comments Showing 601-650 of 2,213 (2213 new)    post a comment »

message 601: by [deleted user] (new)

Khuda ne jannat jub banayi hogi,
Teri tasveer uske zehen me samai hogi,
Sochta hoga kise de ye hasin tohfa,
Tab jakar hamari mohabbat use samajh aayi hogi...!!!


message 602: by [deleted user] (new)

Kabhi karta tha khuda ki ibadat,
Aaj tujhpar jaan lutata hoon..
Hai mohabbat is kadar tujhse,
Ke raaton me aksar jaag jata hoon.

Adhuri si rehti hai ninde,
Chand ko roz yahi batlata hoon..
Na uljhun zulfoon me jab tak teri,
Is dil ko bechain hi pata hoon.

Na chale tu jis din saath mere,
Sidhi rahon me kahin kho sa jaata hoon...
Hai aadat buri is kadar mujhe teri,
Apni zindagi ko bas tujh se pata hoon.

Chandni raat ho ya baadal,
Teri khusboo se mehak sa jata hoon..
Hai junoon is kadar teri mohabbat ka,
Hosh me rehkar bhi madhosh ho jata hoon.

Hai dhadkan jis kadar mere dil ki tu,
Un chahat ke nagmo ko yunhin gungunata hoon...
Ae nazni tere palko ki chao me,
is zindagi ka har pal tujh par lutata hoon...


message 603: by Pallavi (new)

Pallavi Mishra | 310 comments Nitish wrote: "Kabhi karta tha khuda ki ibadat,
Aaj tujhpar jaan lutata hoon..
Hai mohabbat is kadar tujhse,
Ke raaton me aksar jaag jata hoon.

Adhuri si rehti hai ninde,
Chand ko roz yahi batlata hoon..
Na uljh..."



Bhooot khooob


message 604: by Shraddha (new)

Shraddha (shukla469) | 26 comments Pallavi wrote: "Jis ke bina sham na gujarti thi


Uske bina ye diwali nikal gayi"


Apni khushiyo ko tu auro ka mohtaaz krna chhod due...
Ye jindgi hseen mauka h gairo pe marna chhod due....


message 605: by [deleted user] (last edited Oct 27, 2014 09:56PM) (new)

Nitish wrote: "Kabhi karta tha khuda ki ibadat,
Aaj tujhpar jaan lutata hoon..
Hai mohabbat is kadar tujhse,
Ke raaton me aksar jaag jata hoon.

Adhuri si rehti hai ninde,
Chand ko roz yahi batlata hoon..
Na uljh..."


Bhooot khooob

Thanks pallavi...!!!


message 606: by Pallavi (new)

Pallavi Mishra | 310 comments Shraddha wrote: apni khushiyo ka mohtaz krna chod de.

Koi hai jo mere dil me basta hai
Kabhi kabhi zindagi to kabhi dhadkan lagta hai
Ab tu hi bata koi esa insan jo apni dhadkan se ber rakhta hai .



message 607: by Pallavi (new)

Pallavi Mishra | 310 comments Nitish wrote: "Nitish wrote: "Kabhi karta tha khuda ki ibadat,
Aaj tujhpar jaan lutata hoo


Phle neende hme bht pyari thi
Din ho ya rat us se yari thi
Uske pyar me neendo se judai ho gayi
usi pyar ke gum me aansu aur tanhainse yari ho gayi



message 608: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Phir ISHQ ke jazbon ko betaab kiya usne....

Aaj MEHENDI lage haathon se AADAAB kiya usne !!!


message 609: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Deedaar ki talab hai toh nazrein jamai rakh...

Kyuki NAQAAB ho ya NASEEB, sarakta zaroor hai !!!


message 610: by Aneesh (new)

Aneesh Bagwan | 47 comments Tere Naam Ek Ghazal Likh Raha Hoon..


Ek Hijar Ka Wasal Likh Raha Hoon..

Tere Chehrey Ki Khoobsurti Ko..
Ek Chaand Likh Raha Hoon..

Teri Bheegi Huwi Zulfoon Par..
Ek Deewaan Likh Raha Hoon..

Tere Hontthon Ki Pyaas Ko..
Ek Sharaab Likh Raha Hoon..

Tere Hasney ke Andaaz Ko..
Ek Shabbab Likh Raha Hoon..

Tere Ashqoun Ki Barsaat Ko..
Ek Dariya Likh Raha Hoon..

Teri Naazuk Adaoon Ko..
Ek Gulab Likh Raha Hoon..

Teri Dilkash Aawaz Ko..
Ek Koyal Likh Raha Hoon..

Teri Aankhon Ki Kashish Ko..
Ek Jaam Likh Raha Hoon..

