Pakistani Readers discussion
(Urdu Literature) اردو ادب
>
Nov-2015 Group Read
date
newest »


Aap ne yeh alag se aik thread bana ker buhat he accha kaam kia hay iss tarha se hum apni iss kitab k bare main tamaam raaye aur jitne bhe log iss main shirkat karen-ge unn ki raaye iss jagah per aa ker dekh sakte hain main apna sab se pehle apna taaruf karwa deta hon.
Mera naam "Muhammad Sohail Usman" hay aur main Karachi shaher se hon aur aap ki iss thread main shamil hon main ne Raja Gidh shoro kar di hay aur iss Maheene k ikhtetaam tak main iss ko poori tarha se parh bhe longa.


Mein sava sou pages tk pohanchi hon abhi. Sohail ap apni update se bhi humein aagah karein

Yeh utna tarteeb se nai horaha hai jitni tarteeb ese kaamon k liye munasib rehti hai. iss ki waja meri kam ilmi aur qaleel mutaala hai. Usoolan Bano Qudsia Sahiba k baare mein sb se pehle kch likhna chahye lakin kahen se copy paste karne se meri nazar mein haq ada hoga nai.
Un ki kitaab Raah e Rawan aur wikipedia aur unk interviews se hasil hui maloomaat aglay chand dino tak post karti rahungi

Bano Qudsia Sahiba ne Urdu mein MA kia. yahen taleem k doraan unk hum jamaatun mein unk mustaqbil k shohar aur ek maroof shaksiyat Pakistan ki Ashfaq Ahmed Sahab bhi they. Bano Qudsia Sahiba ki shadi pasand ki hui. Ek lambi muddat hijrat mein guzaarne k baad. Ghaliban saat saal wo umeed aur na umeedi k bech jholti rahein.
Likhne ka shauq un mein bachpan se hi tha. kyun k unki pehli kahani likhi hui jo shaaya hui wo shaadi se pehle likhi ja chuki thi. Lakin Ashfaq Ahmed ki rafaqat aur nigrani mein unka funn parwaan charha aur Raja Gidh jesa shahkaar unk qalm se bar aamad hui



@Assia: Sab se pehle tou main aap ko Mubarak baad paish karta hon k aap ne waqai buhat acchi research ki hay aur hum ko iss se mustafeed kiya hay Bano ji k bare main aap ki post parh ker buhat sari malomaat main izafa hua hay aur main umeed karta hon k aap iss k tarha se aur bhe malomaat hum se share karengi.
aap k post ka intezar rahe ga.... Khush rahen

============
Main ne abhi tak 108 safhey ka muta'la ker liya hay aur iss main se se main aap logo k sath kuch parhne k baad main ne jo kuch zaroori samjha aap logo k saamne paish karna chahta hon..
Bano ji ki iss novel ko abhi shoroaat main hone k bawajood parh ker buhat kuch parhne ko mila hay iss main agar dekhain tou iss kitab main aap ko woh tamaam lawaazmaat parhne ko mil sakte hain jo k hum alag alag ho ker parhte hain jesy k, Ma'ashrat, Nafsiyat, Falsafa aur bhe buhat kuch hay iss kitab main, iss k ilawa iss main Ishq e lahasil, tabai mohabbat aqli mohabbat bhe shamil hay.
Per sab se pehle hum iss kitab k kuch point ko dekhte hain aur ussi per hum baat karen gey... aap logo ne bhe jahan tak kitab ko parh liya hay uss hawale se kuch point ko zair e behs laayen hum ussi per baat karte hain.


