Indian Readers discussion
Poets, Poems n Poetry
>
Sher-o-Shayri ! ! !
Mulakat bhi kbi aansu de jati h...Nzren bhi kbi dhokha de jati h...
Gujre hue lamho ko yad krke dekhiye...
Tanhai bhi kbi kbi sukoon de jati h!!!!!
Meri taqdeer badal dengey mere jaanbaaz irade...!Meri kismat nahi mahutaj mere hathon ki lakiron ki.
Intezaar kerte kerte zindagi nikal gayi Waqt tham gaya, duniya thahar gayi,
Ab na ho sakega Ye intezaar humse aur,
Ki intezaar kerte kerte, sanse bhi ruk gayi.
Jrro me rah gujar ke chamak chod jaungi...Aawaz apni door talak chod jaungi....
Khamoshiyo ki mout gwara nhi mujhe....
Toot kr bhi apni khanak chod jaungi....!!!
I am a scientist, shayeri kiye huye yug bit gaye. Plus long time anyone presented me with Shayeri, someone dedicate a few lines to me.
Lab jo keh na paye, aankhein dikha gayi,Mere dil ki har Aah ko dharkan suna gayii,
Baatein adhuri jo chodi thi humnein,
Un baton ko zalim Ye khamoshi bayan Ker gayii.
dedicated to @anuradha @augusti and @sheetalTeri hasti say...teri zaat se khusbu aaye...
Tu jo bole, to teri baat se khusbu aaye...
Tujhko dekho, toh meri aankh mehak si jaye...
tujhko sochon, toh mere khayalat se khusbo aaye...
Tu hai mushk, ya hai nargis, ya hai gul-e-gulab...(repeat)
ki tujhko choo lu, toh mere haath se khusbu aaye..
Manzaley wahi hai, raste badal gaye,Khwab wahi hai humare, unke jasbaat badal gayee,
Koshish to bahut ki humnein , par khudko badal na paye,
Bas ek palak zhapkayi humnein, aur woh badal gayee.
Gairo ki parwah hum nahi kertey,Aapno ki berukhi se dil Rota hai,
Woh gair nahi jo Ghar ujhara kertey ,
Yeah kaam toh apno ke haaton se hi hota hai .
yeah zarurai toh nahi,har dard mohabbat ke nazrane ho,
yu bhi toh ho sakta hai e-dost
kabhi kabhi palko se giri shabnam,
kisi aur hi manzar ke afsaane ho.
zindagi toh aapki jagir banke reh gayi,hum taras te reh gaye ek lamhe ke liye,
aap aaye zindagi ko saath leke chal diye.
:P :P
na aapnao tareke dusro ke jeene ke liye,khud ko dhund na paoge mehfil ki bhed mein,
jeene lage jab ek nayi ummed ki tarah,
toh lakho mein bhi rehke fehlaoge roshni,
jaise hota hai chaman gulshan bahaar mein.
Chalo Bant Lete Hein Kuch Is Tarah Se Dunia Saari . . .♥ Sab Kuch Tum Rkh Lo, Ek Bus Tum Hamaray . . . . ♥
Na umeed hai , na chaah hai ,Is berang duniya ka hum kare kya ,
Yeah toh chaar din ki chandni hai,
Fir toh zarra zarra fanna hai .
Taqdeer Ke Likhe Par Kabhi Shikwa Na Kiya Kar.. >Ae INSAAN..
Tu Itna Aqalmand Nahi Ki
KHUDA Ke Iraade Samajh Sake...!
Humein shikwa nahi taqdeer se,Na koi sikhayat hai,
Ye toh Jang hai meri us KHUDA se,
Jisne cheena mujhe mera jahaan hai.
Aansu Na Hote Aankhon Mein To Aankhen Khubsurat Na Hoti, Dard Na Hota Duniya Mein To Khusiyon Ki Kimat Na Hoti,
Sab Muraadein Hoti Puri Chahne Se To Khuda Ki Zaroorat Na Hoti
Hoti na poori chahte to gam na tha,Murade toh Waqt Dar Waqt badalti hai,
Afsoos toh is baat ka hai e-dost,
Meri wajah-e-zindagi ko mujhse dur kiya.
Abhi To Chand Lafzon Main Samaita Hai Tujhe Main Ne, Abhi To Meri Kitabon Main Teri Tafseer Baaqi Hai…! ♥



varna hum to apne aap mein hi ek mehfil hua karte the...!!