Tere Naam Ke Intisaab Par Main..
Bus Ek Kitaab Likh Raha Hoon..


message 611: by Shraddha (new)

Shraddha (shukla469) | 26 comments Pallvi Ji
Beshk tu kisi ko dil me bsa le..
Air fir use dhadkan bna le...

Pr mt bhool in dhdkano ka vajood tujhse hi to h....
Inhe dhdakne de aur tu jeene ka maja le....


message 612: by Shraddha (new)

Shraddha (shukla469) | 26 comments Maine bhi kisi ko dil me basaya h...
Pr us jalim ko Kaha mera pyaar samajh aya h...
Dekhkr hr pal berukhi uski....
Apne pyar ko ab humne dil me dafnayaa h....@


message 613: by Aneesh (new)

Aneesh Bagwan | 47 comments Na Kiyaa Kar Shikwa Uss Ki Be Rukhi Ka

"Aey Dost"

Tu Hee Yaad Kar Liya Kar Ussey
Yeh Soch Kar Kay Tu Bewafa nhi..


message 614: by Shraddha (new)

Shraddha (shukla469) | 26 comments Aneesh wrote: "Na Kiyaa Kar Shikwa Uss Ki Be Rukhi Ka

"Aey Dost"

Tu Hee Yaad Kar Liya Kar Ussey
Yeh Soch Kar Kay Tu Bewafa nhi.."

Kya baat h...:)


message 615: by Shraddha (new)

Shraddha (shukla469) | 26 comments Aneesh wrote: "Na Kiyaa Kar Shikwa Uss Ki Be Rukhi Ka

"Aey Dost"

Tu Hee Yaad Kar Liya Kar Ussey

Yeh Soch Kar Kay Tu Bewafa nhi.."


Sochte hain.....
Uski berukhi ka jawab kya h...
Jo kare bewfayi to ilaaz kya h...
Chahkar bhi na bhool paye ye dil usko...
Ye meri mohobbt ka mizaz kya h.....


message 616: by Aneesh (new)

Aneesh Bagwan | 47 comments Hota kaise unhein gham hamari ruswai ka,
Jab fark padha hi nahi unhein judai ka,
Khamoshi se saha hamne jab har gham,
To ilzam laga diya bewafai ka..


message 617: by [deleted user] (new)

Shraddha wrote: "Maine bhi kisi ko dil me basaya h...
Pr us jalim ko Kaha mera pyaar samajh aya h...
Dekhkr hr pal berukhi uski....
Apne pyar ko ab humne dil me dafnayaa h....@"


Mehfooz rakhna apni chahto ko,
Parinday kahin le na jaye,
Mohabbat karna is kadar ae sanam,
Ke zindagi jine ka armaa kahin reh na jaye...!!!


message 618: by [deleted user] (new)

Aaj barish ki boondein unki yaad dila gayi,
Hum bethe the bekhabar aur dharkane chura gayi..!!!


message 619: by Shraddha (new)

Shraddha (shukla469) | 26 comments Nitish Ji

Bhat khoob......


message 620: by Pallavi (new)

Pallavi Mishra | 310 comments Meri taraf se 2 shabd us insan se jisne kabhi muje senrious hone ko kaha tha



Bht dekha hai jeevan me samjhdar ban kar

Apno se dhokha kash fir bhi khati hai

Par kushi pagal pan se hi pati hai

Jisme vo har gum bhul jati hai


message 621: by Pallavi (new)

Pallavi Mishra | 310 comments दर्द को दर्द से न देखो,
दर्द को भी दर्द होता है,
दर्द को ज़रूरत है दोस्त की,
आखिर दोस्त ही दर्द में हमदर्द होता


message 622: by Purvika (new)

Purvika (violetstygian) | 1252 comments @above all very nice :)

Phir aaj wahi mayusi chayi hai
Yaadein banke kali ghata
mere aangan mein phir se aayi hai
Baithe huye hai chaaw mein aachal ke sabhi
Ek hum hi hai jise mili zindagi se ruswai hai
Pucha jo maine kya kasoor tha mera
Kyu meri muskurahaton ko cheen liya
Haske boli zindagi mujhse
Saans lene ki saza ye tune paayi hai......


message 623: by Aneesh (new)

Aneesh Bagwan | 47 comments behtarin peshkash hai pallavi ji , dil main bas
gai , aise hi likhte rahiye , god bless u .


message 624: by Aneesh (new)

Aneesh Bagwan | 47 comments Purvika wrote: "@above all very nice :)

Phir aaj wahi mayusi chayi hai
Yaadein banke kali ghata
mere aangan mein phir se aayi hai
Baithe huye hai chaaw mein aachal ke sabhi
Ek hum hi hai jise mili zindagi se rus..."