Seemi akhir kyun aftaab se muhabbat karti thi? is sawal ka jawab kia iss novel k liye ehem bhi hai?
Kia qayyuum jinsi taur par frustrated tha? ap kis baat ko jinsi frusturation samajte hein? aur jis mahol se wo aaya tha us mein tu yeh mumkin bhi tha par kia Seemi jesi modern larki bhi jinsi taur par frustrated ho skti hai? ya esa hai k seemi apne andaz o atwaar se tu modern thi par andar se us ki roh wohi sassi ki roh ki trha farsooda thi?
in sawalat ko discuss karne mein yaqeenan lutf milega. mje aap logon ki khas kar Sohail aur Hamza ki contribution ka intizar rahega. mein seekhne k marheile mein hun. jo ghalti hui ho uski nashaan dahi zaror karye ga? topic bold hai. Mje bus yehi dar hai k humare moderator humare muashre aur insaan k itne bare sach pe censorship na laga dain

"Gyara baras ki thi Mashriqi Pakistan mein Dharamsaale mein mein rehti thi. wahan mera school kam az kam dhayi meel door tha jahan mje jaana parta tha. uss raste mein sochti jaati thi k kia hai zindagi. tu us zamane mein mene kch kahaniyan likhna shuru kar dein. un mein se meri sb se pehli kahani "fatima" thi.
Meri Walida kyun k 27 baras ki umar mein beva hogayen thein aur mein ne apne walid ko saare teen saal ki thi uss k baad nai dekha. Tu un ko zindagi mein buhat dhakke khaane pare tanha aurat thein zameinein logon ne cheen chaan lein tu un ko parhna para, kaam kiya, education join kia. tu unhun ne kaha k mene apni beti ki parha likha k shadi karni hai."
Mera yeh maan na hai k ek writer ki writing pe sb se ziada asar uski apni zindagi aur tajurbe ka hota hai. kch us k mushaihide ki quwat aur mahol ko jazb karne ka funn us mein jibli taur par hota hoga. jb hi mein yahan unk andaz e tehreer nai bal k unki shaksiyat unki zindagi k baare mein likh rahi hun.

Buhat Umda Likha hay aap ne aur acchi lagi aap ki tehreer.... ap ki aur bhe tehreer ka mutazir rahonga..
Khush Rahen

============
"Pagal Pan Hamesha Na-aasooda aarzowon se paida hota hay Sir... aur Na Aasooda aarzowen in Taboos se Janam leti hain, jo her Culture main mojood rehti hay, jis Culture main Maamo zaad behen se shadi nahi ho sakti hau wahan maamo Zaad behen k ishq La-hasil se Dewaangi paida ho sakti hay"
Tou Dosto AFTAB ki iss speech k barey main aap logon ka kiya khayal hay ? Yeh woh Lamha tha jis ghari Seemi Shah Aftab ki Deewani ho jati hay aur woh uss se mohabbat karne lagti hay aftab ki aur Rawi (yani Qayuum) ki shaksiyat main buhat fark bhe hay Aftab ko aik aisa jawan hay jisey baaton ka dhang tou buhat accha aata hay lekin ss k ilawa uss ka rakh rakhaao uss ki jazibiyat doosron ko buhat jald mutasir kar deti hain, iss k banisbat Qayuum ki shaksiyat ki jitni bhe khobsoorti hay woh dhaki chupi si hay woh bachpnan se he azad khayal tou raha aur uss ne apni ilmiyat bhe dikhani jab chahi tou usey daba diya gaya apney aap ko sabit karne k moqey aisey na mil sake jis ki wajha se woh apni shaksiyat main he chupa raha aur uss k ander Ilmiyat bhagaarney ki baghawat bhe paida hui aur uss ne jab Seemi se mohabbat ki tou seemi pehley se bhe Aftab ki Dewani ho chuki thi aur uss ne apni yak tarfa mohabbat ko uss se chupa ker he rakha k ussi main uss ko kuch maslehat dikhi aur zahir karney k liye woh aisey waqt ka intezar karta raha k jab seemi bhe uss ki mohabbat ko qabool ker leti.

