Lalsa Verma's Blog, page 2

August 16, 2018

MATWALI



Pic Credit: Google Images

Iss paar chalu, uss paar chalu, kiss paar chalu?Matwali hu matwalon ke sath chalu|

Nadi kabhi, bandhi batao…

Phir mujhse kyu umeed lagao?

 


Pahadon se takrati, ache bure sabko apnati…

Kal-kal behti bas sagar per rukti|

Phir, main ruku, ye jatan kyu kerte ho…

Mere hisse ke pahadon se kyu darte ho?


Kal-kal kerti beh jaungi, ek din apne sagar mein mil jaungi.

Matwali hu matwalon ke sang jaungi|

 

Dekha kabhi chakor ko tumne…

Ek jhalak chand ki pane ko matwala voh janmon se|

Tum hanste ho voh rota hai…

Tum kehte ho chand dur bahut hai, voh kehta ek jhalak bahut hai.

 

Mujh mein thodi si sudh-budh hai baki …

Par sach kehti hu, ek din, chakor main ho jaungi.

Tum mujh par hasna beperwah ho kar…

Main apne chand mein kho jaungi.

 

Matwali hu matwalon ke sang jaungi|

 

Pagal kaisa voh panchhi hai, Chatak jisko kehte hain…

Nadi-sagaron per udhta phir bhi pyasa mar jata hai.

Zidd kaisi ki pehli barish se pyaas bujhe…

Jab sare jal hain ek jaise?

 


Soojh-bhoojh ke mare ho tum…

Uss matwale ko kya samjho ge|Voh mar kar pyaas bujhata hai…

Tum zinda ho kar bhi mar jate ho|

 

Uss zidd mein jeevan dikha hai mujhko…

Main toh Chatak sang ho lungi.

Tum kab samjhe the mujhko?Jo ab ye na-samjhi mujhe satayegi.

 

Jab yaad karo bas keh dena…

Voh matwali thi matwalon sang chali gayi|




 •  0 comments  •  flag
Share on Twitter
Published on August 16, 2018 00:11