Dil ke zakhmo par mat ro mere yaar
waqt har zakhm kaa marham hota hai
dil se jo sachaa pyaar kare
unka to khuda bhi deewana hota hai.


message 625: by Pallavi (new)

Pallavi Mishra | 310 comments Aneesh wrote: "behtarin peshkash hai pallavi ji , dil main bas
gai , aise hi likhte rahiye , god bless u ."


Bht bht dhanyawad aneesh ji


message 626: by Pallavi (new)

Pallavi Mishra | 310 comments Sab kuch hansil nhi hota zindagi me yaha


Kisi ka "kash" to kisi ka "agar" choot jata hai


message 627: by Shraddha (new)

Shraddha (shukla469) | 26 comments Pallavi.......baht shi yaar....

Mujhe bhi kisi ne yhi Kaha tha.....

Pr ye log kya Jane hum Jo hmesha hste hsaate log hn....
Ye andar se kitne gmbheeer hua krte hn...


message 628: by Shraddha (new)

Shraddha (shukla469) | 26 comments Pallavi wrote: "Sab kuch hansil nhi hota zindagi me yaha


Kisi ka "kash" to kisi ka "agar" choot jata hai"


Awesome


message 629: by Pallavi (new)

Pallavi Mishra | 310 comments Shraddha wrote: "Pallavi.......baht shi yaar....ek din ek dost kah betha-:
Kyu apna pagalpan duniya ko dikhati hai
Kyu hmesha khil khilati hai
Kyu nhi kabhi chup ho samkjdar ban kati hai


Mene kaha -
Kya kabhi hua ye dost dukh tera sath nhi nibhati hai

Kya kabhi hua ki tere toote dil ka majak udati hai ..

Kya tujhe nhi lagta ye sabse badi samjhdari hai


Kese kahati use -:
Ye dost kagaj me gum chupati hai
Aansuo ke muskrahat se bahati hai
Jis shayari ko pad adhi duniya muskara kr wah wah kar jati hai

Aur adhi duniya bakwas kah jati hai .



message 630: by Pallavi (new)

Pallavi Mishra | 310 comments Shraddha wrote: "Pallavi wrote

Thanx a lot shraddha and aneesh ...

But me to ek choti si insan hu jise shayri likhne aur pdne ka shok hai ..... Kash agar and pagal pan wali shayri mene kahi padi thi to post kr di .....

Aur shardha avi dost se conversation wala mene likh hai . o hope u will like it



message 631: by Shraddha (new)

Shraddha (shukla469) | 26 comments Pallavi wrote: "Shraddha wrote: "Pallavi.......baht shi yaar....ek din ek dost kah betha-:
Kyu apna pagalpan duniya ko dikhati hai
Kyu hmesha khil khilati hai
Kyu nhi kabhi chup ho samkjdar ban kati hai


Mene ..."



Bikul shi h pallvi ... I like it bcz I can feel it....


message 632: by Pallavi (new)

Pallavi Mishra | 310 comments Shraddha wrote: "Pallavi wrote: "Shraddha wrote: "Pallavi.......baht shi yaar....ek din ek dost kah betha-:
Kyu apna pagalpan duniya ko dikhati hai
Kyu hmesha kh




Thanx a lot



message 633: by Pallavi (new)

Pallavi Mishra | 310 comments Ab to ye bhi nhi raha ehsas

Dard hota hai ya nhi hota


message 634: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Unki raat guzregi kaise?
Jinpe naazil ishq hua ho !!!


message 635: by Shraddha (new)

Shraddha (shukla469) | 26 comments Hum kisi ko apne gumo se udaas nhi krte...
Khush rkhte hn mahfil ko niraash nhi krte...
Apne gumo ko rkhte hn apne hi dilo tk....
Aur wo smjhte hn hum koi jasbaat nhi smjhte....

Pallavi kesa h ye.....


message 636: by Pallavi (new)

Pallavi Mishra | 310 comments Nadeem wrote: "Unki raat guzregi kaise?
Jinpe naazil ishq hua ho !!!"


Khushnaseed hai vo jinki rat sukun bhari aur haseen hoti hai

Hamari rate to aaj bhi uski yad me roti hai
ya ye samjho mausam be mausam yaha ansuo ki barsat hoti hai
Ye juban andhere se uski baat krti hai
Ankho me chupi tasveer niharti hai
Aur fir chand se uski kheriyat poochati hai

Bas ese hi kisi trh rat gujari hai


message 637: by Pallavi (new)

Pallavi Mishra | 310 comments Shraddha wrote: "Hum kisi ko apne gumo se udaas nhi krte...
Khush rkhte hn mahfil ko niraash nhi krte...
Apne gumo ko rkhte hn apne hi dilo tk....
Aur wo smjhte hn hum koi jasbaat nhi smjhte....