Kia apko nai lagta k ishq e lahasil mein pagal hone k liye apko betahasha wafa chahye hogi. Mje lagta hai seemi ki zindagi mein WAFA ki bari ehmiyat thi. kyun k wo esi family se thi. us k walid mein wafa ka fuqdaan tha. jb hi tu seemi ki wafa ne itni shiddat ikhtiyar ki. Agar yeh wafa darmiyan mein naa hoti tu seemi qayuum ki ho hi jaati
Yeh hai mera anokha tajziya :D

=======
Kher ab main Tabsirey per aata hon Mere khayal se tou Seemi Shah ne Aftab ko pasand kiya hay tou Uss ki Khobsoorti ko dekh ker kiya kyon k main ne ooper jo point likha hay uss ko likhne ki wajha he yahi hay k uss se pehle he yani Aftab k speech se kuch pehle Aftab ko dekh ker Usski Deewani ho jati woh aik Modern Family se taalluq rakhti tout hi per sirf apney style ki had tak warna who aik aisi larki thi jo k modern na thi aur uss k khayalaat bhe ussi tarha se thy jis tarha se aik aam se insan k ho sakte hain who bus Husn se mtasir ho ker Ishq e lahasil main par gayi phir Qayuum ki tou baat he nahi aati qayuum ne usey jab pasand bhe kiya tou woh aisey ishq e lahasil ka shikar thi k uss main who Aftab ko Tasawarati tour per dekh sun aur samajh bhe sakti thi who uss se baher he na aa saki k usey Qayuum ki koi kashish bhe bha sakti.

=======
Bilkul main aap ki baat se ittefaq karon ga aur maazrat k sath yeh post mere pass update nahi hui thi k meri nazar se na guzri yeh, Kher aap ka tajziya anokha nahi bal k dil ko choo raha hay aap ne jo tajziya paish kiya hay woh bilkul theek bhe lagta hay per main aik baat kehna chahata hon k baat Jahan Wafa ki aap ne bataai hay tou yeh Wafa tou Qayuum se bhe mil sakti hay phir uss ne Aftab ko he kyon tarjeh di ??? mera apna kuch aisa khayal hay k Wafa aik nazar main bhaa jati hay k jo pehli nazar uss ne dekhi agar uss nazar se uss ne Qayuum ko dekh liya hota tou mera khayal hay k woh Qayuum ki mohabbat main giraftaar ho jati.

=======
Bilkul main aap ki baat se ittefaq karon ga aur maazrat k sath yeh post mere pass update nahi hui thi k meri nazar se na guzri yeh, Kher aap ka tajziya anokha nahi bal k dil ko cho..."
Qayum tu gonga hai
Qayyum ki wafa ka tu seemi ko us waqt ilm hua jb wo devani hocuki.
Aftab ne tu pehle din hi ishq mein wafa ki bat kr di. K ishq e lahasil hi devanepan ki waja hai. Yani kisi k ishq mein itna doob jana k aadmi devana hojaye.
Pir savaal tu ek aur bhi hai jo agay krna hoga humein khud se.
Kia qayum mhbt mein wafadar tha k nai?
Seemi ko aur hum reader ko filhaal qayum ki wafa ka kch khas ilm nai

