ग़ज़ल\Ghazal
Trying (if not doggedly) to follow the format: beher, matlaa, maqtaa, qafiyaa, and radiff in all shers

***
सांस में आते रहे सांस में तुम जाते रहे
दिल की बेक़रारी दिल में बरक़रार रहे
कौन चाहे के तुम्हे देख के शर्मसार हो
बेअसर न हो नज़र में इतना खुमार रहे
है क़र्ज़दार कई जो सुबहोशाम आते हैं
वक़्त बेहिसाब मगर तुम पर निसार रहे
दिल-इ-मुज़्तरिब में खिले जो आसार थे
हो हसीन न सही ला-इलाज फ़िगार रहे
यह वह घडी है शाम-इ-वस्ल की मनीष
रुखसती के बाद भी जब तेरा दीदार रहे
***
बेक़रारी: Restlessness
बरक़रार: Continuous
शर्मसार: Ashamed
बे-असर: Inefficacious
खुमार: Languor
क़र्ज़दार: Indebted
निसार: Sacrifice
दिल-इ मुज़्तरिब: Restless heart
आसार: Symptoms
ला-इलाज: Incurable
फ़िगार: Wounded
शाम-इ-वस्ल: Evening of union
मनीष: Pen-name
रुखसती: Departure
दीदार: Sight
***
Saans mein aate rahe saans mein tum jate rahe
Dil ki beqaraari dil mein barqaraar rahe
Kaun chahe ke tumhe dekh ke sharmsaar ho
Be-asar na ho nazar mein itna khumaar rahe
Hai qarzdaar kai jo subh-o-shaam aate hain
Waqt behisaab magar tum par nisaar rahe
Dil-e-muztarib mein khile jo aasaar thay
Ho haseen na sahi la-ilaaj figaar rahe
Yeh woh ghadi hai shaam-e-vasl ki manish
Rukhsati ke baad bhi jab tera deedar rahe
***
Beqarari: Restlessness
Barqarar: Continuous
Sharmsaar: Ashamed
Be-asar: Inefficacious
Khumaar: Languor
Qarzdar: Indebted
Nisaar: Sacrifice
Dil-e-Muztarib: Restless heart
Aasaar: Symptoms
La-ilaaj: Incurable
Figaar: Wounded
Shaam-e-vasl Evening of union
Manish: pen-name
Rukhsati: Departure
Deedar: Sight
***