Pallavi kesa h ye...."


Bahoot khaoob


message 638: by [deleted user] (new)

Husn nakhre bhi kare to pyar aata hai,
Yaroo mohabbat ka mazaa to intzaar me aata hai. :P


message 639: by [deleted user] (new)

Shraddha wrote: "Nitish Ji

Bhat khoob......"


Thanks Shraddha..!!!


message 640: by Aneesh (new)

Aneesh Bagwan | 47 comments Qaatil Teri Adaaon Ne Loota Hai,
Mujhe Teri Jafaaon Ne Loota Hai,
Shounk Nahi Tha Mujhe Mar-Mitne Ka,
Saaki Nashili Nigaahon Ne Loota Hai,
Bikhri Hai Khushbu Teri Sanson Ki,
Mujh Ko To In Hawaaon Ne Loota Hai,
Chain Se Bhala Kaise So Sakta Hun,
Raaton Ko Tere Khawabon Ne Loota Hai,
Bahut Khoob Hai Tere Husn Ki Adaa,
Chaandni Ko Tune Chanda Se Loota Hai.


message 641: by Aneesh (new)

Aneesh Bagwan | 47 comments Mere Har Khawab Ki Tabeer Tum Ho,
Meri Mohabbat Ki Jageer Tum Ho,
Barson Tarasha Hai Khuda Ne Jis Sange Mar-Mar
Ko,
Us Sange Mar-Mar Ki Hansi Tasveer Tum Ho,
Ek Didar Ki Khatir Lakhon Parwane Hai Fida,
Is Zamane Mein Husn-E-Afreen Ki Sarkar Tum Ho,
Dil Dhadkta Hai To Is Dil Ki Dhadkan Tum Ho,
Sans Aati Hai To Zinda Rehne Ki Wajah Tum Ho,
Heere Ki Keemat Johri Jane, Tere Husn Ki Kadar
Hum,
Is Kaynat Mein Sabse Dhanvan Tum Ho,

Koi Jhonka Hawa Ka Jab Chhu Kar Guzare Lagta
Hai Ki Tum Ho,
Koi Phool Khil Kar Jab Mehke Lagta Hai Ki Tum
Ho,
Khuda Ki Parshtish Ki To Har Dua Mein Manga
Tum Ko,
Har Dua Ka Badla Zannat Tum Ho,
Ise Diwangi Kaho “ ANEES”Ki Ya Diwanapan,
Meri To Har Nazam Mein Tum Ho Ghazal Mein
Tum Ho.


message 642: by Pallavi (new)

Pallavi Mishra | 310 comments Ek ajeeb si dod hai ue zindagi
Jeet jao to aone peeche choot jate hai
Aur

Har jao to apne hi peeche chod jate hai


message 643: by Pallavi (new)

Pallavi Mishra | 310 comments Us baat se laga lena meri shohrat ka.andaza


Vo muje salam krte hai jinhe tum salam krte ho


message 644: by Aneesh (new)

Aneesh Bagwan | 47 comments Mat puch unke aagosh me meri betabi ka
aalam,
Mat puch unke aagosh me meri betabi ka
aalam,
Jaise zindagi yahi khatam ho or mil jaye mjuhe
zannat ka sukoon


message 645: by Nadeem (new)

Nadeem Shaikh | 236 comments Kisne kaha tujhe, anjan ban ke aaya kar.
Mere dil ke aaine me, mehmaan ban ke aaya kar.

Ek tu hi hai jise bakshi hai dil ki hukumat!!!
Yeh sultanat hai teri, tu sultan ban ke aaya kar !!!


message 646: by Pallavi (new)

Pallavi Mishra | 310 comments पेड़ पर एक गिरगिट ने आत्महत्या कर ली
और एक सुसाइड नोट में लिखा


"अब इंसानो का मुकाबला नहीं कर पाऊंगा

रंग बदलने में"


message 647: by Pallavi (new)

Pallavi Mishra | 310 comments Judai ho agar lambi to Apne rooth jate hai

Bhut jyada parkhne se rishte toota jate hai


message 648: by Pallavi (new)

Pallavi Mishra | 310 comments Pyar ki raho me takrar na karna


Zindagi me pyar bar bar na krna


message 649: by Piya (new)

Piya | 466 comments Yeh Shahar Zaalimon Ka Hai Saahab...Zaraa Sambhal Kar Chalnaa.....

Yahaan Log Seene Se Lagkar Dil Nikaal Lete Hain!


message 650: by Piya (new)

Piya | 466 comments Janaazaa Issliye Bhaari Thaa Uss Gareeb Kaa.....

Kyonki Woh Saare Armaan Saath Lekar Chalaa Gayaa!


back to top