Bano Qudsia Sahiba ek be hudd inkasaar tabiyat insan hein unhun ne apne ek interview mein apne family background k baare mein intihai saadgi aur aajzi k sath yeh kaha
"Apko shayad mere naam se hi pata lage k chatta tha mera naam. Mein chatta zaad se yani kheiti baari karne wale log they"
aur Rah e Rawan mein Bano Aapa ne bariha Ashfaq Ahmed k pathan hone ko bari ehmiyat di hai.
unk iss riwayieh k baare mein maloomat se ziada raaye nai dena chahti lakin dekha jaye aur jo mera tajziya hai us k mutabiq Bano Qudsia ne humein Ashfaq Sahab ko khud se bartar samjha aur rakha. Aur yeh un k liye itna aasaan bhi iss liye tha k unhein Ashfaque Ahmed se shadeed muhabbat thi. esi muhabbat jo shadeed tu thi hi par payedaar bhi thi.
Bano Qudsia ek interview mein kehti hein k rah e rawan woh log parhain jo janna chahte hein k shohar ko kesa hona chahye ya bivi ko rakhne ka dhang saleqa kia hai
lakin unki zindagi k baare mein parh k aur un ki shaksiyat dekh k tu mein bus itna jaanti hon k Bano Qudsia ek khalis mashriqi muhabbat karne wali aurat hein. unka muqaable badal se koi waasta nai. aur rishta nibhana bhi unhein wesa hi aata hai. jb hi itni lambi rafaqat rahi Bano Qudsia aur Ashfaq Ahmed ki.
Bano Qudsia meri nazar mein wo seemi hein jinka aftaab wafadaar bhi tha aur jurrat mand bhi. agar Ashfaq Ahmed apne ghar walun k khilaf na jaate tu shayad Bano Qudsia bhi ek aur Seemi hotein. Yeh khalis mera apna nazarya hai

========
Behtareen aur kia kobsoorat Tajziya hay aap ka buhat buhat mubarak ho aap ko k itni khobsoorat baat aap ne kahi hay aur hum se share ki waqai bano aapa k aap ne sahi dhang se parha hay aur unn ki aur ashfaq sahab ki zindagi per jo aap ne tajziya kiya hay yeh buhat khushgawaar ehsaas daalta hay hum per jis ko parh ker hamare dil main unn ki shaksiyat aur bhe nikhar ker saamne aati jaa rahi hain...
Khush rahen aur umeed hay agli baar aap hum se aur bhe buhat kuch share karney wali hain...

Kher tu meri kitab k koi tees safhe rehte hein.
Sohail ap bhi apni update post karye.

========
Bilkul theek kaha aap ne mujhay bhe bari mayoosi hui k hum urdu adab parhne main kafi peechey hain aur yeh hamari pehli koishish he mayooskun rahi hay...
Kher meri update tou yeh hay k almost mere 100 pages rehte hain jo k almost aik se do dino main poori ho jaye gi aur uss k baad main iss hawale se apni raaye aap se share karonga...
khush rahen hamesha
Insha Allah Feb say mein parhonga q k jaha mein ho waha general books ka milna mushkil hai. Khair aglay read k lein dhekta ho k agar mujhay book mil gayi tou parho GA aap logo k sath. :)
( meri notifications off Hain es waja say threads Ki notifications nahi ati. Warna mein raja gidh path leta aur us waqat kitab bhi khareed sakta tha. )
( meri notifications off Hain es waja say threads Ki notifications nahi ati. Warna mein raja gidh path leta aur us waqat kitab bhi khareed sakta tha. )

( meri no..."
InshaAllah Aakash apki shirkat ka humein intizar rahega


https://aasiaabdali.wordpress.com/
Aasia wrote: "Aakash wrote: "Insha Allah Feb say mein parhonga q k jaha mein ho waha general books ka milna mushkil hai. Khair aglay read k lein dhekta ho k agar mujhay book mil gayi tou parho GA aap logo k sath..."
Inshallah. :)
Inshallah. :)
@Aasia & @Muhammad
Aslam o alakum, Umeed hai ap sub khriat se hn gay, sub se tu mian ap se mazraat karna chahon ga, k mian kohshih k bawjood ap ko logon sath mil k Raja Gidh nai par ska, Jis ja mje behad afsos rhe ga lakin kuch arsa se meri musroofiat he kuch aisi hia k kitaboon k mutalia ka wqat he nahi muyasir ata, or jo kitab mian ne galban July mian shro ke thi wo abhi tak mukamal nahi kar saka, :(
Umeed karta hn k mera yea payaam parh k or meri suraat-e-haal ko madynazaar rakhty howye,muj se nazargi ke shidaad mian kami zroor aye ge :)
Mian waqtan fawaqtan partha tha jub kbi mje wqat milta, or sarsri nazar se he mje ba khoobi andza hogya tha k mian kiss kdar achi khuftagu ha hisaa banany se kasir hn. :/
Ap dunno ke tajeezay kafi achay hian, khass tour pay Aaasia apki Bano Appa k zindagi k bare mian malomaat or unko phr kahaani se joar kar tajziya karna, bohat dilchasp tha. :)
Or humary group pay censorship se darny ke zrorat nahi, arkaan bila jhijhag juraat mandana mozouaat pay guftago kar sakty hian. :)
jo kuch kahani mje yaad hia us pay or is guftago mian mian zairay behas anay wali deegar cheezon pay apna tabsra mian zroor dn ga, jiase he muje frusat mili gi :)
Aslam o alakum, Umeed hai ap sub khriat se hn gay, sub se tu mian ap se mazraat karna chahon ga, k mian kohshih k bawjood ap ko logon sath mil k Raja Gidh nai par ska, Jis ja mje behad afsos rhe ga lakin kuch arsa se meri musroofiat he kuch aisi hia k kitaboon k mutalia ka wqat he nahi muyasir ata, or jo kitab mian ne galban July mian shro ke thi wo abhi tak mukamal nahi kar saka, :(
Umeed karta hn k mera yea payaam parh k or meri suraat-e-haal ko madynazaar rakhty howye,muj se nazargi ke shidaad mian kami zroor aye ge :)
Mian waqtan fawaqtan partha tha jub kbi mje wqat milta, or sarsri nazar se he mje ba khoobi andza hogya tha k mian kiss kdar achi khuftagu ha hisaa banany se kasir hn. :/
Ap dunno ke tajeezay kafi achay hian, khass tour pay Aaasia apki Bano Appa k zindagi k bare mian malomaat or unko phr kahaani se joar kar tajziya karna, bohat dilchasp tha. :)
Or humary group pay censorship se darny ke zrorat nahi, arkaan bila jhijhag juraat mandana mozouaat pay guftago kar sakty hian. :)
jo kuch kahani mje yaad hia us pay or is guftago mian mian zairay behas anay wali deegar cheezon pay apna tabsra mian zroor dn ga, jiase he muje frusat mili gi :)

aap k message ko parh ker waqai khushi hui hay mujhay aur chalain aap bhe kiya yaad kaengey hum ne aap ko Muaaf kia :-)... Kher tou janab yahan hum apni kuch quotes ko discuss karengey aur aap ki shamoliyat bhe darkaar hongi iss liye koishish ker k idher bhe nazr e inayat karte raheye ga janab. hum ne iss maheene k discussion main bhe aik kitab select ki hay jis ko hum logo ne parhna bhe shoro ker diya hay uss k liye aap ko khule dil se aap ko khush-aamdeed kehte hain :December 2015" ki discussion ko zaroor aap visit karye ga hamari.
Yahan aap ne Raja Gigh jahan tak aap ko yaad ko uss hawale se apney taasuraat bhe hum se share karen aur iss kitab k tajziye ko bhe hum se zaroor share karen Khossosan Aasia ne buhat mehnat ki hay aur waqai main unn ki mehnat bari he qabil e tareef hay aur main chahta bhe hon k Aasia apni raaye se hum sab ko mustafeed bhe karti jayen unn k thought kafi acchey hain iss hawale se aur unn ka hamare sath iss thread main hona hamare liye bari khush kismati ki baat hay...
khush rahen aap sab...

Aslam o alakum, Umeed hai ap sub khriat se hn gay, sub se tu mian ap se mazraat karna chahon ga, k mian kohshih k bawjood ap ko logon sath mil k Raja Gidh nai par ska, Jis ja mj..."
mein yehi kehne wali they k " kia yaad kareingein mauf kia " par Sohail ne meri line chura li. wese koi baat nai mujhe khushi hai ap ne msg kiya aur mujhe saraha.
Wese ayein tabsire ka aaghaz karte hein
Qayum ka kirdar buhat dilchasp tha. yaqeenan. aur mere khayal se poori novel mein mje us ki sb se pyaari baat yeh lagi
"Chandra gaon mein jis roz chacha ghulam ne azez gatan ki be izati ki aur wo gaon chor kar bhaag gaya. ussi roz k baad mein ne phir kabhi izzat k mutalliq na socha tha."
Qayuum mein choti umar se hi ek samaj ek hiss thi. wo buhat khas tha.
Wo barayi ka daava nai karta tha. na hi us ne is novel k kisi bhi kirdaar k sath misaali wafa nibhayi. han roshan k sath jo us ne kiya wo qabil e sataish hai.
Mein Qayum ko nazar andaz nai kar skti halan k uss k buhat saare aamaal se mje ikhtilaf hai. Khas taur par jo us ne seemi k sath kiya. Mera khayal hai wo usey kisi psychiatrist ya kisi buzurg e deen k paas le jaata tu us k liye kuch behtar hota. lakin jo us ne kiya us se seemi mazeed khayiun ki gehrayi mein utar ayi
aap ka kiya khayal hai is baare mein?
Wese qayum ki taraf se ek safai mere dil mein aati hai k azeez gatan ki hone wali beizatti k baad qayyum ne waqie shayad izzat ko pir kabhi izzat samjha hi nai. ek hadd hoti hai jiska taiyun izzat ka taqaddus jo insan k dil mein hota hai wohi karta hai. par qayuum k dil mein yeh taqaddus tha hi nai. jab hi tu abida bariha seemi k baare mein ghalat zabaan istamal karti thi. par kbhi qayyum teish mein na aya. qayyum ek ideal mard na tha. par shayad us ki talash khob thi

Aur sab se ziada dil jeetne wala kirdaar Professor Sohail ka tha jo meri tu nazar se gir gaye jo kiya uski waja se nai. us pe tu mein unhein mauf kar deti k aksar humare chotay se laparwah amal k bare nataij dikh jaate hein. Par unko pasheimani nai maar rahi thi woh andar hi andar ghul nai rahe they. wo angraizi mein kehte hein na MOVE ON tu bus wo aage nikal gaye. apni itni bari khata k ehsaas se.
unk is jumle ne taboot mein aakhri keel gaara
"Haan itne saare ilm k bawajod mein apne fail par qadir na tha.... yeh ilm ka sab se bara almiya hai mera nai"

Han per aik baat hay K uss ka kirdar buhat he khobsoorat hy kyon k mujhay uss ne jo kuch Roshan k liye kiya woh sab buhat he accha laga woh chahta tou Riwaiti Shoharon ki Tarha Usey bhe wohi sab ker jana tha lekin uss ne buhat he musbat faisley kiye uss k liye aur aik Jumla Yahan per Qayyum ki bebasi bhe buhat Zahir karta hua dekha k
" KASH TUM NE MUJHAY AIK RAAT DHOKEY MAIN DEHNE DIYA HOTA, KASH! SIRF AIK RAAT K LIYE KISI KA JISM KISI KA DIL AIK WAQT MAIN MERE HOTA "

" Amtal ko Apna Samajhne ki Sirf yeh wajha thi k Shaher main woh aur main bilkul tanha thay main Zehni aur jismani tour per bemaar tha woh meri Maa ki umer ki thi phir uss ka aur mera Maslak GIDH jati ka tha hum dono Murdaar Aazrowon per pale thay hum dono bujhe hue kartoos thay"
Kher Amtal ko bhe nazar andaz nahi ker sakte hum uss ka kirdaar bhe bara hejaandar hay aur mujhay Qayuum aur amtal k kirdaar ko bara sarahta hon iss main.

Be amal se ek aur quote us kitab ka mujhe yaad aaya. wo mene mehez is liye highlight kar liya tha k iss tajurbe se hum sab hi kabhi na kabhi guzarte hein.
"Mein issi liye iss qadar mohtaat tha k kabhi kabhi be amal hojaata.
Tajziye ki hadd tak tu theek lakin amli zindagi mein bhi seedhey raastun ki bajaye mein pagg dandiyun par awara kutton ki tarha sar gardan rehta"
aur waqie sach sabit hui yeh baat Qayuum ne humesha pagg dandiyun ka hi intikhaab kiya.

"Main ne insaan ko shaher basate aur Haq maanghte dekha hay, Jaan lo sahibo! jab kabhe sarak banti hau uss k daayen baayen (Left, right) ka haq hota hay, jo makaan shahron main bante hain baap k marte he waariso'N ka haq ban jate hain, mere sath chalo aur chal ker dekho jab se insan ne jungle chora hay uss ne kitney haq ijaad ker liye hain, riaya apna haq maangti hay, hukomat ko apne huqooq piyaare hain, Shoher biwi se aur Biwi Shoher se haq maangti hay, Ustaad shagird se aur Shagird Ustaad se apna haq maangta hay.
Asli Haq ka tasawwar ab insan k pass nahi raha, kuch maangna hay tou asli haq maango, jab mohabbat mile gi tou phir sab haq khushi se ada hongey, Mohabbat k begair her haq aisey mile ga jesey marney k baad kafan milta hay"
" Rooh ko mohabbat sirf uss waqt hoti hay jan insano ki nafsiyaat aik doosrey ki talaash main nikalti hay, aisi soorat main na visil main boriyat hoti hay, na Hijir main Ishtiaq"
"Seemi: Mera Khameer Muhabbat men Goondha gaya he Qayyum, mujhy Muhabbat chahiye, men Muhabbat k bina nehin jee sakti.
Qayyum: Nehin Seemi tumhen Muhabbat nehin Chahiye, tumhen Sirf Aftab ki Muhabbat Chahiye,
Hamara Almia yhi he k yahan sab ko Muhabbat to chahiye lekin apny apny matlooba shakhs ki Muhabbat.
Warna tum us ki Muhabbat men marna chahti ho jo tumhen chor k chala gaya, or agar tumhen muhabbat hi chahiye hoti to meri Muhabbat
Aftab ki Muhabbat se kehin zada he ..."
"Maghrib k pass haram halal ka tasawur nahi hai aur mari theory hai k jis waqt haram rizq jism mein dakhil hota hai wo insani genes ko mutaseer krta hai.. Rizq-e-haram se 1 khas kisam ki "mutation" hoti hai jo khtarnaq adviyat sharab aur radtiation se bhi ziada muhliq hai..
Rizq-e- halal se jo genes takhur pazir hote hain wo lolay langray aur andhay hi nahi hote balkay NA UMEED bhi hote hain..Nasl-e- insani se yeh genes jab nasal dar nasal hum mein safar karte hain tou in genes k andar asi zahni paragndgi payda hoti hai
jis ko hum pagalpan kehte hain. yaqin kar lo rizq-e- haram se hi humari anay wali naslon ko pagalpan warast mein milta hai aur jin Qomon mein min hasul qoom rizq-e- haram khane ka lapka par jata hai wo min
hasul qoom DEEVANI hone lagti hain"
"CHalye Sar Ji Mohabbat ki Khatir aadmi Sooli per chahrta rahe marta rahe khapta rahe, per Ana ko Mota karne k liye koi kab tak apni Jaan Maarey ???"
Mein ap sb se guzarish karti hon k is Group Read mein shirkat karein aur Urdu zaban ko iss platform aur har hi platform pe support karein.
Jo jo log Bano Qudsia sahiba ki maroof kitaab RAJA GIDH jo k humare iss maah Group Read ka intikhaab hai parh rahe hein wo please yahan apna naam batayen ya username jo bhi. Aur discussion ki ibtida karein